Home » Blog » Technology » Mobile Ke Auto Network Mode Ko Only 2G 3G Or 4G Kaise Banaye

Mobile Ke Auto Network Mode Ko Only 2G 3G Or 4G Kaise Banaye

Mobile Ke Auto Network Mode Ko Only 2G 3G Or 4G Kaise Banaye – kisi kisi android mobile ki preferred network type setting ke andar apne liye useful network jaise only 2g, 3g, or 4g ko select karne ka option nahi hota.

Balki, auto ka option hota hai. jisko select karne par hamara Smartphone apne aap automatically network type ko change karta rehta hai. aur 2g, 3g, or 4g network me se jo network bhi strong hota hai, ousi ko show karta hai.

Eski wajha se hame sabse zyada problem tab aati hai. jab ham kisi aisi jagah par ho, jahan  3g network zyada aur 4g network kam hote hai. aisi jagah par ham 4g speed par apne mobile me internet use nahi kar pate.

Kyuki, agar hamare mobile me 4g network show bhi ho rahe hai, to internet connection on karte hi, load padne ki wajha se we automatically 3g ho jate hai. aur ham apne smartphone par 4g speed ka maza nahi le pate.

India me only jio company ko chhod kar, baki all companies ke 2g, 3g, aur 4g network available hote hai. esliye jio ko chhod kar other companies ki sim use karne me hame ye problem ho sakti hai.

Es problem ko door karne ke liye or apne mobile me 1 hi network ko select karne ke liye hame apne android mobile ki setting me jakar preferred network type setting me only 2g, 3g, 4g ya only gsm, wcdma, lte me se kisi ek ko select karna padta hai.

But, ye settings all companies ke mobiles me available nahi hoti. Jiski wajha se all mobile users apne mobile ke network ko only 2g, only 3g, or only 4g network mode par set nahi kar pate. Aur internet ka maza high speed me nahi le pate.

Agar aapke mobile me bhi aisi settings available nahi hai, to es post ko carefully padhe. Kyuki, ab ham janege ki.. android mobile ko only 2g 3g or 4g network mode par set kaise kare. Smartphone ko 2g, 3g or 4g kaise banaye. Mobile ki internet  speed kaise badhaye. Android mobile ke auto network mode ko only gsm, wcdma, or lte kaise banaye.

Android Mobile Ko Only 2g, Only 3g or Only 4g Network Mode Par Set Kaise Kare

Agar aap india me rehte hai, to aap jante hi honge ki jio cellular company ne all india me only 4g signal hi provide kiya hai. jabki other cellular companies ( vodafone, airtel, idea or bsnl, etc.. ) ke 2g, 3g or 4g network bhi available hai.

Agar ham jio sim ko apne mobile me use karte hai, to ousme only 4g signal hi aate hai. lekin, agar ham other companies ki sim ko use karte hai, to auto network mode ko select karne par alag alag jagah par automatically 2g, 3g or 4g network change hote rehte hai.

Jiski wajha se agar ham kisi aisi jagah par hai, jahan 3g signal strong, aur 4g signal week available hai. to phir aisi jagha par hamare mobile me 3g signal hi show hote hai. aur ham 4g internet speed ka maza nahi le pate.

Android mobile me 4g internet ka maza lene ke liye hame apne mobile me only 4g signal ko hi show karna padta hai. eske liye ham mobile setting me jakar proffered network type setting me ‘4g only’ or ‘LTE only’ option ko select karna padta hai.

But, ye option all mobiles me available nahi hote. Jiski wajha se sabhi mobile users apne mobile ke network mode ko only 4g par set nahi kar pate. But, es post me neeche bataye gaye steps ko follow karke aap apne kisi bhi android mobile ko apne favorite network mode jaise 2g only, 3g only or 4g only etc.. par set kar sakte ho.

Chliye jante hai ki we koun koun se steps hai, jinko follow karke ham apne android mobile ko gsm (2g) only, wcdma (3g) only, or lte (4g) only, network mode par set kar sakte hai.

Step 1. Install App

Sabse pehle aap apne android mobile me google play store ko open kare. Aur phir ‘4G Only Network Mode’ application ko install karke open kare.

Step 2. Open Secret Settings

4g only network mode app ko open karne ke baad, home page par ‘open secret settings’ ke option par click kare. Click karte hi phone information ka page open hoga.

Step 3. Phone Information

  1. Es page par sabse oupar hame apne phone ki information show hogi. Phone info me ham imei, phone number, current network, signal strength, voice service, data service, voice network type, data network type, voice call status, aur roaming ki details show hongi.
  2. Apne favorite network ko set karne ke liye hame ‘set preferred network type’ ke option par click karna hoga.

Click karte hi all network mode ki ek list open hogi. Jisme se kisi bhi ek network ko select karna hoga.

