Home » Blog » Blogging » Country Specific Redirect Url Ki Service Ko Kaise Band Kare Blogger Blogspot Me

Country Specific Redirect Url Ki Service Ko Kaise Band Kare Blogger Blogspot Me

Blogger Blogspot Me Country Specific Redirect Url Ki Service Ko Kaise Band Kare : internet par daily hazaro log, ghar bethe hi income karne ke liye apne liye blogs banate hai. blog banakar blogging karne ke liye maxumum new bloggers blogger blogspot platform par hi apna blog banate hai. Kyuki es platform par blog banana free hai. aur es platform par blog banakar ham google adsense ke ads lagakar income bhi kar sakte hai. yahi wajah hai ki aajkal ghar bethe hi incme karne ke liye hazaro log blogger.com par apna blog banate hai.

Blogger ek google ki service hai. esliye jab hamare blog par visitors aane lage to ham google adsense ka approval pakar apne blog me ads laga sakte hai. jiske baad se hamare free blog se ghar bethe hi income hona start ho jayegi. Free me blogging karke income karne ke liye blogger blogspot se best platform koei dusra nahi hai. lekin free platform hone ki wajah se blogger blog par ham self hosted platform wordpress par banaye gaye blog se kam features ko hi use kar sakte hai.

Google ka product hone ki wajah se wo blogger blogspot me koei bhi changes kar sakta hai. aisa hi ek change google ne country specific redirect url ki service ko start karke kiya.

Es service ke start hone ke baad kisi bhi blog ka url alag alag country me alag alag alag url se open hone laga. Yadi mere blog ka url hsb.blogspot.com thah. To ye india me hsb.blogspot.in show hone laga. Pakistan me ye hsb.blogspot.pk,  united state me hsb.blogspot.us, aur united kingdom me hsb.blogspot.uk aadi show hone laga.

Eski wajah se blogger blogspot par banaye gaye sabhi blogs ki rank down hone lagi. Google ne ye service apne benefits ke liye start ki thih, jisse we sabhi blogs ke url ko easily manage kar sake. Ye servece aaj bhi start hai, esse google ko to fayda hota hai, lekin bloggers ko nuksan hota hai.

Bahut kam bloggers hi jante hai ki ham country specific redirect url ki service ko permanently close bhi kar sakte hai. agar aapne bhi abhi tak google ki es service ko close nahi kiya hai, to es post ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janege ki blogger blogspot blog me country specific redirect url ko kyun aur kaise band karte hai.

Blogger blogspot blog me country specific redirect url ko permanently band kaise kare

blogger blogspot platform par banaye gaye free blog me country specific url ko permanently close karne ke liye hame sabse pehle blogger.com me login karke ous blog ke dashboard par jana hoga, jis blog me hame country specific redirect url ki service ko band karna hai.

Step 1. Edit html

  1. Blog dashboard me show ho rahe theme ke option par click kare.
  2. Edit html par click kare. Edit html ke option par click karte hi theme editor ka page open hoga.

Step 2. Theme editor

  1. Theme editor me kahin bhi click kare. Aur phir computer ke keyboard se ctrl+f press kare. Ctrl+f button ko press karte hi, theme editor ke andar ek search box open hoga. Ab es serch box me <head> type karke enter press kare. Enter press karte hi ham <head> code par pahunch jayege.
  2. Ab es post me neeche diye gaye code box ke code ko copy karke, theme editor me <head> code ke theek neech paste karde.
  3. Code ko paste karne ke baad hame save theme ke button par click karke settings ko save karna hoga.
<script type="text/javascript">
var blog = document.location.href.toLowerCase();
if (!blog.match(/\.blogspot\.com/)) {
blog = blog.replace(/\.blogspot\..*?\//, ".blogspot.com/ncr/");
window.location.replace(blog);
}
// Source: 
</script>

Settings save karte hi hamare blogger blogspot platform par banaye gaye blog me country specific redirect url hamesha ke liye band ho jayega. Ab ham new tab me apne blogger blog ko open karke dekh sakte hai.

Ab hame apne blogspot blog ka url hsb.blogspot.com ke jaisa hi show hoga. Ab all word me hamare blog ko koei bhi open kare, har jagah hamare blog ka primary url hi show hoga.

Blogger blogspot blog me country specific redirect url ko permanently band karne ke fayde kya hai

blogger blogspot ke free platform par banaye gaye blog me country specific url ko permanently close karne ke bahut se fayde hai, jinme se kuchh benefits ko mai neeche bata raha hun.

  • Jab ham blogger.com par free blog banate hai, to hamre blog ka url hsb.blogspot.com ke jaisa hota hai. ye hamare blog ka primary url bhi kehlata hai. lekin country specific redirect url ki service ki wajah se hamra ye primary blog url kahin bhi show hahi hota. Har alag alag country me blog ko open karne par blog url bhi defferent show hota hai. aur country ke name ke hisab se extention automatic change ho jata hai. lekin ham apne blog ki theme me oupar batei gaei coding karke ya country specific redirect url ko permanently close karke apne primary url ko show kar sakte hai.
  • Jab hamare blogger blog ka url har jagah ek hi show hoga, to hamare blogspot blog ki alexa rank bahut jaldi increase hogi. Lekin agar ham apne blogspot blog me country specific redirect url ko close nahi karenge, to url alag alag country wise hoga. Jiski wajah se primary url ki rank zero hi rahegi.
  • Country specific redirect url ki service ko band na karne par different country me jab hamare blog ki post ko top social networking sites par share kiya jayega to share kiya jane wala link different hoga. Jiski wajha se hamare primary url ke hisse me koei bhi url ko share nahi gina jayega.

Enke alawa bhi aur bahut se benefits hai, jo hame country specific redirect url ko permanently close karne par prapt hote hai. blogger.com par free blog banakar blogging karne wale sabhi bloggers ko meri yahi advise hai ki hame apne blogger blogspot me country specific redirect url ki service ko band karna chahiye. Aur esk band karne se hame benefits hi hai, koei loss nahi hai.

I hope, es post ko padhne ke baad aap jaan gaye honge ki blogger blogspot blog me country specific redirect url ko permanently band kaise karte hai, aur ese close karne ke kya kya fayde hote hai.

10 thoughts on “Country Specific Redirect Url Ki Service Ko Kaise Band Kare Blogger Blogspot Me”

  1. rahulkit.blogspot.in ye mere blog ka url hai isme cpc bahut kam aa rhi hai aap batao me kya karu 0.01 ki cpc aa rhi hai koi solution hai aapke pas

    Reply
  2. lekin mera blog 2 saal purana hai or usme jo lebals bani hue hai vo .in se hai or adsense me bhi mene .in wala url hi diya hai to usse koi affect hoga

    Reply
  3. Sir mera YouTube wala AdSense Hai Main Usko Apne blogger blog Main Kaise use kar sakta Hoon.
    Please reply

    Reply

Leave a Comment