Home » Blog » Facebook » Facebook Page Or Group Me Admin Ko Add Change Remove Kaise Kare

Facebook Page Or Group Me Admin Ko Add Change Remove Kaise Kare

Facebook Page Or Group Me Admin Ko Add Change Remove Kaise Kare : world ki top social networking site facebook par ham sabhi internet users ke account hote hai. jis par ham apne friends aur family members ke chat aur post share kar sakte hai.

But, bahut kam log hi jante hai ki facebook par ham apna page aur group bhi bana sakte hai. en dono ke bare me main ‘fb par page kaise banaye’ aur ‘fb par group kaise banaye’ post me pehle hi detail se bata chuka hun. Agar aap pehle hi facebook par apna page aur group bana chuke hai, to ye post aap ke liye hi hai, because es post me main apne facebook page or group me other facebook user ko admin kaise banate hai aur kaise remove karte hai ke bare me bataounga.

Ye baat bhi bahut kam log jante hai ki ham apne fb page aur fb group ke 1 se zyada admin bana sakte hai. admin ke alawa ham other facebook users ko apne page aur group ka editor, moderator, advertiser, analyst, aur live contributor bhi bana sakte hai.

Esse ye benefit hota hai ki hamari gair mojoodgi me other fb user hamare fb page ko easily manage kar sakta hai. facebook ne hame ek se badhkar ek features provide kiye hai, jisme se ek feature ye bhi hai ki ham apne kisi bhi fb friend ko apne page or group ka admin, editor, moderator, advertiser, analyst, aur live contributer, etc.. bana sakte hai.

Agar ham apne kisi fb friend ko apne fb page or group ka admin bana dete hai, to wo hamari tarah hi hamare page aur group ko full manage kar sakta hai. esliye apne kisi close friend ya family member ko hi admin banana chahiye.

Admin Editor Moderator Advertiser Analyst Me Kya Difference Hota Hai

Jaisa ki mai pehle hi bata chuka hun ki ham apne facebook page aur gruou me other facebook users ko admin, editor, analyst, aur moderator etc.. bana sakte hai.

But, ye sab banane se pehle hame ye bhi pata hona chahiye ki apne kisi fb friend ko apne fb page or group ka admin, editor, moderator, aur analyst banane ke baad wo kya kya kar sakta hai.Chaliye, jante hai ki admin, editor, moderator, advertiser aur analyst kya kya work kar sakte hai.

Admin – apne fb friend ko apne page or group ka admin banane ke baad ouske hath me hamare fb page aur group ka full control hota hai. wo jo chahe changes kar sakta hai. yahan tak ki hame admin se remove bhi kar sakta hai.

Esliye hamesha trusted person jaise apne kisi close friend ya family member ko hi admin banana chahiye.

Editor – ye bhi hamare facebook page ko full control karta hai. aur jo chahe changes kar sakta hai. but, admin ki tarha eske hath me all rights nahi hote. Koei editor, page se admin ko remove nahi kar sakta.

Moderator – eske hath me hamare page ya group ka full control nahi hota. Ye only comments reply, comments message post delete, message send, aur insight view check etc.. work kar sakta hai.

Advertiser – ye hamare fb page par only add create aur insight view check kar sakta hai.

Analyst – ye hamare fb page par only insight view hi check kar sakta hai.

Facebook Page Me Apne Fb Friend Ko Admin Editor Moderator Advertiser  Analyst Aur Live Contributor Kaise Banaye

Apne facebook page me apne kisi fb friend ko admin, editor, moderator, advertiser, aur analyst banane ke liye hame  sabse pehle facebook ki site par visit karke login karna hoga. Aur phir apne fb page ko open karna hoga.

  1. Facebook page open hone ke baad settings ke option par click kare.
  2. Page roles ke option par click kare.
  3. Assign a new page roles ke neeche apne ous fb friend ka name type karo, jise aap admin, editor, moderator, advertiser ya analyst banana chahte ho.
  4. Apne facebook page me apne friend ko aap admin, editor, modirator, advertiser, analyst, aur live contributor me se jo bhi banana chahte hai, ous option ko select kare. Agar admin banana chahte hai, to admin ke option par click kare.
  5. Ab, add ke button par click karde.

Add ke button par click karte hi ek popup window open hogi, jisme fb account ka password poocha jayega. password enter karne ke baad hamara fb friend hamare fb page ka admin ban jayega. aur ouske hatho me hamare fb page ka full control chala jayega. dhiyan rakhe ki kisi trusted person ko hi apne page ka admin banana chahiye.

Facebook Page Se Admin Editor Moderator Advertiser Analyst Aur Live Contributor Ko Remove Kaise Kare

Agar aapne apne kisi fb page me apne kisi fb friend ko admin, editor, modirator, advertiser, analyst, ya live contributor banaya huwa hai. to aap ouse easily remove bhi kar sakte hai. Eske liye aapko sabse pehle apne facebook page ko open karna hoga.

