Home » Blog » Knowledge » Affiliate Marketing Kya Hai Es Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai

Affiliate Marketing Kya Hai Es Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai

Affiliate Marketing Kya Hai, Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye.– blog ya website create karne ke baad maximum blogger ka dream hota hai ki wo google adsense ka approval pakar apni site par advertisements ko show kare. Aur phir wo apni site se income kar sake. All bloggers yahi karte hai ki we apni site ko google adsense ka approval pane layak banakar apply kar dete hai. jiske baad 3-4 din me hi hame adsense account ka approval mil jata hai.

Jiske baad ham adsense account me login karke ad unit create karte hai. aur ad code ko apni site ke header, footer, sidebar ya post ke andar add kar dete hai. kychh time baad hamari site par advertisements show hone lagte hai. Site ke header, footer, sidebar ya post ke andar show ho rahe ads par jab koei visitors click karta hai. to hamare adsense account me cost per click ke hisab se money add hoti rehti hai. jisko ham 100$ hone par apne bank account me transfer kar sakte hai.

Es tarike se income karne ke baare me to all bloggers ko knowledge hoti hai. lekin blogging karke income karne ka ek aur best option hota hai. jiske baare me new bloggers ko pata nahi hota.

Blogging field me time spend karte karte bloggers ko apne blog se income karne ke other options bhi pata chalte rehte hai. kyuki adsense ke alawa apni site se paise kamane ke aur bhi option hai. jinme sabse popular affiliate marketing hai.

Es post me ham esi topic par baat karenge. Aur janenge ki affiliate marketing kya hai, affiliate marketing program se paise kaise kamaye jate hai.

Affiliate Marketing Kya Hai

Affiliate Marketing, Google adsense ke alawa apni site par advertisements show karke income karne ka sabse best method hota hai. Es se income karne ke liye hame kisi affiliate marketing program ko join karna padta hai.

India me bahut sare top highest paying aur best affiliate program available hai. jin ko join karke ham online income kar sakte hai. kuchh blogger to aise bhi hai, jinki adsense se income low aur affiliate marketing se income high hoti hai.

But, affiliate marketing se income karne ke liye hamari site par high traffic hona zaroori hai. low traffic par ham es method se income nahi kar sakte.

Affiliate Marketing Se Online Income Kaise Kare

Affiliate Marketing se income karne ke liye hame sabse pehle apne liye best affiliate program ko select karke ouse join karna hoga. Jis company ko hamne join karke apna account banaye hai, ab ousme login karke ouske product ke add code ko copy karna hoga. Aru phir link ya banner code ko apni site ke kisi bhi part me add karna hoga.

Ab hamari site par affiliate program ke advertisements show hone lagenge. Jab koie visitors en ads par click karke product ko purchase karega, to product company hame kychh commission provide karegi. Jo hamare account me add hota rahega.

Different companies ka commission percentage different hota hai. hame jo commission milta hai, ham ouse product companies ke rules ko follow karte huwe apne PayPal account ya direct bank me transfer kar sakte hai.

Affiliate marketing ke baare me detail se janne ke baad abhi kuchh question new bloggers ke man me rehte hai. jinke answere main neeche bata raha hun.

Kya Adsense Ke Sath Affiliate Marketing Ko Use Kar Sakte Hai

Jin bloggers ko google adsense ka approval mil jata hai. aur we adsense se income karne lagte hai. to ab ounka dhiyan affiliate marketing ki taraf attract hota hai. kyuki ye bhi online income karne ka best option hai.

Lekin kuchh new blogger ye soch kar apni site par affiliate program ko use nahi karte ki khain ounka adsense account disable ya block na ho jaye. Lekin ye ek wrong thinking hai.

kyuki ham google adsense ke sath sath affiliate marketing se bhi money earn kar sakte hai. adsense hame aise karne ki permission deta hai. lekin hame adsense ke sath other advertisement networks jaise bidvertiser, chitika etc… ka use nahi kar sakte. Eski permission nahi hai.

Apni Site Ke Liye Koun Sa Affiliate Marketing Program Ko Join Aur Use Kare

Internet par search kare to hame affiliate marketing ko join karne ke liye many companies ke name show honge. But enme se maximum Froude aur fake hoti hai. because, hame kisi popular, true, aur high paying companies ko hi join karna chahiye.

India me kuchh top highest paying companies hai. jinko join karke ham affiliate marketing se online income kar sakte hai. ye companies froude ya fake nahi hai.

Eske alawa hame apni site se related affiliate program ko joni karna hi better rehta hai. kyuki ham jis topic par posts likhkar apni site par publish kar rahe hai, ousi se related product ko agar ham apni site par promote karenge to sell hone ke chances zyada hote hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki affiliate marketing kya hai. aur affiliate marketing program ko join karke paise kaise kamate hai.

4 thoughts on “Affiliate Marketing Kya Hai Es Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai”

Leave a Comment