Home » Blog » Blogging » Blog Website Ke Liye Complete Contact Us Page Kaise Banaye

Blog Website Ke Liye Complete Contact Us Page Kaise Banaye

Blog Website Ke Liye Complete Contact Us Page Kaise Banaye : agar ham ek blogger hai, aur blog banakar ous par regular blogging karte hai. to hamare liye contact us page ko banana bahut zaroori hota hai. es page ko banane se blog par aane wale kisi bhi visitors ko hamse sampark karne me help milti hai. Yadi kisi readers ko blog se related koei information leni hoti hai, ya koei advise deni hoti hai to wo direct blog admin se hi sampark karna behtar samajhta hai. blog admin se sampark karne ke liye wo blog par show ho rahe contactus page par jakar wahan se sampark karne ke liye di gaei information ke through, blog admin se sampark kar sakta hai.

eske alawa google adsense ke ads apne blog me lagane ke liye hame pehle google adsense ka approval pana hota hai. google adsense ke rules anusar ounhi blog website me google adsense ke ads lagaye ja sakte hai. jin blog website me aboutus, contactus, privacy policy, disclaimer aadi page add honge.

Esliye apne blog website ke liye hame contactus page banana zaroori hota hai. agar aap bhi ek blogger hai aur apne blog website ke liye es page ko banana chahte hai. to es post ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janege ki wordpress blog aur blogger blog ke liye contact us page kaise banate hai.

Blog / Website ke liye contact us page kaise banaye

Jab ham apne blog ke liye contactus page banate hai, to hame ous page me kuchh information add karni zaroori hoti hai. jis ke through blog readers hamse easyli aur direct sampark kar sakte hai. blog / website ke liye contactus page ko banate time hame jo information add karni hoti hai, es post me mai oun sab ke bare me bata raha hun. Kyuki koei bhi visitors enke through hi hamse sampark kar sakta hai.

  • Email address add kare.
  • Mobile number ko add kare.
  • Social networking sites jaise facebook, twitter, google plus, linkedin, pinterest, aur instagram ke link add kare.
  • Contact form ko add kare.

En sab ko page me add karne ke baad ham apne blog / website ke liye ek complete contactus page bana sakte hai. agar aap contact form ko add karna nahi jante hai. to ye post padhe : wordpress blog aur blogger blog me contact form ko kaise add karte hai.

WordPress blog me contact us page kaise banaye

WordPress.org platform par banaye gaye blog me contact us page banane ke ke liye hame  sabse pehle apne wordpress dashboard me login hokar pages ke option par apne mouse ke cursor ko le jana hoga. Mouse ke cursor ko page option par le jate hi, pages ke theek samne all pages aur add new, ye 2 option show honge.

Step 1 : click on add new option

Es page me hame add new option par click karn hai. add new par click karte hi dusra page open hoga. Jisme hame apne contact us page ko banane ke liye kuchh details fill karni hogi.

Step 2 : enter your details

  1. Title box me contact us likhe.
  2. Content box me oupar bataei gaei contact us page banane ke liye zaroori information ko enter kare.
  3. Ab publish button par click kare.

Es publish button par click karte hi wordpress.org par banaye gaye blog me hamara contactus page ban jayega.

Blogger blog me contact us page kaise banaye

Blogger platform par banaye gaye blog me contact us page ko banane ke liye hame blogger.com me login karke apne blog dashboard par show ho rahe pages ke option par click karn hai. pages ke option par click karte hi doosra page open hoga.

Step 1 : click on new page option

Es page par hame new page ke option par click karn hoga. New page option par click karte hi ek page open hoga. Jisme hame kuchh details enter karni hai.

Step 2 : enter your details

  1. Title box me contact us likhe.
  2. Content box me oupar bataei gaei contact us page banane ke liye zaroori information ko enter kare.
  3. Ab publish button par click kare.

Es publich button par click karte hi blogger.com par banaye gaye blog me hamara contactus page ban jayega.

Contact us page banane ke fayde kya kya hai

  • Apne blog ya website ke liye contactus page banane se visitors direct blog admin se contact kar sakte hai. aur apna koei question aur advise blog author ke sath share kar sakte hai.
  • Visitors hamare mobile number ke through social networking apps jaise whatsapp, line, facebook mesenger, viber, aadi par easily contact kar sakte hai. aur calling ke through baat bhi kar sakte hai. hamare paas kaei visitors ke number ho jane par ham ek group bhi bana sakte hai. aur ous group me apni har new post ka link share karke apne blog par regular visitors badha sakte hai.
  • Email ke through bhi visitor hamse sampark kar sakte hai. hamare paas sampark karne wale visitors ka emil address aa jane par ham ounke email address par apni har new post ka link send kar sakte hai.
  • Contactus page me hame ek contact form ko add karna hota hai. jisme 4 option (name, email, subject, message) hote hai. jab koei visitors hamse contact form ke through sampark karta hai, to ouse apni sari detail fill karke hi sampark karna hota hai. jiski wajah se ham ouske question ya advise ko easily samajh sakte hai.

ye theh contact us page banane  ke fayde. agar aap ne bhi abhi tak apne blog / website ke liye contactus page nahi banaye hai. to aap es post me bataye gaye steps ko follow karke easily apna page bana sakte hai. yaad rakhe contactus page banana apne blog website me adsense ke ads lagane ke liye bhi zaroori hota hai.

Finally, es post me hamne jana ki wordpress blog ke liye contact us page kaise banate hai. blogger blog ke liye contact us page kaise banate hai. aur contact us page banane ke kya kya fayde hote hai. agar aap contact us page ke baare me aur zyada jante hai to comment ke through apni knowledge ko hamare sath share kar sakte hai.

8 thoughts on “Blog Website Ke Liye Complete Contact Us Page Kaise Banaye”

  1. Thanks…यह blogger के लिए बहुत जरुरी जानकारी है, sir आपने contact us पेज कैसे बनाये aur kaise add kare इसकी जानकारी बहुत ही अच्छी दी है .

    Reply
  2. Hello mere blog pe jo contact us form h wo kam nhi kar rha h. I mean mere mail pe mail receive nhi ho rha h.. kya problem ho Sakti h

    Reply
  3. Sir Mene page to bana liya lekin contact US mere blog me show Nahi ho rah hai please help me

    Reply
  4. Bhahut hi badhiya post likha hai bahi apne aur ye khas karke blogger ke users ko bahut jyada dikkat hoti hai aur apne best tarike se samjahaya hai.

    Reply

Leave a Comment