Step 4. Select Network Type

Network list me hame sabhi tarah ke network jaise wcdma preferred, gsm only, wcdma only, gsm auto, cdma auto, cdma only, evdo only, global auto, lte/cdma auto, lte/umts auto, lte/cdma/umts auto, lte only, lte/wcdma, td-scdma only, td-scdma/wcdma, lte/td-scdma, td-scdma/gsm, lte/td-scdma/gsm, td-scdma/umts, lte/td-scdma/gsm, td-scdma/umts, lte/td-scdma/wcdma, lte/td-scdma/umts, td-scdma/cdma/umts, global/td-scdma, aur unknown etc..show honge.

Ham apni marzi se kisi bhi network type, par click karke ouse select kar sakte hai. aur apne mobile me apne favorite network mode ko show kar sakte hai. agar ham gsm only ke option par click karenge, to 2g network hi hamare mobile me show honge. Wcdma only ke option ko select karenge to 3g network hi hamare mobile me show honge.

4g network ko apne mobile me show karne ke liye hame lte only ke option ko select karna hoga. Agar ham chahte hai ki hamare mobile me only 3g or 4g signal hi aaye, to hame Wcdma/Lte ke option ko select karna hoga. Es tarah se ham kisi bhi network mode ko apne mobile ke liye set kar sakte hai.

Code Dial Karke Android Mobile Ko 2G, 3G or 4G Kaise Banaye

Apne mobile me apne favorite network mode ko set karne ke liye hame ‘4g only network mode’ app ko use karna padta hai. jiske bare me mai oupar bata chuka hun. Yahi sab settings ham ek code ko  dial karke bhi kar sakte hai.

But, ye code all mobiles me work nahi karta. Aap network mode ko set karne ke liye neeche bataye ja rahe steps ko bhi follow karke dekh sakte hai. agar ye code aapke mobile me work karta hai, to phir aapko ‘4g only network mode’ app ko apne mobile me install karne ki zaroorat nahi hai. chaliye, jaan lete hai ki code dial karke android mobile me 2g only, 3g only, or 4g only network mode ko set kaise karte hai.

  1. Sabse pehle apne mobile ke dial pad ko open kare.
  2. ab *#*#4636#*#* code ko type kare. code type karte hi ek page open hoga.
  3. Agar aap sim 1 ke network mode ko set karna chahte hai, to open huwe page par ‘Phone Information 1’ ke option par click kare. Aur agar sim 2 ke network mode ko set karna chahte hai, to open huwe page par ‘Phone Information 2’ ke option par click kare. Click karte hi phone info ka page open hoga.
  4. Phone info ke page par ‘set preferred network type’ ke neeche show ho rahe network name par click kare. Click karte hi all network ki list open ho jayegi.
  5. Ab, aap kisi bhi network par click karke, apne mobile ke liye set kar sakte hai.

Es tarah se ham es steps ko follow karke code ke through bhi apne mobile me 2g, 3g, or 4g network mode ko set kar sakte hai.

Network Mode Ko Reset Kaise Kare

Agar aap ne oupar bataye gaye 2 steps me se kisi ek ko follow karke apne mobile me Lte only network mode ko set kar liya hai, to phir aapke mobile me 4g signal hi aayenge. Aur 2g ya 3g signal nahi aayenge.

Agar aap Lte Only network mode ko remove karna chahte hai, aur apne mobile me auto network mode ko open karna chahte hai, to aap apne mobile ki setting me jakar preferred network type me auto option ko select kar sakte hai.

Jiske baad aapne jo network mode ‘4g only network mode’ app ka use karke ya ‘*#*#4636#*#*’ code ko dial karke set kiya thah, wo remove ho jayega. aur mobile wapas auto network par work karne lagega.

Network Mode Ko Set Karne Ke Fayde Kya Hai

Network mode ko set karne ke sabse zyada benefit oun logo ko hota hai. jin logo ke area me 4g network week aur 3g network strong hota hai. aise area me reh rahe logo ke mobile me auto mode par 3g or 2g network hi show hota hai. Week signal hone ki wajha se 4g network show nahi hote.

We log apne android mobile me Lte only network mode ko set karke, apne mobile me 4g network ka maza le sakte hai. aur high speed internet ko bhi apne smartphone par access kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki android mobile ko only 2g 3g or 4g network mode par set kaise karte hai. Smartphone ko 2g, 3g or 4g kaise banate hai. Mobile ki internet  speed kaise badhate hai. Android mobile ke auto network mode ko only gsm, wcdma, or lte kaise banate hai.

2 thoughts on “Mobile Ke Auto Network Mode Ko Only 2G 3G Or 4G Kaise Banaye”

  1. Mere mobile me 3G service ka option hai usme Maine network mode 3G only kiya hai par 3G network nahi aata only 2G chalta hai

    Reply

Leave a Comment