Home » Blog » Blogging » Blog Website Ke Liye Complete About Us Page Kaise Banaye

Blog Website Ke Liye Complete About Us Page Kaise Banaye

Blog Website Ke Liye Complete About Us Page Kaise Banaye : jab blog par aane wale visitor ya reader ko hamara blog pasand aata hai, aur wo hamare blog ya hamare baare me detail se janna chahte hai. to wo es ke liye hamare blog par available about us page par jate hai. aur hamare aur hamare blog website ke baare me jankari leta hai.

Esliye hame apne aur apne blog ke baare me sari baate detail se aur sahi sahi likh kar aboutus page ko banana zaroori hota hai. Es post me hame wo sab janakari deni hoti hai, jo hamare aur blog se related hai. Agar aap ek new blogger hai, aur apne blog ke liye about us page banana chahte hai, to es post ko carefully padhe. kyunki es post me ham janege ki apne wordpress blog aur blogger blog ke liye about us page kaise banate hai.

WordPress blog aur blogger blog ke liye about us page me kya kya likhe

About us page banane me hame apne aur apne blog ke baare me jakari add karni hoti hai. es jankari ko add karte time hame kuchh baato ko detail se batana padta hai. jinko mai es post me bata raha hun.

About us page me blog ke baare me kya kya likhe

  • blog ko kis naam se ya kis subject se related rakha hai.
  • Ham apne blog par kis tarah ki post share karenge.
  • Blog par kis tarah ki language ko use kiya gaye hai.
  • Blog ko kis maksad se banaya gaya hai.
  • Apne blog ko kis month aur year me banaya hai.
  • Loge ko hamare blog se kya kya benefits mil sakte hai.
  • Apna blog kyun banaya hai.
  • Blog par kis tarah ki jankari milegi.
  • Blog ko kis kis social networking sites par follow kar sakte hai.
  • Eske alawa Blog ka site logo bhi add kare

About us page me apne baare me kya kya likhe

  • Hamara naam kya hai.
  • Ham kahan rehte hai.
  • Blogging ke alawa ham kya kya karte hai.
  • Blogging karne ka hamara kya maksad hai.
  • Blog par ham kya kya service provide karwate hai.
  • Kis kis social networking sites par hame follow kiya ja sakta hai.
  • Hamara email addres kya hai.
  • Blog visitors hamse kaise contect kar sakte hai.
  • Enke alawa hame apna photo bhi upload kar sakte hai.

WordPress blog me about us page kaise banaye

WordPress.org platform par banaye gaye blog me aboutus page ko add karne ke liye hame sabse pehle apen wordpress dashboard par show ho rahe pages ke option par apne mouse ko le jana hoga. Mouse ko pages option par le jate hi, pages ke samne all pages aur add new, ye 2 option show hoge.

Step 1 : click on add new option

Hame add new option par click karna hai. add new option par click karte hi 1 page open hoga. Jisme hame kuchh detail enter karni hogi.

Step 2 : enter your detail

  1. Sase pehle title box me about us likhe.
  2. Content box me apne aur apne blog ke baare me likhne ke liye oupar jo information bataei gaei hai, wo enter kare.
  3. Aur Publish button par click kare.

Publish button par click karte hi hamare wordpress blog me aboutus page ban jayega.

Blogger blog me about us page kaise banaye

Blogger platform par banaye gaye blog me aboutus page ko add karne ke liye hame sabse pehle apen blogger blog ke dashboard me show ho rahe pages ke option par click karna hoga. Ab hamare samne ek new page open hoga.

Step 1 : click on new page option

Es page par hame new page ke option par click karna hoga. new page option par click karte hi hamare samne ek doosra page open hoga, jisme hame kuchh information enter karni hai.

Step 2 : enter your detail

  1. Sabse pehle title box me about us likhe
  2. Content box me apne aur apne blog ke baare me likhne ke liye oupar bataei gaei information ko enter kare.
  3. Ab publish button par click kare.

Publish button par click karte hi hamare blogger blog me aboutus page ban jayega.

About us page banane ke fayde kya hai

About us page banane se blog readers ko blog/website aur ouske admin ke baare me poori jankari mil jati hai. about us page ko padhne ke baad visitors jan sakte hai ki es blog website se ounhe kya kya information aur benefits mil sakte hai, blog admin koun hai aur ouse apni website blog banane ka idea kaise aur kahan se aaya hai. En sabke alawa google adsense ka approval pane me bhi aasani hoti hai.

Agar aap ne bhi abhi tak apna about us page nahi banaya hai, to aap bhi apne blog website ke liye about us page bana le. Jisse aapke blog par visit karne wale visitors aapke aur aapke blog ke baare me detail se jaan sake.

about us page ko ham online kisi website ke through nahi bana sakte. es page me hame apne baare me subkuchh khud hi likhna hota hai. aur apne aap ko aur apne blog ko duniya se avgat karana hota hai.

es post me bataye gaye steps ko follow karke aap badi aasaani se apne blog website ke liye abooutus page bana sakte hai. ye page banana esliye bhi zaroori hota hai, kyuki eske bina ham apne blog me google adsense ke ads nahi laga sakte. google adsense ke ads lagana har blogger ka sapna hota hai.

kuchh new blogger apne blog website par 40-50 posts to publish kar dete hai. lekin about us page ko nahi banate. jab we google adsense ke ads apne blog me lagane ke liye apply karte hai. to ounhe google adsense ka approval nahi milta, aur ounhe phir baad me about us ka page banakar doubara apply karna hota hai. es pirkirya me bahut waqt lag jata hai.

Finally, es post me hamne jana ki wordpress blog ke liye about us page kaise banate hai, blogger blog ke liye about us page kaise banate hai. aur apne blog website ke liye banaye jane wale about us page me kya kya likhte hai. agar aap about us page se related kuchh aur jankari jante hai, to comment box me likhkar share kare.

8 thoughts on “Blog Website Ke Liye Complete About Us Page Kaise Banaye”

  1. Hello sir
    Kya ham hamari artical ko hm notepad per likhkar public kar sakte hain…. Kya blogger ki post option mein jakar article likhkar publish karna hai …,Kaun Sa han sahi hai aur kaun sa galat please help me..

    Reply
  2. Bahut hi accha post hai.sirye post bahut helpful hua hai.

    Sir blog pe email subcribe button kaise lagaate hai details me bataaye na please.

    Reply
  3. About us blogger par show kaise kare page bana liya hai
    Aur about us ka link kaha se copy kare

    Reply

Leave a Comment