Home » Blog » AdSense » WordPress Blog Website Ki Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

WordPress Blog Website Ki Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

WordPress Blog Website Ki Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye – google adsene ke ads kaise banate hai, aur phir apne blog ya website ke header footer ya sidebar me ads kaise lagate hai. ye mai pehle hi bata chuka hun. But new blogger ke liye sabse badi problem ye hoti hai. ki ounhe post ke becch me adsene ke ads kaise lagate hai ke baare me zyada kuchh pata nahi hota.

Esliye we apne blog ya website ke posts ke andar google adsense ke ads ko show nahi karte. Only header footer ya sidebar me hi ad ko show karte hai. kyuki header footer aur sidebar me adsene ke ads ko show karna bahut hi easy hai. Eski wajah se ounki earning bhi bahut kam hoti hai. Posts ke beech me ads ko show karke hi ham zyada earning kar sakte hai. kyuki jab readers jab post read karte hai. to ounka dhyaan post ke beech me show ho rahe adsense ads par Zyada jata hai.

Jis par click karne ke chances increase ho jate hai. google adsense hame cpc matlab cost per click ke hisab se paisa deta hai. jab tak hamari site par show ho rahe ads par koei click nahi karega, tab tak hame koei income nahi hogi.

Adsense se zyada income kaise kare? Eske liye hamari site par ads ka sahi jagah par show hona bahut zaroori hai. post me ads ko show karke ham achchhi income kar sakte hai.

Mai apne blog par 1 text and display ad header me, 1 text and display ad sidebar me, aur 2 text and display ads post ke andar show karta hun. Eske alawa post ke beech me 3 link ads bhi use karta hun.

Mujhe sabse zyada income post ke andar show ho rahe text and display ads aur link ads se hoti hai. meri tarah aap bhi apne blog ya website ki all post ke beech me adsense ke ads ko show karke apni income ko increase kar sakte hai.

Lekin many blogger ko pata nahi hot hai ki we apne blog post ke beech me ads ko show kaise kare. Es post ko carefully padhe. kyuki Ab aage ham yahi janege ki wordpress.org platform par banaye gaye blog ki sabhi post me adsene ke ads show kaise karte hai. ya kaise lagate hai.

WordPress Blog Ki All Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

WordPress blog ki all posts me adsense ke ads lagane ke liye hame sabse pehle wordpress blog ke dashboard me login karna hoga.

Step 1. Ad injection plugin

WordPress blog dashboard me login hone ke baad hame sabse pehle ‘ad injection’ plugin ko install karke active karna hoga. Aur phir ad injection plugin ki setting karni hogi.

Step 2. Top ad

Top ad ke box me hame text and display adsense ad ke code ko paste karna hai. es box me ad code ko paste karne ke baad hamari site ki all post ke title ke neeche text and display ads show hone lagega.

Step 3. Random ad

Random ad ke box me hame link ad ke code ko paste karna hai. es  box me link ad ke code ko paste karne ke baad hamari site ki all posts ke beech me 1 link ad 1st paragraph ke baad aur 2 link ad automatic kahi bhi post me show ho sakte hai.

Step 4. Bottom ad

Bottom ad ke box me ham top ad ke box me paste kiye jane wale ad code ko hi paste kar sakte hai. es box me ad code ko paste karne ke baad hamare blog ya website ke all posts me neeche se 2 paragraph oupar text and display ad show hoga.

Es tarah se ham 1-1 text and display ads ko header aur footer me show karne ke alawa 2 text and display ads post ke beech me aur 3 link ads bhi post ke andar show kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki wordpress blog ki all post ke beech me adsense ke ads ko show kaise karte hai ya kaise lagate hai.

5 thoughts on “WordPress Blog Website Ki Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye”

  1. Nice Post, Very Help me……for adds showing…..
    Very Very Thanks Sir….Good Work…..Keep Up It………..

    Reply

Leave a Comment