Home » Blog » Blogging » Blogger Platform Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare

Blogger Platform Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare

Blogger Platform Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare : jab koei new blogger blogging ki duniya me kadam rakhta hai, to wo apna pehla blog free me hi banana chahta hai. kyuki starting me ouse blogging ki zara bhi knowledge nahi hoti. Free me blog banakar aur ous par blogging karke wo kuchh hi dino me enke bare me bahut kuchh jaan jata hai.

Free blog banakar ouspe blogging karne ke liye maximum new bloggers, google ke blogger blogspot platform ko hi select karte hai. kyuki blogger blogspot par ham apne gmail id aur password ka use karke free me hi  apan blog bana sakte hai. Maine bhi aisa hi kiya thah, jab mai blogging me naya thah to maine bhi apna pehla blog google ke free platform par hi banaya thah. Kyunki mujhe starting me blogging ki zyada knowledge nahi thih. Esliye mai money invest karke kisi paid platform par apna blog banana nahi chahta thah.

Blogger blogspot par blog banana mujhe facebook account banane se bhi easy laga. Es platform par maine 1 – 2 months blogging ki, aur blog, blogging, blogger ke baare me kaafi kuchh jaan gaya. Aaj mai domain name aur web hosting ko hastgator company se khareekar wordpress.org ke paid platform par blogging kar raha hun. Aur ab mujhe blogging karne me koei pareshani nahi aati.

Lekin jab mai google ke blogger blogspot platform ko use karta thah, tab mujhe apne blog ko seo friendly aur readers friendly banane ke liye bahut kuchh settings karni padi thai. ye sab baate mai es post me aap ke sath share karunga. Kyunki new blggers ko en bato ke baare me pata nahi hota. Aur seekhne aur samajhne me kafi time lag jata hai.

Blogger blogspot platform par blog banane ke baad kya kya kare

Blogger blog ke liye kaisi theme select kare, blog identity ke liye kya kya add kare, sidebar me koun koun se widget add kare, koun koun se page banaye, aur blog ko kahan kahan submit kare. En sab baato ke baare me new bloggers ko pata nahi hota. Aaj mai oun sabhi steps ko bataounga. Jo hame blogger blogspot platform par blog banane ke baad karne padte hai.

Blogger blog ke liye kaisi theme / template select kare

Sabse pehle apne blogger blog ke liye ek simple aur fast load hone wali theme / template ko select kare. Jisse ki browser me blog jaldi open ho. Kyuki jo blogs open hone me zyada time lete hai, aise blogs ko ignore karke readers doosre blog par visit kar jate hai. Blog me use ki jane wali theme / template seo friendly aur mobile friendly bhi ho. Kyuki seo friendly hone se hamare blog ki har post search engine me jaldi show hogi, aur mobile friendly hone se hamara blog mobile par bhi aasaani se open hoga. Dhiyan rakhe aajkal log computer se zyada mobile par internet chalana zyada pasand karte hai.

Blogger blog me koun koun se gadget add kare

  • Featured post gadget add kareke ham apne blog ki kisi khas post ko apne blog par show kar sakte hai.
  • Blog search gadget add karne se koei bhi visiters hamari purani se purani post ko easily find kar sakta hai.
  • Profile gadget add karne se ham blog admin ki information ko apne blog par show kar sakte hai.
  • Labels gadget add karne se hamne apni jis jis post me label add ki hogi, we sab label wise show hogi.
  • Blog archive gadget add karne se hamare blog par ye show hoga ki hamne kis month aur kis year me kitni post publish ki hai.
  • Link list gadget add karke ham apne blog par kisi social profile ya kisi post pages aadi ka link add kar sakte hai.
  • Popular posts gadget add karne se hamare blog par popular posts ke box me we posts show hogi, jo sabse zyada read ki gaei hai.
  • Blogs status widget ko add karke ham apne blog par blog page view show kar sakte hai.
  • Follow by email gadget ko add karne par hamare blog me email subcription box add ho jayega. Phir koei bhi insan email subscriptions lekar hamare blog posts ko seedhe apne email inbox me pa sakta hai.
  • Google+ followers gadget add karke ham apni google plus profile ke followers ko apne blog par show kar sakte hai.

Blogger blog ki identity ke liye kya kya kare

  • blog discription ko add kare
  • header image ko add kare
  • favicon ko add kare

blogger blog  se kya kya remove kare

blogger blog ke liye koun koun se page banaye

Blogger blog ki basic setting me kya kya setup kare

  • Title check kare. Koei galti ho, to change kare.
  • Blog discription me blog se related kuchh words add kare.
  • Blog address ko check kare.
  • https redirect ko enable kare.

Blogger blog ki posts, comments and sharing setting me kya kya setup kare

  • blog ke home page par kitni post show karni hai. wo set kare.
  • Posts par koun koun comment kar sakta hai, wo set kare.
  • Comment moderation ko always kare.

Blogger blog ki language and formating setting me kya kya setup kare

  • Apne blog ki language select kare.
  • Enable transliteration me blog language se doosri laguage select kare.
  • Time zone me apni country ka time zone select kare.
  • Date header formate select
  • Timestamp format select kare.
  • Comment timestamp format select kare

Blogger blog ki search preferences setting me kya kya setup kare

Es setting me jane ke baad hame meta tags ka option dikhaei dega. Yahan meta discription ko enable karke, box me meta discription ko add kare.

Blogger blog ko kin kin webmaster tools me submit kare

Blogger blog ko bing, yandex aur google webmaster tools me submit karne se pehle apne blog par 5-10 post publish kare. Phir apne blog ka sitemap banaye. Sitemap banane ke baad blog ko google search console, bing webmaster tools, yandex webmaster tools me submit kare. Aur sitemap ko bhi google search console me submit kare.

Es tarah se ham blogger blogspot platform par banaye gaye blog ke sabhi zaroori steps ko poora kar lenge. Ab ham apna sara dhiyan post likhne aur posts publish karne me laga sakte hai

I hope, es post ko padhne ke baad aap jan gaye honge ki blogger blogspot par blog banane ke baad hame kya kaya karna chahiye.

12 thoughts on “Blogger Platform Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare”

  1. Waah bhai bahut hi badiya jankari share ki hai aapne mujhe in sabhi settings ke bare me nahi pata tha.Lekin kuchh settings ki jankari thi. So thanks for sharing this post.

    Reply
  2. sir maine aapki bahut si post padhi hai.padhkar bahut hi help milti hai. sir maine karib four month pahle website banai thi aur uspar abhi bhi traffic kam aa raha hai. isliye aap se nivedan hai kuchh achhi tips bataye.
    Dhanyawad

    Reply
  3. kya baat hai bhai first time aapke blog par visit kiya bahut achhi information di hai aapne thanks aapki writing skill bahut achhi hai bhai…..

    Reply
  4. hello sir ji

    mere ko apki thodi help chahiye .

    ki

    footer se “powered by blogger” ko Kaise remove kare .
    iske bare me

    ppplllleeeeeaaaaasssssseeeee

    bataye

    Reply
  5. Good blog but bro aap template change kr dijiye kyoki ye professional nhi lagta hain.
    Achha hain lekin ….

    Reply

Leave a Comment