Home » Blog » Facebook » Facebook Page Kaise Banaye

Facebook Page Kaise Banaye

Facebook Page Kaise Banaye Aur Kaise Delete Kare : jab ham internet par koei website open karte hai. to hamne dekha hoga ki wahan hame ounke social networking sites ke follow button diye hote hai. jinme se ek facebook ka bhi hota hai. Jab ham es facebook button par click karte hai. to ham direct ous site ke facebok page par pahunch jate hai. aur page ko like / follow karke apne facebook account par site ki notification pate rehte hai.

Esi tarah ka ham bhi ek page create kar sakte hai. facebook page banane ka sabse bada benefit ye hota hai ki es par hame unlimited fb users like kar sakte hai. aur ham se jud sakte hai. jabki, fb account me ham only 5000 friends hi bana sakte hai.

Aap apni kisi company, website ya khud apne name se hi facebook page bana sakte hai. agar aap apna fb page banana chahte hai, to es post ko carefully read karte rahe.Because, ab ham janege ki… facebook par business page kaise banaye? facebook par fan page kaise banaye? facebook page ko hamesha ke liye delete kaise kare?

Facebook Par Business Or Fan Page Kaise Banaye

Fb par page banane ke liye hame sabse pehle apne facebook ki website par visite karke account me login hona hoga.

Step 1. Create page

  1. Fb account me login hoke sabse pehle drop down arrow par click kare.
  2. Ab, create page ke option par click kare.

Step 2. Create a page

Facebook par ham local business or place, company, organization or institution, brand or product, artist, brand or public figure, entertainment, cause or community ka page bana sakte hai.

Es post me mai ek website ka facebook page kaise banaye ke bare me bataounga. Apni site ka fb page banane ke liye hame ‘brand or product’ wale option par click karna hoga.

Step 3. Brand or Product

  1. Agar aap apni site ka faceboo page banana chahte hai, to Category me website ko select kare.
  2. Apni site ke name ko enter kare.
  3. Ab, get started ke button par click kare. Get started ke button par click karte hi hamara facebook page ban jayega.

Step 4. Add all details

  1. ‘add a cover photo’ ke option par click karke apne facebook page ke cover photo ko add kare.
  2. ‘add a profile picture’ ke option par click karke apne facebook page ke profile picture ko add kare.
  3. ‘add a short descriptions’ ke option par click karke apne facebook page ke bare kuchh words likhe.
  4. ‘create a username for your page’ ke option par click karke apne facebook page ke username ko set kare.

Ye sab setting complete karne ke baad aapka facebook page ban kar ready ho jayega. ab, aap apne facebook page ko promote karke apne fb page par like increase kar sakte hai.

Facebook Page Banane Ke Fayde Kya Hai

  • facebook par page banakar ham apne business ko promote kar sakte hai.
  • apni company ke name se page bana sakte hai.
  • fb account me ham only 5000 friend hi bana sakte hai. jabki fb page par hame unlimited log like kar sakte hai.
  • jitne log hamare page ko like karenge, ham oun tak apni baat 1 hi post share karke pahuncha sakte hai.
  • facebook page ko promote karke ham ek hi din me lakho like pa sakte hai.
  • agar ham ek blogger hai, aur blog website bnakar blogging karte hai. to apni site ki all posts ke link ko apne facebok page par share karke visitors badha sakte hai.

Facebook Page Ko Hamesha Ke Liye Delete Kaise Kare

Fb page ko permanently delete karne ke liye hame sabse pehle facebook ki website par visit karke apne fb account me login hona hoga.

Step 1. Manage pages

  1. Drop down arrow par click kare.
  2. Manage pages par click kare. Manage pages ke option par click karte hi hame apne all fb pages ke name show honge.

Step 2. All pages

Jis page ko delete karna hai, ouske name par click kare. Click karte hi complete page open ho jayega.

Step 3. Settings

  1. Settings ke option par click kare.
  2. ‘delete your page’ ke option par click kare.

Step 4. Remove page

Delete your page ke option par click karte hai ‘Deleting your Page means that nobody will be able to see or find it. Once you click delete, you’ll have 14 days to restore it in case you change your mind. After that, you’ll be asked to confirm whether to delete it permanently. If you choose to unpublish instead, only admins will be able to see your Page.’ Message show hoga. Hame eske neeche ‘delete’ link par click karna hoga.

Step 5. Delete page

Delete link par click karne ke baad ek popup window open hogi. Jisme hame “If you delete your Page, you will still be able to restore it within 14 days. After that, you will be asked to confirm that you want to permanently delete it. You can also select Unpublish this page below so that only admins can see this page. Are you sure you want to begin the process of deleting this page?” message show hoga. Eske neehe hame ‘delete page’ ke button par click karna hoga.

Delete page ke option par click karte hi hamara facebook page delete ho jayega. agar ham chahe to delete kiye fb page ko 14 din ke andar andar restore bhi kar sakte hai. 14 din ke baad hamara fb page permanently delete ho jayega.

i hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki facebook page kya hai, fb par business or fan page kaise banate hai. aur facebook page ko hamesah ke liye delete kaise karte hai.

1 thought on “Facebook Page Kaise Banaye”

Leave a Comment