Home » Blog » AdSense » Google Adsense Vs Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai

Google Adsense Vs Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai

Google Adsense Vs Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai – Blogging ke through online income karne ke liye google adsense aur affiliate marketing sabse easy aur best method hai. every blogger en do method ko hi sabse pehle apne blog par use karta hai. Lekin new blogger en dono ko lekar ye soch soch ke confuse hote hai ki adsense aur affiliate marketing me se kis method ko income karne ke liye apne blog par use kare. Kyuki kuchh bloggers aisa sochte hai ki ham adsense ke sath affiliate marketing ko use nahi kar sakte.

Lekin ye ek negative thinking hai. kyuki ham adsense ke sath sath affiliate marketing ke ads bhi apni site par show kar sakte hai. esse kisi ko koei problem nahi hogi. Aur ham apne blog website par 2 tariko se paise kama sakenge. Es post me mai en google adsense aur affiliate marketing ke beech kya kya antar hota hai ke bare me kuchh important bate share karunga. Jiske baad aap easily jaan jayenge ki adsense aur affiliat marketing me se paise kamane ke liye sabse achchha tarika koun sa hai.

Google Adsense Aur Affiliate Marketing Me Kya Kya Difference Hota Hai

All world ke en 2 popular advertising program se income karna bahut easy hai. lekin dono ke through paise kamane ka method alag alag hai. es post me ham esi ke bare me baat karenge.

Kyuki all bloggers apna blog website create karne ke baad en do important aur world popular advertising network ko join karke income karna chahta hai. waise to paise kamane ke liye ye dono network hi better hai. aur dono ke ads ko hi ek sath apni site par use kiya ja sakta hai.

Lekin kuchh bloggers only 1 network ke ads hi apni site par show karna chahte hai. esliye ounke liye en dono ke beech kya kya antar hota hai ke baare me janna zaroori hota hai.

Jiske baad ounhe ye pata lag jayega ki ounki site ke liye google adsense aur affiliate marketing me se best ad network koun sa hai. chaliye ab baat karte hai ki en dono me kya kya antar hota hai.

  • Google adsense hame cost per click ke hisab se paise deta hai. agar koei visitors hamari site par show ho rahe ads per click karega, to bhi hame income hogi. But, affiliate marketing me aisa nahi hai. hamare ads par chahe kitne bhi click ho, hame paise tabhi milenge jab koei visitors product ko purchase karega.
  • Google adsense ke through kamaye huwe paiso ko ham direct apne bank account me transfer kar sakte hai. but, affiliate marketing se hoei income ko hame pehle apne paypal account me transfer karna padta hai. phir baad me bank me transfer karna padta hai. because, affiliate marketing me kuchh company hi aisi hai jo direct bank me paise transfer karti hai.
  • Apni site par low traffic hone par bhi ham google adsense se income kar sakte hai. but, affiliate marketing se achchhi income tab hi ki ja sakti hai, jab hamare blog webstie par high traffic ho.
  • Apni site par publish kiye gaye articles me di gaei information se related ads ko automatically show karne ke liye google adsense best ad network hai. but, affiliate marketing me hame khud aisi company ko join karna padta hai, jis ke product hamari site information se match karte hai.
  • Google adsense par 1 baar hi account create karke hazaro company ke ads automatically show kar sakte hai. but, affiliate marketing me hame agar kaei company ke product ko promote karna hai, to alag alag companies ke liye alag alag account create karna hoga.
  • Google adsense ke liye hame only apne gmail account ke email address aur password ko yaad rakhna hai. but, affiliate marketing me hame alag alag company ke login details ko yaad rakhna padta hai.

Ye thih world ke 2 popular advertising program ke beech difference ki kuchh important baate. Google Adsense aur affiliate marketing me kya antar hota hai ke bare me detail se janne ke baad aap khud andaza laga sakte hai ki aapke liye koun sa ad network better rahega.

Waise to ham apni site par dono ad network ko hi use kar sakte hai. lekin hame sabse pehle apni site par google adsense ke ads lagane ke baare me sochna chahiye. Because ye ad network hame ads par click hone ke bhi paise deta hai. jisse ham daily good income kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki google adsense aur affiliate marketing me best ad network koun sa hai, aur dono me kya kya difference hota hai.

2 thoughts on “Google Adsense Vs Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai”

Leave a Comment