Home » Blog » Knowledge » ATM Card Ko Use Kaise Kare ATM Machine Se Paise Kaise Nikale

ATM Card Ko Use Kaise Kare ATM Machine Se Paise Kaise Nikale

ATM Card Ko Use Kaise Kare, ATM Machine Se Paise Kaise Nikale – old time me jab atm machines available nahi thih, to paise nikalne ke liye hame banks me kaei kaei ghante lines me lage rehna padta thah.

Lekin aaj ke es technical zamane me ab hame paise nikalne ke liye banks ki lines me nahi laga rehna padta. Kyuki ab jagah jagah par atm machine available hai. Jiske through ham apne account se paise nikal sakte hai.

Ye to aap sabhi jante hi honge ki hame atm machines se paise nikalne ke liye atm card ki zaroorat padti hai. Jise ham bank se le sakte hai. Lekin atm machine se paise kaise nikalte hai, aur atm card ko use kaise karte hai, eske bare me sabhi ko pata nahi hota.

Esliye es post me ham atm card ke bare me hi baat karenge. Aur janege ki… atm card kya hai. atm card ko use kaise kare. Atm card insert karke atm machine se paise kaise nikale. Atm use karte time kin kin savdhanio ko dhiyan me rakhe. Atm card users kin kin baato ko yaad rakhe.

Agar ham ek atm user hai, to hame kuchh savdhaniyo ko bhi baratna padta hai. Warna zara si galti karne par hi hamare bank account se lakho rupees ka nuksan ho sakta hai. Aksar news me bhi hame atm card se fraud karne ke mamle dekhne aur padhne ko milte rehte hai.

Kyuki, bahut se log apne bank se atm card to banwa lete hai. Lekin ousko use karna nahi jante. Phir we log paise nikalne ke liye atm machine me jakar unknown person ki help lete hai, jinhe we jante bhi nahi.

Sabse zyada dhoka enhi logo ke sath hota hai, jo atm machine se paise nikalne ke liye kisi unknown person ki help lete hai. Kyuki zaroori nahi hai ki jis insan ki help lekar aap atm machine se paise nikal rahe ho, wo sahi insan hi ho. Wo koei galat insan bhi ho sakta hai. Aur aapke atm card ki information churakar ouska misuse bhi kar sakta hai.

Esliye hame khud hi atm machine se paise nikalne chahiye. Aur agar hamse paise nikalne nahi aate, to hame apne kisi trusted friend ya family member ko apne sath le jakar paise nikalne chahiye.

Ye bhi zaroori nahi hai ki atm machine se paise nikalne ke liye hamara koei friend ya koei family member hamare liye har time available ho. Achanak, hame kisi aisi jagah par bhi atm machine se paise nikalne pad sakte hai. Jahan hamare sath koei trusted person nahi ho.

Esliye hame khud hi atm card ko atm machine me insert karke paise nikalne ke bare me seekh lena chahiye. Agar aap se bhi atm card use karna nahi aata, to es post ko carefully padhte rahe.

Kyuki aage mai aapko atm machine se paise kaise nikale aur atm card ko use kaise kare, ke bare me batane wala hun. Lekin en sab se pehle ATM Machine aur ATM Card kya hota hai, ke bare me jaan lete hai.

ATM Machine Kya Hai

ATM (Automatic Teller Machine) ek computer ki tarah dikhne wali machine hoti hai. Jo banks ke server se connected rehti hai. Lagbhag sabhi banks ne jagah jagah par atm machines ko available kiya huwa hai. Jinke through koei bhi atm card user badi aasani se kahin bhi aur kabhi bhi paise nikal sakta hai.

ATM Card Kya Hai

ATM Card ek plastic se bana card hota hai. Jise ham bank me ek application dekar pa sakte hai. Atm card ke sath hame 4 digit ka secret code bhi milta hai. Paise nikalne  ke liye es atm card ko hame atm machine me insert karna padta hai, aur phir 4 digit ke pin number ko enter karke transaction ko complete karna padta hai.

