Home » Blog » Gmail » Gmail Se New Email Photo Video Or Document Send Kaise Kare

Gmail Se New Email Photo Video Or Document Send Kaise Kare

Gmail Se New Email Photo Video Or Document Send Kaise Kare : all world me ek person ke through, doosre person ko photo, video, music aur koei document send karne ke liye email ka use kiya jata hai. aaj ke time me google ki gmail sabse best email provider hai. jisse ham 10 gb tak ke kisi document ko email me attach karke send kar sakte hai.

Lagbhag all internet users gmail par apna apna account banate hai. kyuki gmail ko use karna aur es ke throug email send karna bahut hi easy  hai. ‘gmail par account kaise banaye’ post me maine gmail par email address banana bataya thah. Agar aap ne abhi tak gmail par apna account nahi banaya hai, to es post ko read karke easily bana sakte hai. chaliye, ab jante hai ki gmail se email photos videos or documents kaise bhejte hai, aur gmail me photo, video aur document ko attach kaise karte hai.

Gmail Se Photo Video Document Or Email Send Kaise Kare

Gmail se email bhejne ke liye sabse pehle gmail ki website par visit karke apne account me login kare. Aur phir neeche bataye gaye steps ko follow kare.

  1. Gmail account me login karke compose ke button par click kare.
  2. Jis person ko email send karna chahte hai, ouska email address enter kare.
  3. Yahan email ka subject enter kare.
  4. Content box me apna complete message type kare.
  5. Agar koei file ko attach karna chahte hai. to yahan click karke apne photos, videos, music, aur documents aadi ko upload kare.
  6. Ab, send ke button par click karke, email ko send karde.

Send ke button par click karte hi 1 second me hamari email other email users ko pahunch jayegi. Ham kisi bhi tarah ke email address par email ko send kar sakte hai. chahe wo gamail, yahoomail, hotmail, yandexmail ya kisi other email provider company ka address ho.

Gmail Se Photo Video document Aur Email Send Karne Ke Fayde Kya Hai

  • 1 second me hi kisi bhi email address par mail ko send kar sakte hai.
  • send ki hoei sabhi email sent option me jakar dekh sakte hai.
  • agar hamse koei email delete ho gaei hai, to ham ouse trash option me jakar restore kar sakte hai.
  • trash emails 90 days tak delete nahi hoti. 90 days ke baad hi permanently delete hoti hai.
  • 10 gb tak ki attachments ko google drive ki help se send kar sakte hai.
  • 25mb tak ke photos videos or documents ko email me attach karke bhej sakte hai. kyuki gmail ki file attachment size limit 25 mb hai. future me ye ghat ya badh bhi sakti hai.
  • photos, videos, aur other documents send karne par ounki quality me koei fark nahi padta.
  • maximum photos jpg aur png formate me hote hai. aur videos 3 gp ya mp4 formate me hoti hai. gmail se ham en formate ke photos aur videos ko easily send kar sakte hai.
  • gmail se email send karna bilkul free hai.
  • space 15 gb ka hota hai. jisme ham bahut sari send aur receive emails ko store karke rakh sakte hai.
  • agar ham kisi mail ko send karna nahi chahte, to ouse draft me bhi save kar sakte hai, aur jab marzi chahe kisi bhi email address par send bhi kar sakte hai.
  • aap apne kisi important photos videos aur documents ko apne ousi gmail address par send karke inbox me life time ke liye save rakh sakte hai.

Email ke through photo, video, music aur koei document send karna bahut easy hai. par alag alag email provider company ke email size me different ho sakta hai. gmail se google drive ka use karke ham 10 gb tak ki file ko send kar sakte hai.

Google ki gmail service hame bahut sare features provide karti hai. esliye maximum person email send karne ke liye google mail ka hi use karte hai. kisi other person ko email bhejne ke liye hamare paas ouska email address hona chahiye. Phir wo chaehe world ke kisi bhi country me rehta ho, ouske paas 1-2 seconds me hi email chali jayegi.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki gmail ke through email me photo video music aur document send kaise karte hai.

19 thoughts on “Gmail Se New Email Photo Video Or Document Send Kaise Kare”

  1. Sir Mere Gmail Me Kuch Video hai 5 MB ka To m use Download kaise kru , Wo Msg draft Me Save Ho gyi Hai Maine Glt Email Dali Thi to wo msg draft me save ho gya hai Or mere ko Use downlaod krna hai To kaise kru , downlaod ka icon dikhta hai but nhii hota usme bs Fetching Attachment krke popoup Aa jata hai.

    Reply
    • aap pehle draft email ko apni hi email par send karo, phir sent email me jakar mail ko open karke video ko download karo.

      Reply
  2. Sir main ek video email id se bhejna chahta hun par uska size 25MB se jyada hai
    kaise bheju

    Reply
    • aap gmail se 25 mb tak ki video ko hi send kar sakte hai. esse zyads mb ki video send karne ke liye aap pehle google drive par apni video ko upload karo, aur phir video ka link email me share karo

      Reply
  3. Sir,
    Email me binaa Scaning karke document upload hoga ya nanhi?(mobile memory file se doc upload hoga ya nanhi )

    Reply
    • jis tarah se photo upload karte ho. ousei tarah se video bhi upload kar sakte ho. aap 3gp ya mp4 format me upload kar sakte ho

      Reply
    • agar aap gmail user hai, to niche diye steps ko follow kare
      1. my account par jaye.
      2. personal information ke option par click kare
      3. ab, birthday ke option par click karke, dob change karle.

      Reply
    • gmail ek email service provider hai. aur email wo hai, jo ham gmail, yahoomail, hotmail, jaise popular email service provider ko use karke send ya receive karte hai

      Reply
    • waise to apne important documents ko google drive me save karne chahiye. but, agar aap gmail me hi document save karna chahte hai, to inbox me save kar sakte hai, ya koei alag se folder bana sakte hai.
      waise documents save karne ke liye google drive sabse best hai, ye bhi google ka hi product hai. zyada information ke liye ye post read kare – Google drive ko use kaise kare?

      Reply

Leave a Comment