Home » Blog » Knowledge » Atal Pension Yojana Kya Hai Apy Scheme Ko Koun Kaise Le Sakte Hai

Atal Pension Yojana Kya Hai Apy Scheme Ko Koun Kaise Le Sakte Hai

Atal Pension Yojana Kya Hai, Atal Pension Yojana Koun Koun Le Sakte hai, Atal Pension Yojana Ko Kaise Le Sakte Hai. : jo log pehle government sector me job karte theh. Retire hone ke baad ab ounhe pension milti hai. jiski wajha se ounka budhapa maze me kat raha hai. but, jin logo ki pehle government job nahi thih, ounhe budhape me bahut problems ko face karna padta hai. Ye sab dekhte howe indian government ne swawlamban pension yojana ko lounch kiya thah. Jisse ki government sector me job na karne wala person bhi budhape me har mahine pension pa sake. Es pension scheme ko koei bhi person le sakta thah. Jisme hame kuchh paise har mahine jama karne padte theh.

Lekin esme kuchh kamiya thih. Jiski wajha se new indian government ne ek doosri pension yojana ko lounch kiya. Jiska name atal pension yojana hai. apy scheme ko lounch karne ke baad swawlamban yojana ke all members ko bhi atal pension yojna me shift kar diya gaya hai. Es scheme ke anatargat ham only 210 rupess per month jama karke apni 60 years ki age ke baad 5000 rupees per month pension pa sakte hai. ye pension direct hamare bank account me hi receive hogi.

Agar ham 210 rupees bhi har month jama nahi kar sakte to ham kam wale plan le sakte hai. jisme hame 1000, 2000, 3000, 4000, ki pension milegi. enke baare me detail se full information pane ke liye es post ko carefully read kare.

Because, es post me ham janenge ki… Atal pension yojana kya hai. atal pension yojana scheme ko koun koun le sakte hai. atal pension yojana ko kaise le sakte hai. apy scheme me kitne paise jama karne par kitni pension milegi. aur Atal pension yojana ko band kaise kare.

Atal Pension Yojana (APY) Kya Hai

Atal pension yojana ek Government scheme hai. jise indian government ne 2015 me launch kiya thah. Apy scheme ke antargat ham har mahine kuchh paise jama karke apni age ke 60 years poore hone ke baad pension pa sakte hai.

Apy pension scheme ke 5 plan hai. jisme hame apni age ke 60 years poore hone ke baad 1000, 2000, 3000. 4000, aur 5000 rupess per month ki pension mil sakti hai. alag alag plan lene ke liye hame ouske hisab se hi paise jama karne honge.

Atal Pension Yojana Ko Koun Koun Le Sakta Hai

We log, jinki income etni nahi hai ki oun par tax lage. Atal pension yojana ki scheme ko le sakte hai. eske liye age bhi nirdharit ki gaei hai. only 18 se 40 years ke log hi apy scheme ko le sakte hai.

Phir ounhe apni age ke 60 years complete hone tak apne pension plan ke hisab se har mahine paise jama karne padte hai. agar aap ye nahi jante ki atal pension yojana me kitne pension plan hai? to mai aako bata raha hu. Abhi apy pension scheme me 5 plan hai.

Jisme ham 1000, 2000, 3000, 4000 aur 5000 rupees per month wale pension plan me se kisi ek ko select kar sakte hai.

Atal Pension Yojana Lene Ke Liye Kya Kya Chahiye

  • Indian person hona chahiye
  • Kisi bank me saving bank account hona chahiye
  • Bank me aadhar card number register hona chahiye
  • Bank me all kyc documents jama hone chahiye
  • Age 18 se 40 year tak hi honi chahiye

Atal Pension Yojana Ko Kaise Le Sakte Hai

Atal pension yojana me registration karane ke liye hame ous bank ki home branch me jana hoga, jis bank me hamara account open hai. bank se contact karke pehle poori information le.

Apy me registration karane ke liye bank wale hame ek form denge. Jisme hame apni poori detail jaise name, address, bank account number, pension plan aur nominee etc.. ko fill karna hoga. Aur aadhar card ki photocopy ke sath bank me jama karna honga.

Apy registration form fill karke bank me jama karne ke baad hamare bank account se apy scheme ko link kar diya jayega. jiske baad pension plan ke hisab se har mahine hamare bank account se kuchh paise auto debit hote rahenge.

Hamari age 60 years hone tak bank account se paise deduct hote rahenge. 60 years ka hone ke baad hamare bank se paise auto-debit hone band ho jayenge. Aur pension milni start ho jayegi.

Atal Pension Yojana Ko Band Kaise Kare

Apy scheme ko close karne ke liye pehle to koei processer nahi thah. But ab apy scheme ko band kiya ja sakta hai. aur jama kiye paise bhi poore wapas mil jate hai. eske liye hame apne bank se contact karne ki zaroorat padegi.

Agar aap apy me registration karane ke kuchh months baad kisi problem ki wajha se es scheme ko band karana chahte hai. aur aap ye sochte hai ki atal pension yojana scheme ko close kaise kare. To eske liye apne bank me visit kare, aur apy closer form ko fill karke jama kare. Schme close kar di jayegi. Aur kuchh din baad jama kiye paise bhi bank account me return ho jayenge.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki Atal pension yojana kya hai. atal pension yojana scheme ko koun koun le sakte hai. atal pension yojana ko kaise le sakte hai. apy scheme me kitne paise jama karne par kitni pension milegi. aur Atal pension yojana ko band kaise kare.

3 thoughts on “Atal Pension Yojana Kya Hai Apy Scheme Ko Koun Kaise Le Sakte Hai”

  1. sir mane atalpension yojna 1 year tak jama kiya h me band karwana chata hu muze paise retan mil sakta h

    Reply

Leave a Comment