Home » Blog » Facebook » Facebook Account Ke Old Password Ko Change Or Reset Kaise Kare

Facebook Account Ke Old Password Ko Change Or Reset Kaise Kare

Facebook Account Ke Old Password Ko Change Or Reset Kaise Kare : lagbhag all internet users world ki number 1 social networking site facebook par account banakar apne friends aur family members se chat karte hai. Kuchh log aise bhi hote hai, jo other fb users se apni personal baat bhi karte hai. agar aisi kisi insan ka facebook account hack ho jaye to ouski sari personal information leak ho sakti hai.

Esliye time to time apne facebook account ke old password ko change karte rehna bahut zaroori  hai. agar aap apne fb account ke old password ko bhool gaye hai, to aap apne fb account ko reset bhi kar sakte hai. Hame apne facebook account ki security ka poora khayal rakhna bahut zaroori hota hai, kyuki agar hamare account ka paasword kisi ke hath lag gaya to, to wo hamare fb friends ko galat galat bate likh kar hame badnaam bhi kar sakta hai.

Esliye apne password ko har 2-3 months baad change karte rehna chahiye. Agar aisa nahi kar sakte to es post ko padhte rahe, kyuki es post me aap ko bataoung ki… facebook account ke old password account ko change kaise kare? Aur bhoole huwe facebook password ko reset kaise kare?

Facebook Account Ke Old Password Ko Change Kaise Kare

Facebook account ke old password ko change karne ke liye hame sabse pehle apne fb account me login hona hoga.

Step 1. Setting

  1. Drop down arrow par click kare.
  2. Setting par click kare.

Step 2. Security and Login

  1. Security and login ke option par click kare.
  2. Change password ke samne edit ke option par click kare.

Step 3. Change password

  1. Current password ko enter kare.
  2. New password ko enter kare.
  3. New password ko reenter kare.
  4. Ab, save changes ke button par click karde.

Save change ke button par click karte hi hamara facebook password  change ho jayega. next page par aap se poochha jayega ki aap other devices par apna account logout karna chahte hai, ya nahi.

Agar apna account other devices se logout karna chahte hai to “log me out of other devices” ko select karke submit ke button par click kare. Aur agar other devices par bhi apna fb account login rakhna chahte hai, to “keep me logged in” ke option ko select karke submit ke button par click kare.

Facebook Account Ka Password Reset Kaise Kare

Jab ham apna fb password bhool jate hai, to hame apne fb account ke password ko reset karne ki zaroorat padti hai. jiske liye hame neeche diye steps ko follow karna padta hai.

Step 1. Forgotten account

Sabse pehle apne facebook ki site par visit karke “forgotten password” ke option par click kare.

Step 2. Enter your email or mobile number

  1. Apna email address ya mobile number enter kare.
  2. Search ke button par click karde. Agar hamne apna email address ya mobile number wahi enter kiya hai, jis par hamara account bana huwa hai. to hamare email ya mobile par ek message aayega. Jisme 6 digit ka ek code hoga.

Step 3. Enter security code

  1. 6 digit ke security ke security code ko enter kare.
  2. Ab, continue ke button par click kare.

Step 4. Choose a new password

  1. New password ko enter kare.
  2. Continue ke button par click kare.

Continue ke button par click karte hi hamara facebook password reset ho jayega. aur phir ham apne new password  se fb account me login kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki facebook account ke password ko change aur reset kaise karte hai.

Leave a Comment