Home » Blog » Technology » Computer Or Laptop Me Complete Screenshot Kaise Le

Computer Or Laptop Me Complete Screenshot Kaise Le

Computer Or Laptop Me Complete Screenshot Kaise Le – agar ham ek blogger hai, to blog website ki post me hame bahut sari images ko insert karna padta hai. eske liye hame apne laptop or computer se screenshot lene ki bhi zaroorat padti hai. esliye aaj es post me main laptop aur computer me screenshot kaise liya jata hai ke bare me detail se bataounga.

Screenshot lene ke bahut sare tarike hote hai. ham apne laptop or computer me keyboard se shortcut keys press karke, aur software ke through easily screenshot le sakte hai. eske liye bahtut sari shortcut keys aur internet par bahut sare software available hai. es post me main aapko sabse aasan tariko se screenshot lene ke bare me bataunga.

Jiske baad aap apne laptop or computer se easily screenshot le sakenge. Aur apne blog website ki post me screenshot ko insert kar sakenge. To chaliye jante hai ki.. laptop or computer me complete screenshot kaise le? Aur pc me scrennshot lene ke kitne tarike hai?

Computer Or Laptop me Screenshot Kaise Le

Computer or laptop me screenshot lene ke bahut se tarike hai. kuchh tarike hard hai, to kuchh bahut easy hai. aage mai aapko computer or laptop me easy tarike se screenshot kaise le ke bare me jankari de raha hun.

Computer or Laptop Me Print Screen Button Se Screenshot Kaise Le

  1. Aap ko jis screen ka screenshot lena hai, ouse computer or laptop ki screen par laye.
  2. Computer keyboard se ‘Print Screen’ ke button ko press kare.
  3. Paint software ko open kare.
  4. Aur ctrl+v button ko press kare. Press karte hi hamne jis screen ka print copy kiya thah. Wo image paste ho jayegi.
  5. Ab ham ouse apne computer ke kisi bhi folder me save kar sakte hai.

Save karte hi hamara liya huwa screenshot ek image ke roop me show hone lagenga. Jis ke baad hame ouse photoshop aur ms paint ki help se edit karke apne blog or website ki post ke beech me insert kar sakte hai.

Computer or Laptop Me Kin Software Se Screenshot Le

Computer or laptop me screenshot lene ke liye bahut sare software available hai. jinme lightshot, greenshot, tinytgrab, marker, sahrex, skitch etc.. software sabse best hai. ye sabhi software windows ke liye free me available hai. En software ki help se liye gaye screenshot ko ham better look bhi de sakte hai. aur phir ounhe apni site par add kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki computer or laptop me print screen button ko press karke screenshot kaise lete hai. aur kin kin software se lete hai.

Leave a Comment