Home » Blog » Blogging » Disclaimer Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye

Disclaimer Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye

Blog Website Ke Liye Disclaimer Page Kaise Banaye : paise kamane ke liye aur shok ke liye daily hazaro blogs banaye jate hai. lekin maximum bloggers apna blog income karne ke liye hi banate hai. kyuki apne blog par advertisment dikhakar ham income kar sakte hai. Google ki service google adsense es kaam ke liye sabse best hai. lekin google adsense ka approval pana etna easy nahi hai. eske liye hame apne blog par khud ki likhi kam se kam 40- 50 posts share ki honi chahiye, aur blog par 300-400 daily ke page view hone chahiye.

Ye baate sabhi bloggers jante hai, esliye we en baato ko dhiyan me rakhkar hi google adsense ke liye apply karte hai. lekin eske baad bhi kuchh logo ko google adsense ka approval nahi milta. Eski sabse badi wajah ye hoti hai ki we bloggers apne blog par achchhi post bhi likhte hai, aur ounke blog par visitors bhi khoob aane lagte hai. lekin we apne blog me kuchh zaroori pages jaise about us, contact us, privacy policy, aur disclaimer aadi ko apne blog ke liye create nahi karte.

Ye pages hamare blog / website ki satyeta ko darshate hai. en pages ke bina ham google adsense ke ads apne blog me nahi laga sakte. Kyuki jaise hi ham google adsense ke liye apply karenge, kuchh hi time baad disapprove ka message hamare email par aa jayega.

Esliye google adsense ka approval pane ke liye, aur apne blog / website ki satyeta sabit karne ke liye, hame about us, contact us, privacy policy, aur disclaimer aadi page banana bahut zaroori hai. es post me ham janege ki wordpress aur blogger blog ke liye disclaimer page kaise banaye

Apne blog website ke liye disclaimer page kaise banaye

Apne blog / website ke liye discalaimer page ko ham free me aur easily bana sakte hai. eske liye hame sabse pehle www.easyriver.com website par visit karna hoga.

Step 1. free utilities

Easyriver ke home page par visit karke hame sabse neeche ‘site activities’ ka  option dikhaei dega. Eske neeche hame free utilities, quote, aur login ke option show honge. Hame enme se ‘free utilities’ option par click karna hoga.

Step 2. disclaimer builder

Free utilities par click karte hi ek new page open hoga. Jisme hame disclaimer builder, privacy policy, java script, button maker, site calculator, link check aur source surfer aadi option show honge. Hame es page par ‘disclaimer builder’ option par click karna hai.

Step 3. complete the follwing fields

Disclaimer builder par click karte hi ek page open hoga, jisme kuch information fill karni hai.

  1. Site name me apne blog / website ka poora naam likhe.
  2. Company name bhi apne blog / website ka naam likhe. Agar aap ke blog website ka naam 2 ya 3 words me hai, to aap oun sab words ko mila kar likh sakte hai.
  3. Country ke option me apne desh ka naam likhe. Agar aap bharat me rehte hai, to country ke option me india likhe.
  4. E-mail address ke option me apni email id ko enter kare.
  5. Aur ab ‘make my disclaimer’ ke button par click kare.

Step 4. website agreement

Make my disclaimer ke button par click karte hi website agreement ka page open hoga. Es page par hame show ho rahe content ko copy karna hai. for example – mujhe ‘helpfulbook website agreement’ se lekar ‘ neeche ‘any rights not expressly granted herein are reserved’ tak copy karna pada.

Es content ko copy karne ke baad hame apne blog / website ke liye DisclaimerPage banana hoga. Aur es content ko ous page me paste karna hoga. Aaj mai ham janege ki wordpress.org aur blogger.com platform par banaye gaye blog ke liye disclaimer page ko kaise banate hai.

WordPress blog me disclaimer page kaise banaye

WordPress platform par banaye gaye blog me disclaimer page banane ke liye hame sabse pehle apne wordpress blog dashboard me login karna hoga.

Step 1. Pages > add new

Ab wordpress dashboard me pages par mouse ke cursor ko le jakar add new option par click karna hoga.

Step 2. Publish disclaimer page

Add new par click karte hi page editor open hoga. Jahan hame kuchh details fill karni hai.

  1. Title box me disclaimer likhe.
  2. Content box me easyriver website par website agreement page se copy kiye content ko paste kare.
  3. Aur publish button par click karde.

Publish button par click karte hi wordpress.org platform par banaye gaye blog me hamare DisclaimerPage ban jayega.

Blogger blog me disclaimer page kaise  banaye

Blogger platform par banaye gaye blog me disclaimer page banane ke liye hame sabse pehle blogger.com me login hona hoga.

Step 1. Pages > new page

Ab hame apne jis blog ke liye disclaimer page banana hai, ous blog ke dashboard me ‘pages’ par click kare ‘new page’ option par click karna hai.

Step 2. Publish disclaimer page

New page par click karte hi page editor open hoga. Jisme hame kuchh detail bharni hai.

  1. Title box me disclaimer likhe
  2. Content box me easyriver website par website agreement page se copy kiye content ko paste kare.
  3. Aur publish button par click karde.

Publish button par click karte hi blogger.com platform par banaye gaye blog me hamare DisclaimerPage ban jayega.

Disclaimer page banane ke fayde kya hai

Jab kisi visitors ko hamre blog / website par agreement, copyright, licenses and idea submissions, use of this site, indemnification, term, termination, aur miscellaneous aadi jaisi information leni hoti hai, to wo sabse pehle hamare blog par disclaimer page ko open karke read karta hai.

Esliye hame apne blog / website ke visitors / readers ko satisfied karne ke liye disclaimer page banana bahut zaroori hai.  jisme ham ye sab information de sakte hai. jisko padhne ke baad visitors ka hamare blog website par bharosa bana rehta hai.

Aur ounhe apni koei bhi personal information ke misuse na hone ka proof bhi mil jata hai. eske alawa google adsense ke ads apne blog/website me lagane ke liye bhi DisclaimerPage ko banana bahut zaroori hota hai.

Finally, es post me hamne jana ki wordpress blog aur blogger blog me disclaimer page kaise banate hai, aur disclaimer page banane ke kya kya fayde hote hai.

4 thoughts on “Disclaimer Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye”

  1. Sir Meri post google mein5,6 din bad show hoti hain.please solution btai dein k mein kya karon?
    meri website ***** hai.

    Reply
  2. Salam Bhai Jaan …..

    Maine Apne Website Me *Disclaimer* Ka Option Nahi Rakha Hai.
    Mere Website Ka Naam Hai ….

    Per Day 40 – 50 Hi Page View Hai … To Kya Mujhe Google Adsense
    Ads Ke Liye Approve Nahi Milega . Bataiye Bhai

    Reply
    • adsense approval pane ke liye about us, contact us, privacy policy, aur disclaimer page ka hona zaroori hai.

      Reply

Leave a Comment