Home » Blog » Facebook » Facebook Group Kaise Banaye

Facebook Group Kaise Banaye

Facebook Group Kaise Banaye Aur Kaise Delete Kare : facebook par ham page aur group dono free me hi bana sakte hai. facebook par page kaise banate hai ke bare me mai pehle hi bata chuka hun. Es post me main facebook par page kaise banate hai ke bare me step by step bataounga. Lekin sabse pehle hame ye janna bhi zaroori hai ki facebook group kya hai, aur fb group kitne types ke hote hai.

Facebook Group Kya Hai

Facebook group 2 ya 2 se adhik members se milkar bana hota hai. esme kitne bhi facebook users add ho sakte hai. aur apni apni baat group ke all members ke sath share kar sakte hai. Fb group ko ham kisi bhi topic par bana sakte hai. aur ye 3 types ke hote hai.

  1. Public group – es group ko join karne ke liye koei bhi request send kar sakta hai. aur es group ki posts ko all facebook users dekh sakte hai. chahe we es group ke memeber ho ya nahi.
  2. Closed group – es group ko join karne ke liye koei bhi request send kar sakta hai. es group ki post ko only group member hi dekh sakta hai.
  3. Secret group – es group me admin hi members ko add kar sakta hai. koei other fb user join karne ke liye request send nahi kar sakta. Eske alawa es group ki posts ko only group members hi dekh sakte hai.

Facebook Par Public Closed Or Secret Group Kaise Banaye

Facebook par kisi bhi type ke group ko banane ke liye hame sabse pehle faceook ki website par visit karke apne account me login hona hoga.

Step 1. Create group

  1. Fb account me login hokar sabse pehle drop down arrow par click kare.
  2. Ab, create group ke option par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi.

Step 2. Create new group

  1. Name your group ke box me apne page ka complete name likho.
  2. Add some people ke box me 1 ya 1 se zyada friends ke name likho, jinhe aap group me add karna chahte hai.
  3. Select privacy me me aap apne group ke type ko select kare. Yahan hame public, closed, aur secret ke name show honge. Public group banane ke liye public ko select kare.
  4. Ab, create ke button par click kare. Click karte hi hame bahut sare icon show honge.

Step 3. Choose an icon

  1. En icons me se kisi ek icon ko select kare.
  2. Ab, ok ke button par click kare. Ok ke button par click karte hi hamara facebook group ban jayega.

Step 4. Upload photo

Group ban jane ke baad ham ‘upload photo’ ke button par click karke apne group ka cover photo add kar sakte hai. Es tarha se ham facebook par apne aur bhi groups bana sakte hai. fb group ko banana bilkul free hai.

Facebook Group Banane Ke Fayde Kya Hai

  • Facebook group me kitne bhi members add ho sakte hai.
  • Photo, video, status aur Link share kar sakte hai.
  • Apni marzi se kisi bhi member ko add or remove kar sakte hai.
  • 1 se zyada group admin bana sakte hai.
  • Kisi member ke through share ki gaei post ko remove kar sakte hai.

Enke alawa bhi fb group banane ke bahut sare fayde hai, jinhe ham free me le sakte hai. facebook par page kaise banaye? Es post me maine fb page banana bataya thah. Ye dono post read karke aap esily page aur group bana sakte hai.

Facebook Group Ko Permanently Delete Kaise Kare

Fb group ko permanently delete karne ke liye hame sabse pehle facebook ki website par visit karke apne fb account me login hona hoga.

Step 1. Groups

Apne facebook account me login hokar ‘groups’ ke option par click kare. Groups ke option par click karte hi hame ‘group you manage’ ke option ke neeche apne groups ke name show honge.

Step 2. Groups you manage

Jis group ko delete karna hai ouske name par click kare. Name par click karte hi hamara fb group open ho jayega.

Step 3. Remove members

  1. Members ke option par click kare. Aur phir ek ek karke all members ko group se remove karde.
  2. Members ko remove karne ke liye every memeber ke samne setting button par click karke ‘remove from group’ ke option par click karke all memebers ko group se remove karde.

Step 4. Leave group

  1. All members ko remove karne ke baad Joined ke option par click kare.
  2. Ab, leave group ke option par click kare. Leave group ke option par click karte hi ek popup window open hogi.

Step 5. Leave and delete group

es popup window me hame ‘leave and delete’ ka ek button show hoga. Es par click karke ham apne fb page ko hamesha ke liye delete kar sakte hai.

facebook group ke alawa ham apne fb page aur fb account ko bhi hamesha ke liye delete kar sakte hai. eske bare me maine fb  account ko delete kaise kare aur fb page ko delete kaise kare post me bataya thah.

i hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki facebook group kya hai, facebook group ko kaise banate hai, aur facebook group ko delete kaise karte hai.

4 thoughts on “Facebook Group Kaise Banaye”

  1. Fb group ki satting aur ise kaise manaj kre ..taki koi bhi post bina meri parmisan ke post nhi ho.
    jankari de as soon as please…

    Reply

Leave a Comment