Home » Blog » Technology » Computer Laptop Me Temporary Files Delete Or Disk Clean Kaise Kare

Computer Laptop Me Temporary Files Delete Or Disk Clean Kaise Kare

Computer Laptop Me Temporary Files Delete Or Disk Clean Kaise Kare : jab ham apne computer or laptop par internet use karte hai, to internet ke through hamare system me temporary files, error files, or junk files etc.. store hona start ho jati hai. Jiski wajha se hamara computer or laptop slow work karne lagta hai, aur kabhi kabhi bahut zyada hang hone lagta hai. esse hame online aur offline dono tarah ke work karne me hi problem hone lagti hai.

But, agar ham apne computer or laptop se temporary files, error files, aur junk fiels etc.. ko permanently delete karke c drive ko clean karde, To hamara system phir se fast work karne lagata hai. jiske baad hame online aur offline work karne me koei problem nahi aayegi.

Internet se receive hone wali all temporary fieles hamare computer or laptop ke  c drive me store hoti hai. agar ham kuchh time tak enko permanently delete na kare to c drive full hone lagti hai. aur system slow work karne lagta hai.

Esliye hame apne system se 7-8 days me ek bar temporary files, error files, jink files, etc.. ko remove karke c drive ko free kar dena chahiye.  Chaliye, ab jante hai ki… computer or laptop se temporary files, junk files, or error files ko permanently delete kaise kare? computer laptop me c drive ko free or disk clean kaise kare?

Computer Or Laptop Se Temporary Files Ko Delete Kaise Kare

Computer or laptop se temporary files ko delete karne ke liye, agar koei program open hai, to sabse pehle ouse band karde. Phir neeche diye steps ko follow kare.

Step 1. Start button

  1. Start button par click kare.
  2. Search box me %temp% type kare. Aur, keyboard se enter perss kare. Enter press karte hai all temporary files ki list show hogi.

Step 2. Select all files and delete all files

  1. Keyboard se ctrl+a button ko press karke, all temporary files ko select kare.
  2. Keyboar se shift+delete button ko press kare. Turant hi ek pop window open hogi. Jisme hamse files ko delete karne ke liye poocha jayega. es popup window me delete ke button par click kare.

Step 3. Skip

Delete button par click karte hi all temporary files permanently delete hona start ho jayegi. But, kuchh files delete nahi hogi. Aur ek popup window open hogi. Jisme hame ‘the action can’t be completed’ message show hoga. Aap ounhe skip kar sakte hai.

Computer Or Laptop Me C Drive Ko Free Aur Disk Clean Kaise Kare

Apne computer aur laptop me c drive ko free or disk ko clean karne ke liye sabse pehle open huwe all programs ko close karde. Aur neeche bataye gaye steps ko follow kare.

Step 1. Disk cleanup

  1. Start button par click kare.
  2. Search box me ‘disk cleanup’ type karke program ko search kare.
  3. Aur phir disk cleanup program par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi.

Step 2. Drive selection

  1. Aap ko jis drive ko clean karna hai, ousko select kare. Agar aap c drive clean karna chahte hai, to c drive ko select kare.
  2. Ab ok ke button par click kare. Ok button par click karte hi scanning hona start ho jayegi. Scanning complete hone ke baad ek pop up window open hogi.

Step 3. Delete files

  1. Es popup window me system error memory dump files, downloaded program files, temporary internet files, recycle bin, temporary files, thumbnails, etc.. all files ko select kare.
  2. Ok button par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi.
  3. Es me delete files ke button par click kare.

Delete files ke button par click karte hi c drive me available all junk files delete hona start ho jayegi. Es tarah se ham apne computer aur laptop ko all drive ko clean and free kar sakte hai.

Computer Or Laptop Se Temporary Files Ko Delete Karne Ke Fayde Kya Hai

Es post me bataye gaye en dono steps ko follow karke aap apne system se temporary, junk, error, aur necessary files ko delete kar apne computer or laptop ki speed boost kar sakte hai. aur apne system ki slow working aur baar baar hone wali hanging problem se chhutkara pa sakte hai.

Computer or Laptop Se Temporary Files Ko Delete Kab Kare

Long time tak computer use karte rehne se ousme bahut sari temporary aur junk files store ho jati hai. es reason se hamare system me slow working aur hanging problem hona start ho jati hai. jis se hame apna work karne me bahut pareshani hoti hai. es se bachne ke liye 8-10 days me ek baar apne system se temporary files ko delete aur disk ko clean karte rehna zaroori hai. Aisa karne se hamare computer or laptop me unnecessary files store nahi hoti. Aur hamara system fast work karta rehta hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki apne computer or laptop se temporary files ko permanently delete kaise karte hai, aur disk clean kaise karte hai.

2 thoughts on “Computer Laptop Me Temporary Files Delete Or Disk Clean Kaise Kare”

Leave a Comment