Home » Blog » Make Money Online » Flipkart Affiliate Marketing Program Se Online Paise Kaise Kamaye

Flipkart Affiliate Marketing Program Se Online Paise Kaise Kamaye

Flipkart Affiliate Marketing Program Se Online Paise Kaise Kamaye : ham sabhi jante hai ki flipkart ek online e-commerce company hai. Jahan se ham kisi product ko online purchase kar sakte hai. But, eske alawa agar ham blogging karte hai, aur hamara apna koei blog or website hai, to ham flipkart affiliate marketing program ko join karke, aur eske product ko apni site par promote karke online paise bhi kama sakte hai.

Flipkart india me bahut popular hai. Aur maximum person esi e-commerce company se online product ko purchase karna pasand karte hai. Because, es company ki service sabse best hai. Esliye, flipkart affiliate marketing program ko join karna sabse better hai. Kyuki eske product ko apni site par promote karne ke baad, visitors ke duwara product ko purchase karne ke chance zyada honge.

Hamari site par promote, flipkart product ke sell hone par, ye e-commerce company per sell kuchh commission degi. Har sell par commission milne ki wajha se ham unlimited income kar sakte hai. Agar aap ek blogger hai, to apne blog website par flipkart ke product ko promote zaroor kare. Aur google adsense ke alawa affiliate marketing se bhi paise kamaye. Es post me ham janege ki… flipkart kya hai? flipkart affiliate marketing se paise kaise kamaye? Online shopping website se paise kaise kamaye?

Flipkart Affiliate Marketing Program Ko Join Kaise Kare

India ki top e-commerce company flipkart, online product ko purchase karne ke liye sabse best hai. Eski best service ki wajha se ye ab ek popular e-commerce company ban gaei hai.

Jahan esse ham online shopping kar sakte hai. To wahin ham eske affiliate marketing program ko join karke online income bhi kar sakte hai. Es post me mai esi ke bare me bataounga. Chaliye, ab jante hai ki flipkart affiliate marketing program ko join kaise karte hai.

Step 1. Join Now For Free

  1. Sabse pehle flipkart affiliate page par visit kare.
  2. Ab ‘join now for free’ ke button par click kare. Click karte hi flipkart affiliate marketing program ko join karne ka page open hoga.

Step 2. Register

  1. Apne email address ko enter kare.
  2. Ab ‘generate email otp’ ke button par click kare. Click karte hi hamare email address par ek 6 digit ka otp receive hoga.
  3. Email otp ke box me 6 digit ke otp ko enter kare.
  4. Country code ko select kare.
  5. Apne mobile number ko enter kare.
  6. Ab ‘generate mobile otp’ ke button par click kare. Click karte hi hamare mobile number par ek 6 digit ka otp receive hoga.
  7. Mobile otp ke box me 6 digit ke otp ko enter kare.
  8. New password ko enter kare.
  9. Pasword ko doubara enter kare.
  10. ‘i wish to receive newsletters and marketing emails’ aur ‘i agree to the flipkart affiliate program term and conditions’ ke samne wale box me tick kare.
  11. And, last me ‘register’ ke button par click karde. Click karte hi hamare samne customise tracking id ka page open hoga.

Step 3. Customise Tracking Id

  1. Hame apne account ki bydefault tracking id show hogi. Ham chahe to ese rename bhi kar sakte hai.
  2. Agar hamne tracking id ko rename kiya hai, to verify ke button par click kare. Aur agar aisa nahi kiya hai, to verify ke button par click na kare.
  3. Ab, submit ke button par click karde. Submit ke button par click karte hi flipkart affiliate marketing ka login page open hoga.

Step 4. Login

  1. Email address ko enter kare.
  2. Password ko enter kare.
  3. Ab, sign in ke button par click kare. Sign in ke button par click karte hi ham flipkart affiliate marketing ke account me login ho jayenge. Login hote hi hamare samne “my account’” ka page open hoga. Es page par hame kuchh details enter karni hogi.

Step 5. My Account

  1. Apne First name ko enter kare.
  2. Ab, Last name ko enter kare.
  3. Country code ko select kare.
  4. Mobile number ko enter kare.
  5. Address ko enter kare.
  6. Country ko select kare.
  7. Apne state ke name ko likhe.
  8. Apni city ke name ko likhe.
  9. Pin code ko enter kare.
  10. Ab, save changes ke button par click karde.
  11. Website details ke option par click kake hame apni site ke url, website type, aur monthly visitors etc… ko add karna hoga.
  12. Payments details ke button par click karke hame country name, affiliate type, payee name, payment mode, pan card number, aur bank details etc.. ko add karna hoga.
  13. Account settings ke button par click karke ham password ko change, aur flipkart affiliate marketing account ko deactivate bhi kar sakte hai.

Es tarah se ham oupar bataei details ko enter karke flipkart affiliate marketing program ko completely join kar lenge. Ab hame flipkart affiliate marketing program se income karne ke liye flipkart product ka apni site par promotion karna hoga.

Flipkart Company Ke Affiliate Product Ko Promote Kaise Kare

  1. Flipkart affiliate account me login kare.
  2. Dashboard par show ho rahe ‘Affiliate Tools’ ke option par click kare.
  3. Product Links & Banners ke option par click kare. Ab ek search box open hoga.
  4. Product name ko enter karke, categories ko select kare. Aur phir search ke button par click kare. Agar hamne mobile ko search kiya hai, to search button par click karte hi hamare samne kaei sabe mobile show honge.
  5. Har product ke neeche ‘Link’ aur ‘Banner’ ke button show honge. En par click karke ham kisi bhi product ka link or banner code ko generate kar sakte hai.
  6. And, hame banner code ko apni site me add karke flipkart affiliate product ka promotion kar sakte hai.

Jab hamari site par flipkart affiliate product show hone lagega. To visitors product ko purchase bhi kar sakte hai. Jaise hi koei visitors hamare affiliate link ke through product ko purchase karega. To hame kuchh commission flipkart company ki taraf se provide kiya jayega. Es tarha se flipkart affiliate marketing se paise bhi kama sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki flipkart affiliate marketing ko join kaise karte hai. Aur flipkart affiliate product ko apne blog website par kaise lagate hai.

2 thoughts on “Flipkart Affiliate Marketing Program Se Online Paise Kaise Kamaye”

  1. nice blog…keep up the good work….I want to start affiliate on my blog. Can you tell me which is better Amazon or Flipkart?

    Reply

Leave a Comment