Home » Blog » Blogging » Free Blog Website Kaise Banaye Blogger Blogspot Platform Par

Free Blog Website Kaise Banaye Blogger Blogspot Platform Par

Blogspot Platform Par Free Blog Website Kaise Banaye Blogger : Only Free me blog banana ke liye bahut se platform internet par available hote hai. Lekin aaj kal sabse zyada famous sirf 2 hi platform hai. Ek to blogger.com aur doosra wordpress.com. En dono platform par koi bhi person free me apna blog bana sakta hai. Agar in dono me se kisi ek ko select karna pade to maximum bloggers blogger.com par hi apna blog banana pasand karte hai. Kyuki eske aneko fayde hai. Jinke baare me aap ‘blogger blogspot par free blog banane ke fayde kya hai’ post me detail se read kar sakte hai.

Blogger.com ek google ki service hai. Esliye eske oupar poora bharosa kiya ja sakta hai. Es par blog banane ke liye hamare paas ek gmail account, computer ya mobile, aur internet ki facility hona zaroori hai. Es post me mai computer par 1 free blog banana bata raha hun.

Blogger Par Free Blog Banane Ke Important Fayde Kya Hai

  • gmail account se hi blog bana sakte hai.
  • ek account se 100 blog bana sakte hai.
  • 5 minuter me hi blog bana sakte hai.
  • top level domain name add kar  sakte hai.
  • advertisements laga  sakte hai.
  • income kar sakte hai.
  • youtube videos ko show kar sakte hai.
  • blogger blog ke hack hone ke chance kam hote hai.
  • bahut sari free template ka use kar sakte hai.
  • blog or post ki language change kar sakte hai.
  • blog name aur blog url ko kabhi bhi change kar sakte hai.
  • feedburner feed ko blogger blog me add kar sakte hai.
  • blog ka complete backup le sakte hai.
  • useless blog ko permanently delete kar sakte hai.
  • unlimited bandwidth paa sakte hai.
  • page view easily check kar  sakte hai.
  • post ko social networking sites like facebook, twiter, googl plus etc.. par share kar sakte hai.
  • comments ko publish, remove delete bhi kar sakte hai.
  • site icon, site logo, google plus profile, lebel, link list, text message, popular posts aadi  ko add kar sakte hai.
  • special posts ko highlight kar sakte hai.
  • admin ko add, change, aur delete kar sakte hai.
  • login account change kar sakte hai.

Blogger Blogspot Platform Par Free Blog Kaise Banaye

Blogger blogspot platform par free Blog banane ke liye hame sabse pehle blogger ki website par visit karna hoga. Jaise hi ham blogger ki website par visit karenge to hamare computer ki screen par hame eska home page dikhaei dega.

Step 1 : sign in

Ab hame es page par nazar aa rahe “sign in” button par click karna hai. Sign in button par Click karte hi hamare samne blogger me signin karne ke liye ek page open hoga.

Step 2 : enter email address

  1. Esme sbse pehle hame apna gmail wala email address enter karna hai.
  2. Ab next par click karna hai.

Abhi hamara blogger me signin ka process complete nahi huwa hai. Next par click karte hi hamare samne ek aur page open hoga.

Step 3 : enter password

  1. Es page par hame apna email address show hoga, jo hamne abhi abhi login karne ke liye enter kiya hai.
  2. Ab apne email address ka password enter karna hai.
  3. Ab signin ke button par click karna hai.

Agar hamne apna sahi email aur sahi password enter kiya hai, to ham easily blogger.com platform me signin ho jayenge.

Step 4 : verify your google plus profile

Ab hame new page par ‘welcome to blogger’ likha huwa dikhaei dega. es par hame apni google plus profile ko confirm karna hai ki ye sahi hai ki nahi.

  1. apna name check kare.
  2. apna google plus profile photo check kare.
  3. aur phir ‘continue to blogger’ par click kare.

Step 5 : click on ‘got it’ button

Continue to blogger ke button par click karte hi ‘check out your simplified blogger dashboard’ ka ek messege show hoga. Ese read karne ke baad ‘got it’ button par click karna hai. Ab ham blogger ke dashboard par pahunch jayege.

Step 6 : read and remove message

yahan hame dashboard me show ho rahe sabhi message ko read karke hata dena hai. eske liye…

  1. sabse pehle ‘your blog live here’ ke ‘got it’ button par click kare.
  2. messages me show ho rahe cross nishan par click kare.

ab hamare dashboare par show ho rahe sabhi messages hat jayenge. aur hamare blogger dashboard ke sabhi option clear dikhaei dene lagenge.

