Home » Blog » Blogging » Free Themes Kaise Aur Kahan Se Download Kare WordPress Blogger Blog Ke Liye

Free Themes Kaise Aur Kahan Se Download Kare WordPress Blogger Blog Ke Liye

WordPress Blogger Blog Ke Liye Free Themes Kaise Aur Kahan Se Download Kare : Har new blog banane ke baad hamara sabse pehla work default theme ko delete karke ouski jagah ek fast loading, seo friendly, mobile friendly, adsense friendly aur readers friendly theme ko apne blog me instaal karke activate karna hota hai. Lekin new bloggers ko eske baare ma pata nahi hota. Aur we default theme ko hi use karte rehte hai. jo na to dekhne me attractive hoti hai. aur fast loading, seo friendly, mobile friendly, aur adsense friendly bhi nahi hoti. Eski wajah se hamara blog ek professional blog bhi nazar nahi aata.

Hamare Blog / website ko attractive aur professional banane me themes ka ahem yogdan hota hai. kyuki kisi bhi readers ki pehli nazar hamare blog ke design par hi jati hai. esliye hame apne blog website me ek achchhi quality ki theme ko add karna bahut zaroori hota hai.

Apne blog / website me kaisi themes ko use kare? Agar aap ye sochte hai to mai aap ko batana chahunga ki ek achchhi quality ki theme fast loading, seo friendly, mobile friendly, adsense friendly, aur user friendly hoti hai.

Fast loading themes ki wajah se hamara blog website browser me jaldi open hote hai. koei bhi readers aisi website blog ko pasand nahi karte jo late open hote hai.

Seo friendly theme ki wajah se hamare blog ki har post search engine me jaldi show hoti hai. post ka search engine me jaldi show hona hamare blog ki rank ko increase karta hai. blog par sabse zyada visitors search engine se hi aate hai.

Mobile friendly theme ki wajah se hamara blog website mobile me bhi jaldi open hote hai. aur mobile user post ko easily read kar pate hai. aajkal computer se zyada mobile par internet chalana zyada pasand kiya jata hai.

Adsense friendly theme ki wajha se ham apne blog ke header, sidebar aur footer aadi me google adsense ke ads easily laga sakte hai. maximum bloggers income karne ke liye hi blogging karte hai, aur google adsense ke ads apne blog par lagana har bloggers ka sapna hota hai.

User friendly theme hone ki wajah se hamare blog ka design attractive hota hai. aur kisi bhi visitors ko hamare blog ki kisi bhi post ko open karke read karne me bhi koei pareshani nahi aati.

Agar aap bhi en sabhi quality wali themes ko free me download karna chahte hai to es post ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janege ki wordpress aur blogger blog ke liye free themes kaise aur kahan se download karte hai.

WordPress blog ke liye free themes kahan se aur kaise download kare

Mythemeshop.com ek aisi website hai, jo wordpress.org platform par banaye gaye blog ke liye hame free aur paid dono hi tarah ki themes provide karwati hai. es website par visit karke ham ek achchhi theme ko find karke easily download kar sakte hai. es website se free themes ko download karne ke liye hame es par account bhi create karna padta hai.

Mythemeshope se wordpress blog ke liye free themes ko kaise dwnload kare

My theme shop se apne wordpress blog ke liye ek free theme ko download karne ke liye hame sabse pehle eski website par visit karna hoga.

Step 1. Login / signup

  1. Mythemeshop ke home page par jakar hame sabse pehle login karna hoga.
  2. Agar account nahi banaya hai, to signup ke button par click kare.

Signup ke option par click karte hi hamare samne new account banane ke liye ek form open hoga. Jisme hame kuchh details ko fill karna hoga.

Step 2. Join mythemeshop

  1. Apne name ka first word likhe.
  2. Apne email address ko enter kare.
  3. Aur signup ke button par click kare.

Signup ke button par click karte hi hame ‘thank you for signup’ ka message show hoga. Aur hamare email address par ek confirmation email bhi aayegi. Ab hame mythemeshop ki email ko open karna hoga.

Step 3. Username and password

  1. Email open karne par hame username aur password show honge.
  2. Ab hame ‘download files from here’ ke button par click karna hoga. Click karte hi ek new page open hoga.

Step 4. Select option

  1. I have a brand new website par click kare.
  2. I run a blog par click kare
  3. Ab finish button par click kare.

Finish button par click karte hi ham mythemeshop ke account me automatic signin ho jayege. Ab hame sabse oupar show ho rahe mythemshop website ke icon par click karna hai. click karte hi hame es website ke home page par aa jayegne.

Step 5. Themes

Home page par hame top par show ho rahe themes ke option par click karne hoga. Click karte hi all, blog, business, eCommerce, free aur magazine aadi k option show honge.

Step 6. Free themes

Es page par hame ‘free’ ke option par click karna hai. free ke option par click karte hi hamare samne mythemeshop website par available sabhi free theme show hone lagegi.

Step 7. Click on theme

Yahan hame apni favorite theme par mouse ke cursor ko le jakar click karna hai. click karte hi new page par theme ki all details hamre samne open hogi.

Step 8. Download theme

Yahan se ham download ke button par click karke mythemshop website se bahut hi easily apne wordpress blog website ke liye free theme ko download kar sakte hai.

Blogger blog ke liye free themes kahan se aur kaise download kare

Gooyaabitemplates.com ek aisi website hai, jo blogger.com platform par banaye gaye blog ke liye hame free themes provide karwati hai. es website par visit karke ham ek achchhi theme ko find karke easily download kar sakte hai. es website se free themes ko download karne ke liye hame es par account bhi create kane ki zaroorat nahi hai.

Gooyaabi Templates se wordpress blog ke liye free themes ko kaise dwnload kare

Gooyaabi templates se apne blogger blogspot blog ke liye ek free theme ko download karne ke liye hame sabse pehle eski website par visit karna hoga.

Step 1. Free blogger templates

Gooyaabitemplates.com ke home page par jakar hame show ho rahe ‘free blogger templates’ ke option par click karna hoga. Click karte hi Gooyaabi Templates website par available sabhi free blogger themes hame show hone lagegi.

Step 2. Select theme

Yahan available kisi bhi theme ko free me download karne ke liye hame apni favorite theme par mouse ke cursor ko le jakar click karna hoga. Click karte hi new page par hame theme ki all details show hogi.

Step 3. Download theme

Yahan se ham show ho rahe download ke button par click karke gooyaabi templates website se bahut hi easily apne blogger blog ke liye ek free theme ko download kar sakte hai. aur apne blog ko ek attractive aur professional look de sakte hai.

es tarah se ham apne wordpress aur blogger blog ke liye free theme download kar sakte hai. agar aap free image ko bhi download karne ke bare me janna chahte hai, to neeche di gaei posts ko read kare.

I hope, es post ko padhne ke baad aap jan gaye honge ki wordpress aur blogger blog ke liye free themes kaise aur kahan se download karte hai.

4 thoughts on “Free Themes Kaise Aur Kahan Se Download Kare WordPress Blogger Blog Ke Liye”

  1. Bhai aap meri website per visit kar ke btaaye kaisi hain aur kya kami raah gai hain bataye pls bhai

    Reply

Leave a Comment