Home » Blog » Blogging » Comments Ko Automatic Approve Publish Hone Se Kaise Roke

Comments Ko Automatic Approve Publish Hone Se Kaise Roke

Comments Ko Automatic Approve Publish Hone Se Kaise Roke : new bloggers jab apna blog banate hai, to ounhe apne blog / website ki setting setup karne ki zyada jankari nahi hoti. En settings ko seekhne samajhne aur karne me kafi time laga jata hai. Apne blog / website ki settings me comments ki setting karna bhi bahut zaroori hota hai. aisa na karne par visitors ke through ki gaei comments bina blog admin ke automatic hi approve hokar publish ho jati hai. kisi bhi comment ka automatic approve hokar publish ho jana theek nahi hata.

Kyuki visitors apni comment me bewajah ke link aur faltu ki baate, aur koei galat words wali comment bhi kare hai to wo bhi bina blog admin ki marzi ke automatic approve hokar publish ho jati hai. Ye hamare blog ke liye bahut bada khatra hai. esse blog aur blog admin, dono ki chhavi kharab hogi. Esliye comments ko moderate karna, apne blog / website ke kisi bhi post par comment ko automatic approve hokar publish hone se rokna bahut zaroori hai.

Kuchh bloggers esko rokna bhi chahte hai, to eski complete jankari na hone ki wajah se we ese rok nahi pate. Aur ounke blog / website ke posts par har tarah ki comments automatic approve hoti rehti hai.

Agar aap bhi ye soch soch kar pareshan hai ki comments moderate kaise kare, ya apne bog / website ki posts par automatic comments hone se kaise roke. To es post ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janege ki wordpress blog aur blogger blog me comments ko automatic approve / publish hone se kaise rokte hai.

WordPress blog me comments ko automatic approve / publish hone se kaise roke

Jab ham business ke liye apna blog banate hai, to ham blogging ke liye sabse best self hosted platform wordpress.org ko select karte hai. jiske liye hame hosting provider companies jaise hostgator, bluehost, godaddy aadi se domain name aur web hosting ko khareedna padta hai.

Web hosting aur domain name ki help se apna blog / website banane me hame koei problem aati hai, to ham apni hosting company ke customercare me call karke help le sakte hai. lekin agar blog banane ke baad hame apne blog me koei setting karni hoti, to ouske liye hosting company wale hamari koei help nahi kar sakte.

Apne blog / website ki sabhi settings hame self hi karni padti hai. en settings me se ab mai aapko wordpress.org platform par banaye gaye blog me kisi bhi posts par kisi bhi readers ke duwara ki gaei comment ko automatic aaprove hokar publish hone se rokne ki setting bata raha hun.

Waise to wordpress.org platform par jab ham apna blog banate hai. to hame by default comments ki aisi setting milti hai ki jab bhi koei readers comment karta hai, to ouski comment automatic approve hokar publish nahi hoti. Ouske comment hame pending option me show hoti hai.

Lekin  agar ham ous readers ki comment ko manual approve karke publish kare, aur ouski comment ka reply bhi de. To agli baar jab wo hamari comment ka reply karega to wo automatic approve hokar publish ho jayegi. Aur hame pata nahi chalega.

Esliye wordpress blog me har comment ko pending option me pane ke liye aur manual approve karke publish karne ke liye neeche bataei gaei settings kare.

Step 1 : dashboard > settings > discussion

  1. Sabse pehle hame apne wordpress blog dashboard me settings option par apne mouse ke cursor ko le jana hoga.
  2. Ab discussion option par click karna hoga.

Step 2 : before a comment appears

Discussion option par click karte hi discussion settings ka page open hoga. Es page me hame “before a comment appears” ke neeche…

  1. ‘comment must be manually approved’ par click karna hai.
  2. ‘comment author must have a previously approved comment’ par click nahi karna hai.

Ab save change button par click karke discussion settings ko save karde. Setting save karte hi ab kisi bhi visitors ki kisi bhi post par ki gaei comment hamare wordpress dashboard me comments ke pending option me show hogi. Aur hamare duwara approve karne par hi publish hogi.

Blogger blog me comments ko automatic approve / publish hone se kaise roke

Jab hame free me apna blog banana hota hai, to ham blogger.com platform par easily bana lete hai. kyuki ye ek google ki service hai, aur yahan hame domain name aur web hosting khareede bina hi blog banane ki facility milti hai. ab mai aapko esi blogger.com platform par banaye gaye blog me kisi bhi posts par kisi bhi readers ke duwara ki gaei comment ko automatic aaprove hokar publish hone se rokne ki setting bata raha hun.

Step 1 : dashboard > settings > posts, comments and sharing

  1. Hame sabse pehle apne blogger blog ke dashboard me settings par click karna hai.
  2. Ab ‘posts, comments and sharing’ option par click karna hai.

Step 2 : posts, comments, and sharing settings

Posts, comments and sharing option par click karte hi enki setting karne ka ek page open hoga. Ab hame cmments section me kuchh changes karne hoge.

  1. ‘who can comments’ me anyone ko select kare.
  2. ‘Comment moderation’ me always ko select kare
  3. Save settings ke button par click karke setting ko save kar de.

Setting save karte hi ab hamare blog ki kisi bhi post par koei bhi readers comments kar sakta hai. lekin ouski comment hamare blogger blog ke dashboard par comments ke awaiting moderation option me show hogi. Aur hamare duwara approve karne par hi publish hogi.

Comments ko automatic approve / publish hone se rokne ke fayde kya hai

Ham apne blog / website me kuchh settings karke apni kisi bhi post par kisi bhi readers ki comment ko automatic approve hokar publish hone se rok sakte hai. esse hame ye benefit milta hai. ki ham apne blog par apni marzi se hi kisi bhi comment ko delete aur approve kar sakte hai.

Kyuki jab ham blgging karte hai to hamare blog par bahut se comments faltu ki hoti hai. jinhe ham apne blog par kisi bhi haal me publish nahi kar sakte. Koei insan hamare blog par koei galat comment kare to wo bhi publish nahi ho sakti. Aur ham aisi comments ko delete, spam, aur block kar sakte hai.

Waise hame apna blog / website banane ke baad CommentPpolicy page bana lena chahiye. Aur es policy ko follow karke hi apne blog visitors se comments karne ke liye kehna chahiye. Ye post padhe : apne blog website ke liye comment policy page kaise banaye.

Finally, es post me hamne jana ki wordpress aur blogger blog ki kisi bhi post par kisi bhi visitors / readrs ki comments ko automatic approve hokar publish hone se kaise rokte hai. aur eske kya kya fayde (benefits) hote hai.

1 thought on “Comments Ko Automatic Approve Publish Hone Se Kaise Roke”

  1. Mujhe yah problem kai din se thi joki ab thik ho gayi hai, ise share karne ke liye Thank you so much

    Reply

Leave a Comment