Step 7 : click on ‘new blog’ option

  1. Yahan hame ‘NEW BLOG’ option par click karna hai.
  2. Ab hame ek aur new blog ka option show hoga. Es par click karte hi hamare samne ‘create a new blog’ ka ek page open hoga.

Step 8 : Create a new blog

  1. Esme sabse pehle apne blog ka title matlab blog ka name enter kare. For example – Helpful Book
  2. Apne blog ka address enter kare. For example – helpfulbook.blogspot.com. esme blogspot.com same rahega, lekin helpfulbook ki jagah kuchh bhi enter kiya ja sakta hai.
  3. Poora address enter karte hi, hame apne address ke neehe right side me ek line likhi hoei show hogi. Agar hamara addres pehle se hi kisi aur person ne ragister nahi kiya hai, to hame ‘this blog address is available’ likha huwa show hoga.
  4. Ab hame koi ek template select karni hogi. Eski liye kisi bhi ek template par click kare.
  5. Aur phir ‘create blog’ ke button par click kare.

Step 9 : blogger dashboard

Create blog button par click karte hi hamara ek blog ban jayega. Aur ham automatic apne blog ke dashboard par pahunch jayege.

  1. Yahan hame apne blog ka name dikhaei dega.
  2. Aur hame apne blog dashboard me ‘new post’ ka button bhi dikhaei dega. Jis par click karke ham 1 new post apne blog par publish kar sakte hai. Aur apne vichaar sari duniya tak pahuncha sakte hai.

Blogger Blogspot Platform Par Free Blog Kyun Banaye

Abhi hamne blogger blogspot platform par 1 free blog bana seekha, esko banane ke sath sath hame ye bhi pata hona chahiye ki esko kyun banana chahiye. Waise to Google ke blogger blogspot platform par blog banane ka bahut fayde hote hai. Lekin eska sabse bada fayda ye hota hai ki hame esko banane me apna 1 rupya bhi kharch nahi karna padta.

Bina paise kharch kiye hi ham blogging field me kadam rakh sakte hai aur eska good experience prapt kar sakte hai. Jaise har kaam ki starting me kuchh na kuchh problems face karni padti hai, theek waise hi blogging ki starting me bhi hame bahut si problems ka samna karna padta hai.

Lekin ham google ke blogger.com ya blogspot platform par free blog banakar kuchh din me hi blogging ki bahut si knowledge prapt kar sakte hai. Phir Jab ham bad me domain name aur webhosting buy karke wordpress.org par koi paid blog banate hai, to hame blogging karne me koi pareshani nahi aati.

Kyuki tab tak hame blogging ka kafi experience ho jata hai. Esliye har new bloggers ke liye meri yahi adwise rehti hai ki unhe blogging ki starting me hi paise kharch nahi karne chahiye. Kuchh din google ke blogger blogspot platform par blogging ka free me experience karke hi aage badhna chahiye.

Jo log apne experience, tips, tricks, thoughts, and apni koi bhi knowledge public ke sath share karne ke liye blogs banana chahte hai, Aur blogging ke bare me kam knowledge rakhte hai. To Unko apna pehla blog blogger.com par hi banana chahiye.

Kyuki Eske kaei fayde hote hai. Jinme se ek bada fayda to ye hai ki ye bilkul free hai. Free hone ke sath sath ye bahut easy aur simple bhi hai. Es par ham apne 1 hi gmail ya google account se 100 blogs bana sakte hai. koi bhi wo insan jo internet ki thhodi si bhi knowledge rakhta hai, badi aasani se blogger.com par apne blogs bana sakta hai. kyuki, esko es tarah se design kiya gaya hai ki blogging ki kam knowledge rakhne wala person bhi ese easyli use kar sake.

Free me blogging karne ka ye ek best platform hai. Es par ham apne blogs me custom domain name add kar sakte hai. Jisse hamare blogs ko ek alag pehchan milti hai, aur hamare blogs professional nazar aate hai. Espar banaye blogs ko ham kisi other platform jaise wordpress aadi par move bhi kar sakte hai.

Finally, Es post me hamne jana ki Blogger blogspot platform par 1 free blog kaise banate hai, Aur Blogger blogspot platform par 1 free blog kyun banate hai.

19 thoughts on “Free Blog Website Kaise Banaye Blogger Blogspot Platform Par”

Leave a Comment