  1. Fb page open karne ke baad settings ke option par click kare.
  2. Page roles ke option par click kare. Aur phir scroll down kare.
  3. Ab aako existing page roles me we sabhi person show honge, jo page ko manage kar rahe hai. aap jis ko bhi remove karna chahte hai, ouske name ke aage edit ke option par click kare.
  4. Ab, remove ke option par click kare.

Remove ke option par click karte hi ek popup window open hogi, jisme fb account ka password poocha jayega. password enter karne ke baad hamare fb page se admin delete ho jayega. par aisa tabhi ho sakta jab kisi page ke 1 se zyada admin bane huwe ho.

Facebook Group Me Apne Fb Friend Ko Admin Ya Moderator Kaise Banaye

Ham apne fb group me apne kisi bhi fb friend ko admin ya moderator bana sakte hai. eske liye hame sabse pehle apne facebook account me login hokar apne fb group ko open karna hoga.

  1. Group open hone ke baad members ke option par click kare. Click karte hi group ke all members show hone lagenge.
  2. Ab jis member ko admin or moderator banana chahte hai, ous ke samne setting ke icon par click kare.
  3. Agar aap admin banana chahte hai, to make admin ke option par click kare. Aur agar moderator banana chahte hai, to make moderator ke option par click kare.

Click karte hi ek popup window open hogi, jisme fb account ka password poocha jayega. password enter karne ke baad hamara fb friend, hamare facebook group ka admin ya modirator ban jayega.

Facebook Group Se Admin Ya Moderator Ko Remove Kaise Kare

Agar aap facebook par group manage karte hai, aur aapne apne group ke liye other facebook users ko bhi admin ya moderator banaya huwa hai. to aap ounhe jab chahe remove bhi kar sakte hai. Eske liye sabse pehle aapko apne facebook account me signin hokar apne fb group ko open karna hoga.

  1. Group open hone ke baad members ke options par click kare.
  2. Admin ke option par click kare. Click karte hi group ko manage kar rahe all admin and moderator ke name show honge.
  3. Aap jis ko remove karna chahte hai, ouske name ke samne setting ke icon par click kare.
  4. Agar aap admin ko remove kar rahe hai to remove as admin ke option par click kare. Aur agar aap moderator ko remove kar rahe hai to remove as moderator ke option par click kare.

Click karte hi ek popup window open hogi, jisme fb account ka password poocha jayega. password enter karne ke baad hamare facebook group se admin ya moderator remove ho jayega.

Ham Kis Kis Ko Apne Facebook Page Or Group Ka Admin Bana Sakte Hai

Ham kisi bhi facebook user ko apne kisi bhi fb page ya group ka admin bana sakte hai. jis person ko ham admin banana chahte hai, wo hamari facebook friend lis me available hona chahiye.

Facebook Page Or Group Me Kisi Other Person Ko Admin Banane Ke Kya Fayde Hai

Agar ham kisi reason ke chalte bahut busy hai, aur facebook par zyada time nahi bita pa rahe hai, to ham apne facebook page aur group me kisi other facebook user ko admin bana kar all rights de sakte hai. jisse ki wo aapke group ko fully manage kar sake.

Many fb users aisa hi karte hai, jab we apne page ya group ko time nahi de pate to we apne kisi close friend ya family member ko admin bana dete hai, jiske baad new admin page ya group ko control karta hai.

Eski wajha se page ya group me activity hoti rehti hai. aur followers ya members ko aisa nahi lagta ki ounhone kisi aise page ko like kiya hai, jispar bahut kam posts share hoti hai. ya ouhone aise group ko join kiya hai, jiska admin group me active nahi rehta.

Kisi other person ko admin banane ke baad hamare page or group me continue activity hoti rehti hai. aur fb page par followers, fb group me members increase hote rehte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki faceook page aur group me admin editor moderator aadi ko add, change, aur remove kaise karte hai.

7 thoughts on “Facebook Page Or Group Me Admin Ko Add Change Remove Kaise Kare”

  1. hlw..sir maine ek facebook page bnaya h jispr maine personal blog daal diya h mujhe phle pta nii ye ky hota lkn abb follower bhut badh gye h aur mujhe ye community blog bnana h usi pge ko vo mai kase change kru….please sir btaiye

    Reply
  2. Hello sir में अपना पेज से खुद remove हो गया गलती से आब को एडमिन भी नही उसे फिर एडमिन कैसे बनाऊँगा plz बताओ sir

    Reply
    • मेरे साथ भी यही हुआ है अगर आपको answer मिले तो बताइएगा

      Reply
  3. hello , sir
    FB page admin remove nhii ho rha
    date likha aa rha….aage ka remove process kya h..
    sir
    plz help

    Reply
  4. How to do work as Im am moderator ki kisi v post ko approve kaha se kaise kare as a moderator.

    Reply
  5. Ek Facebook Group hai jispe koi bhi admin ya moderator nahi hai,
    Us par ham admin kaise bane…

    Reply

Leave a Comment