Home » Blog » Facebook » Facebook Video Ko Download Kaise Kare Computer Aur Mobile Me

Facebook Video Ko Download Kaise Kare Computer Aur Mobile Me

Facebook Video Ko Download Kaise Kare Computer Aur Mobile Me – agar aap ek facebook user hai, to aapne dekha hoga ki facebook use karte time hamare samne kitni videos show hoti hai. kuchh videos to etni better hoti hai, ki ounhe apne computer or mobile me download karke save karne ka man karta hai.

But, ham chah kar bhi kisi facebook video ko apne computer or mobile me download nahi kar sakte. Because, facebook social networking site hame kisi bhi video ko download karne ka option provide nahi karti. Esliye facebook videos ko ham download karke apne paas store nahi kar sakte.

Kuchh log aise hote hai, jo social networking sites ki achchhi achchhi videos ko apne paas store karna pasand karte hai. aur ounhe other social networking sites jaise google plus, twitter, pinterest, instagram, linkedin, whatsapp, viber, aur imo etc.. par share karte hai. Par, fb videos ko download na kar pane ke karan we users facebook videos ko other social networking sites par share nahi kar pate.

Lekin, aaj mai aapko facebook par share ki gaei kisi bhi videos ko download karne ka tarika bataounga. Es post ko carefully padhne ke baad aap facebook ki kisi bhi video ko apne computer aur mobile me easily download kar sakoge. Aur phir download ki gaei videos ko kisi bhi other social networking sites par share bhi kar sakoge.

Es post ko carefully padhe. Kyuki ab ham janege ki computer me facebook videos ko download kaise kare. Mobile me facebook videos ko download kaise kare. Computer aur mobile me facebook videos ko download karne ka simple aur best tarika kya hai.

Computer Me Facebook Videos Ko Download Kaise Kare

Computer or laptop me facebook videos ko use karna bahut hi easy hai. eske liye hame sabse pehle facebook ki website par visit karna hoga. Our phir apne fb account me login karna hoga. Ouske baad neeche diye steps ko follow karna hoga.

Step 1. Right click on facebook video

Facebook account me login karne ke baad aap ko jis video ko download karna hai, ous par mouse se right click kare. Right click  karte hi play, mute, copy video url, aur copy video url at current time ke options show honge.

Enme se ‘copy video url’ ke option par click kare. Click karte hi video ka url, copy ho jayega.

Step 2. Change video url

  1. Browser me New tab ko open kare
  2. Search box me copy kiye huwe video url ko paste kare.
  3. Video url me ‘www’ ko remove karke ‘m’ likhe. Aur computer keyboard se enter press kare.

Step 3. Play video

Enter press karte hi aapko wahi facebook video show hogi. Jiska url aapne copy kiya thah. Ab, Play button par click karke video ko play kare.

Step 4. Save video as..

Jab video play ho jaye, to mouse se video ke oupar right click kare. Click karte hi aapko pause, mute, play speed, loop, hide controls, full screen, copy video location, save video as, save snapshot as, email video, etc.. option show honge. Video ko download karne ke liye ‘save video as..’ ke option par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi.

Step 5. Save video

  1. Yahan ham apne video ke file name ko dekh sakte hai.
  2. Jis folder me video ko save karna chahte hai, ous par click kare.
  3. Ab, save button par click karde.

Save button par click karte hi video download hona start ho jayegi. Aur phir kuchh hi time me video complete download ho jayegi. Jise ham baad me apne computer me open kar sakte hai.

Mobile Me Facebook Video Ko Download Kaise Kare

Android mobile me bhi facebook videos ko download karna bahut easy hai. but, android Smartphone me facebook videos ko download karne ke liye hame 1 apps ki zaroorat padti hai. Vidmate app facebook video ko downlaod karne ke liye sabse best hai. Esliye, Sabse pehle vidmate app ko apne mobile me install karle. Aur phir neeche bataye steps ko follow kare.

  1. Facebook app me login kare.
  2. Ab jis video ko download karna chahte hai, ous par click kare.
  3. Video ke top par right side me shaw ho rahe 3 points par click kare. Click karte hi kuchh options show honge.
  4. ‘Copy link’ ke option par click kare. Click karte hi video ka link copy ho jayega.
  5. Ab, vidmate app ko open kare.
  6. Vidmate app ke top par search box me copy kiye huwe video url ko paste kare. Aur search button par click kare.
  7. Search button par click karte hi vidmate app me facebook video show hogi. Aur us par download button bhi show hoga.

Download button par click karke ham vidmate app ke through facebook videos ko apne mobile me download kar sakte hai.

Computer or mobile me facebook videos ko download karne ke liye es post me bataye gaye dono steps bahut hi easy aur simple hai. jinko follow karke ham facebook ki kitni bhi videos ko apne device me download kar sakte hai.

Agar aap ko bhi facebook par koei video pasand aaye to aap en 2 tariko ko apna kar facebook videos ko download kar sakte hai. aur video ko other social networking sites jaise twitter, google plus, linkedin, pinterest, instagram, whatsapp, viber, aur imo etc.. par friends aur family members ke sath share bhi kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki without software facebook video ko computer me download kaise karte hai. aur vidmate app ke through mobile me facebook video ko download kaise karte hai.

3 thoughts on “Facebook Video Ko Download Kaise Kare Computer Aur Mobile Me”

  1. Very nice post sir apke is post ki help se me aasani se facebook video download kar sakta hu

    Reply

Leave a Comment