Home » Blog » Knowledge » ATM Card Use Karte Time Kin Savdhaniyo Ko Barte Security Ke Liye

ATM Card Use Karte Time Kin Savdhaniyo Ko Barte Security Ke Liye

ATM Card Use Karte Time, Security Ke Liye Kin Kin Savdhaniyo Ko Barte – agar aap ka kisi bhi nationalized bank (sbi, pnb, bob, boi, idbi, etc..) ya private bank (hdfc, icici, axix, kotak mahindra, yes bank, etc…) me account hai, to aap ous bank ka atm card bhi use kar sakte hai. Aur phir world me kahin bhi aur kabhi bhi atm machine se paise nikal sakte hai.

Waise to ham sabhi atm card ko easily pa sakte hai. But, jo log padhe likhe nahi hai, oun logo ko koei bhi bank atm card nahi deta. Jo account holder signature karke apna account open karte hai, oun logo ko atm card milne me koei problem nahi hoti.

Atm card pane ke baad ham phir bank jaye bina hi kisi bhi atm machine se apne paise nikal sakte hai. Atm card ke aane se pehle apne paise lene ke liye jahan hame kaei kaei ghante banks ki line me lagna padta thah, ab aisa nahi hai.

Ab ham kisi bhi atm machine me apne debit card ko insert karke minutes me hi paise nikal sakte hai. Atm machine ko lakar banks ne hame ek best facility provide ki hai. Jiske bahut sare benefits hai. Lekin, atm card ko Cautiously use na karne par nuksan bhi ho sakta hai.

Time to time, newspapers me atm card se fraud karke paise nikalne ki news publish hoti rehti hai. Aaj ke time me jahan paise nikalne ke liye atm ka khoob use kiya ja raha hai, to atm froud ke cases bhi badhe hai. Esliye apne debit card ko atm machine me use karte time kuchh savdhaniya zaroor baratni chahiye. Agar ham aisa karte hai, to hamara paisa hamesha safe rahega.

ATM Card Ko Use Karte Time Kya Kya Savdhaniya Barte

Aaj kal atm card se fraud karke paise nikalne ke cases bahut badh gaye hai. Logo ko pata bhi nahi chalta, aur ouke debit card se paise nikal liye jate hai. Phir we log  banks ke chakkar lagate rehte hai. Lekin na to ounke paise mil pate hai, aur na hi paise naikalne wale ka pata lag pata hai.

Esliye, agar aapka koei bank account hai, aur aap ke paas ous bank ka atm card hai. To aapko apne atm card ko use karte time kuchh savdhaniya baratni hogi. Warna aapke paise chori hone me zara bhi time nahi lagega.

Kuchh bato ka dhiyan rakhkar ham apne atm card ki security increase kar sakte hai. Aur apne bank account me available money ko hamesha ke liye safe rakh sakte hai. Chaliye jante hai oun savdhaniyo ko, jo hame atm card use karte time baratni chahiye.

ATM Machine Se Paise Nikalwane Me Kisi Unknown Person Ki Help Na Le – atm machine se paise nikalna bahut easy hai. But, kuchh log aise bhi hote hai, jinhe atm machine se paise nikalna nahi aata. We log atm machine me jakar kisi other person ki help lete hai. Jabki aisa nahi karna chahiye.

Atm machine se paise nikalwane me unknown person ki help lena, hamare liye khatra ban sakta hai. Aur atm card se froud kiya ja sakta hai. Esliye, agar aap se atm machine se paise nikalne nahi aate, to apne kisi family member or trusted friend me se hi kisi ko apne sath le jakar atm machine se paise nikale.

ATM Card Ka Password Kahin Par Likh Kar Na Rakhe – agar aap apne atm card ke pin ko yaad rakhne ke liye kahin par likh kar rakhte hai, to ye aap ki sabse badi mistake hai. Hame hamesha apne atm card ke pin number ko yaad rakhna chahiye, na ki kahin par likh kar rakhana chahiye.