ATM Machine Se Paise Kaise Nikale or ATM Card Ko Use Kaise Kare

Aaj, jab har jagah atm machines available hai, to koei bhi educated insan bank me jakar paise nikalna pasand nahi karta. Sabhi atm card users atm machine se hi paise nikalna pasand karte hai.

Lekin, kuchh log aise bhi hote hai. Jo atm card to banwa lete hai, lekin atm machine se paise nikalna nahi jante. Aise log neeche bataye steps ko follow karke atm machine se paise nikalna seekh sakte hai.

Step 1. Atm Card Ko Atm Machine Me Insert Kare

Jab aap atm room me jayenge to aapko atm machine ke aage ek card slot show hoga. Esme aap apne atm card ko insert kare. Aur 2-3 seconds ke baad nikal le. Kuchh machine aisi bhi hoti  hai, jinme card, card slot ke muh par rakhte hi automatically andar chala jata hai. Aur 3-4 seconds ke baad automatically bahar bhi aa jata hai.

Step 2. Language Ko Select Kare

Atm card ko atm machine se bahar nikalne ke baad, ab aapko atm screen par apni language select karne ke liye kaha jayega. Agar aap hindi language me transaction process ko aage badhana chahte ho, to hindi select kare. Aur agar english language me transaction process ko complete karna chahte ho to english ko select kare.

Step 3. Withdraw Fund Ke Option Par Click Kare

Language select karne ke baad ab aapko atm screen par withdraw fund, balance inquiry, pin change, etc.. option show honge. Agar aapko balance check karna hai, to balance inquiry ke option par click kare, aur agar atm se cash nikalna hai, to withdraw fund ke option par click kare.

Step 4. Pin Number Enter Kare

Withdraw fund ke option ko select karne ke baad ab aapse pin number enter karne ke liye kaha jayega. Atm card ke sath mila 4 digit pin number enter kare. Note – sabhi bank atm card ke sath atm pin nahi dete. Kuchh banks ke atm pin ko hame khud atm machine se generate karna padta hai.

Step 4. Account Type Ko Select Kare

Atm pin enter karne ke baad aapse aapke bank account ka type poochha jayega. Agar aapka account saving hai, to saving ke option par click kare. Aur agar aapka account current hai, to current option par click kare.

Step 5. Amount Ko Type Kare

Account type select karne ke baad aapse poochha jayega ki aap kitne paise nikalna chahte hai. Aap jitne paise nikalna chahte hai, ouko type karke confirm karde. Note – sabhi banks ke different atm cards ki transaction limit bhi different hoti hai. Esliye Transaction limite se zyada ammount type na kare.

Step 6. Cash Ko Collect Kare

Amount confirm karte hi 4-5 seconds me atm machine ke andar se aapke paise bahar aa jayege. Ab, aap apne paise ko collect kar sakte hai.

Es tarah se aap bar bar apne atm card ka use karke paise nikal sakte hai. Bas, aap ke bank account me paise available ho, aur aapki transaction limit bhi cross na hoei ho.

Note – “atm se paise kaise nikale” ke bare me oupar bataye gaye steps, alag alag atm me aage peechhe ho sakte hai. Esliye aap carefully read karke transaction process ko complete kare.

ATM Card Ki Security Ke Liye Kya Kya Kare

  1. Atm pin ko kahin likh kar na rakhe.
  2. Atm card ko kisi bhi anjan insan ko na de.
  3. Transaction karte time atm machine me kisi ko bhi apne paas khada na rehne de.
  4. Pin number ko kahin likh kar na rakhe.
  5. Koei aapse call karke aapke atm card ke number poochhe to, kabhi na bataye.
  6. Pin number ko time to time change karte rahe.
  7. Bank me apna mobile number registered karwaye, jisse ki transaction hone par aapko turant message mil jaye.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki atm card kya hota hai. Atm card ko use kaise karte hai, ya atm card se paise kaise nikalte hai.

Leave a Comment