Home » Blog » Technology » Computer Keyboard Ki F1 Se F12 Function Keys Ka Use Kaise Kare

Computer Keyboard Ki F1 Se F12 Function Keys Ka Use Kaise Kare

Computer Keyboard Ki F1 Se F12 Function Keys Ka Use Kaise Kare : all computer users jante hai ki computer keyboard me alphabetic characters, numbers, symbols aur function keys hoti hai. jinka use ham apne laptop aur computer par work karte time karte hai. jis tarah se ham kisi work ko turant aur easy tarike se karne ke liye shortcut keys ka use karte hai. theek esi tarah f1 se f12 function keys ka use karke bhi ham apne kaam ko easy tarike se kar sakte hai.

But, bahut kam computer users hi aise hai, jo enke bare me knowledge rakhte hai. f1 se f12 function keys me alag alag command set hoti hai. jo difference work karti hai. waise to function keys ki etni zaroorat nahi padti. But enka use karna hame pata ho, to ham apne kaam ko aur bhi easy bana sakte hai.

Es post me ham f1 se f12 tak ki all function keys ke baare me baat karenge. Aur janege ki… computer keyboard ki function keys kya hoti hai? function keys ka use kab kyun aur kaise karte hai.

Computer Keyboard Ki Function Keys Ka Use Kaise Kare

Computer keyboard me 12 function keys hoti hai. har ek function keys ka use alag alag work ke liye kiya jata hai. chliye jante hai ki kis function key ka use kahan kiya jata hai.

F1 function key ka use kahan hota hai

  • window help center open karne ke liye
  • ctrl+f1 key press karke task panel open karne ke liye

F2 function key  ka use kahan hota hai

  • windows me kisi file ko rename karne ke liye
  • alt+shift+f2 press karke microsoft me document window open karne ke liye
  • ctrl+f2 press karke microsoft word me print preview dekhne ke liye

F3 function key ka use kahan hota hai

  • window key+ f3 press karke windows advanced find box open karne ke liye
  • shift+f3 press karke microsoft word me text change karne ke liye
  • windows me application ko search karne ke liye

F4 function key ka use kahan hota hai

  • windows and internet explorer me address bar open karne ke liye
  • alt+f4 press karke windows shut down, sleep, shut down, restart etc.. karne ke liye
  • ctrl+f4 press karke single tab ko close karne ke liye

F5 function key ka use kahan hota hai

  • page ko refresh karne ke liye
  • power point me slide show karne ke liye
  • Microsoft word me find, replace aur go to ke liye

F6 function key ka use kahan hota hai

  • Ctrl+shift+f6 press karke microsoft word me another document open karne ke liye
  • Browser me mouse ke cursor ko address bar me le jane ke liye

F7 function key ka use kahan hota hai

  • Mozilla browser me caret browsing on karne ke liye
  • Microsoft word document me spelling aur grammer check karne ke liye

F8 function key ka use kahan hota hai

  • Computer or laptop ko open karte time computer safe mode ko open karne ke liye

F9 function key ka use kahan hota hai

  • Ms outlook me email send aur receive karne ke liye
  • Ms word document ko reffresh karne ke liye

F10 function key ka use kahan hota hai

  • Microsoft office me sabhi tools option aur menu bar active karne ke liye

F11 function key ka use kahan hota hai

  • Internet browser ko full screen mode karne ke liye

F12 function key ka use kahan hota hai

  • Ctrl+f12 press karke microsoft word me document open karne ke liye
  • Shift+f12 press karke ms word aur excel me document ko save karne ke liye

Ye thih computer keyboard ki f1 se f12 function key ke use karne ki jankari. Jinke through ham apne computer par work aur easily kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki computer keyboard ki f1 se f12 function key ko kaise aur kahan use karte hai.

2 thoughts on “Computer Keyboard Ki F1 Se F12 Function Keys Ka Use Kaise Kare”

Leave a Comment