Kuchh atm users to aise bhi hote hai. Jo atm card ke pin number ko yaad rakhne ke liye ouse atm card ke cover par hi likh kar rakhte hai. Aise logo ka atm card agar khoya jata hai, to atm card pane wale insan ke liye paise nikalna bahut hi easy ho jata hai.

ATM Machine Se Paise Nikalte Time Apne Paas Kisi Other Person Ko Khada Na Hone De – aajkal atm card ko use karne ka craze bahut badh gaya hai. Maximum log bank se kam, aur atm machine se zyada paise nikalna pasand karte hai. Esliye, aksar dekha jata hai ki atm machine me bahut bheed hoti hai.

Agar aisi jagah se ham paise nikalte hai, to kuchh log hamare right – left aakar khade ho jate hai. We hamare atm card ki information jaise card number, expiry date, cvv number, aur password etc.. ko dekh bhi sakte hai. Aur uska galat istemal bhi kar sakte hai.

Esliye hame kabhi bhi atm machine se paise nikalte time apne paas kisi bhi other person ko khada nahi  hone dena chahiye. Agar koei insan aap ke nazdeek aakar khada hota hai, to aap ouse atm machine ke bahar line me khada hone ke liye keh sakte hai.

Computer Me Automatically ATM Card Ki Information Save Na Hone De – internet ke zamane me aaj online shopping ka craze bhi bahut badh gaya hai. Esliye jo log online shopping karte hai, ounhe apne atm card ki security ka khayal rakhna bahut zaroori hai. Warna, zara si bhool se bahut bada nuksan ho sakta hai.

Agar aap kisi other person ke commuter se ye cyber cafe me jakar online shopping ki website se koei product purchase kar rahe hai, to atm card ki detail fill karte time, computer aap se automatically atm card ki details ko save karne ke liye poochhega. Aap apne atm card ka misuse hone se bachene ke liye ese galti se bhi save na kare.

Transaction Process Ko Complete Hone Ke Baad Hi ATM Machine Ko Chhode – aksar dekha jata hai ki atm machine se paise nikalne ke baad hi, log atm machine ko chhod dete hai. Aisa karna galat hai. Jab tak atm machine ki screen par welcome screen show na ho, tab tak hame atm machine se bahar nahi aana chahiye. Aur transaction process ko complete hone ke baad ek baar cancel button ko bhi press kar dena chahiye.

Transaction Slip Ko Kabhi Bhi ATM Room Ke Andar Na Phenke – atm machine se paise nikalne ke baad bahut log transaction slip ko aise hi atm room ke andar phenk dete hai. Aise karne se bache, kyuki transaction slip par kuchh banking details available hoti hai. Esliye misuse hone se bachne ke liye aap slip ko apne paas rakhe, ya kaei tukde karke atm room me rakhe dibbe ke andar daal de.

Ye thih, kuchh we mukhye bate, jinko hame atm card use karte time yaad rakhna chahiye. En baato ko dhiyan me rakh kar agar ham atm card ko use karenge, to ham atm fraud se apne aapko safe rakh sakte hai.

Aaj kal waise bhi atm card se fraud karne ke cases bahut dekhne aur sunne ko milte hai. Lekin aisa tabhi hota hai jab ham apni taraf se atm securities ko andekha kare, aur oun par koei dhiyan na de.

Agar ham apne atm card ki security ka poora khayal rakhte hai. Aur atm machine se paise nikalte time es post me bataei gaei bato ko apne dhiyan me rakhkar oun par amal karte hai. To kafi had tak ham atm fraud se bach sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad jaan gaye honge ki atm machine me atm card ko use karte time security ke liye kin kin savdhaniyo ko baratna chahiye. Aur atm fraud se bachne ke liye kin kin bato ko dhiyan rakhna chahiye.

6 thoughts on “ATM Card Use Karte Time Kin Savdhaniyo Ko Barte Security Ke Liye”

Leave a Comment