Home » Blog » Blogging » Godaddy Company Se Top Level Domain Name Kaise Kharide

Godaddy Company Se Top Level Domain Name Kaise Kharide

Godaddy Company Se Top Level Domain Name Kaise Kharide : busines karne ke liye ya apne blog ko professional look dene ke liye hame ek top level domain name ki zaroorat hoti hai. jis ko hame domains provider companies se purchase karna padta hai. Internet par aaj bahut sari companies available hai. jo hame top level domain name easily provide karwati hai. enme sabse zyada famous godaddy, hostgator, bluehost, aadi hai.

Lekin aaj mai aapko sabse purani, sabse bharosemand, aur first year ke liye low price me domain name provide karwane wali company se ek top level domain name purchase karne ke jankari dunga. Low price me domain name kaise le? Agar ye question aap ke man me bhi hai, to es post  ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janege ki low price me provide karwane wali comapany godaddy se top level domain name kaise khareedte hai.

Godaddy se domain name kaise kharide

Godady se domain name purchase karne ke liye hame sabse pehle es par hamara account hona zaroori hai. agar aapne account nahi banaya hai, to ye post padhe : domain name aur web hosting khareedne ke liye godaddy par account kaise banaye. Top level DomainName ko purchase karne ke liye hame sabse pehle godaddy ki website par visit karna hoga.

Step 1. Domains

  1. Home page par hame domains par click karna hai.
  2. Ab domain name search par click karna hai.

Step 2. Start your domain name search

Domain name search par click karte hi ek new page open hoga.

  1. Aap ko jo domain name chahiye, search box me ouse type kare.
  2. Ab search button par click kare.

Step 3. Continue to cart

Search button par click karte hi hamare samne search result aa jayega.

  1. Agar search box me type kiya huwa domain name pehle se hi kisi our ne purchase kar liya hai, to hame ‘sorry, yourdomainname is taken’ message show hoga.
  2. Ab ham search box me koei dusra name type karke search kar sakte hai. Ya search kiye domain name se related kise doosre extensions wala domain name le sakte hai.
  3. Domain name pasand aane par, ouske samne select ke option par click kare. Click karte hi select ki jagah selected likha huwa aa jayega, aur continue to cart button ke neeche ‘1 domain selected’ likha huwa aa jayega.
  4. Ab hame ‘continue to cart’ ke button par click karna hoga.

Step 4. Domain configuration

Continue to cart ke button par click karte hi new page par hame other products lene ke liye kaha jayega.

  1. Hame har option me ‘no thanks’ ko select karna hai.
  2. Scroll down karke sabse neeche ‘continue with these options’ par click karna hai.

Step 5. Check your domain name and price

Continue with these options ke button par click karte hi next page par hame product, term, unit price, subtotal show hoga.

  1. Product ke neeche hame purchase kiye jane wale product ka naam show hoga.
  2. Term ke neeche hame apne product ki validity show hogi. Yahan par click karke hame ese 1 year ke alawa bhi increase kar sakte hai.
  3. Unit price ke neeche hame apne product ki validity khatm hone tak jitne paise dene honge, we show honge.
  4. Subtotal ke neeche purchase kiye jane wale product ke total price show honge.
  5. Right side me hame subtotal ke sath sath product ko purchase karne me kitna tax lagega, wo show hoga.
  6. Agar hamare paas koei promotional code hai, to hame add option par click karke ouse enter kar sakte hai. code available nahi ho, to click na kare.
  7. Hame product ko lene me total kitne paise invest karne honge, wo total me show karenge.
  8. Ab hame ‘proceed to checkout’ par click karna hai.

Step 6. Sign in

Proceed to checkout button par click karte hi hame godaddy me sign karne ka page open hoga.

  1. Apne username ya customer id ko enter kare.
  2. Godaddy account ka password enter kare.
  3. Keep me signed in par click kare.
  4. Aur ab sign in par click kare.

Step 7. Billing and payments

Sign in button par click karne ke baad billing and payment information ka page open hoga. Hame scroll down karke neeche payment informatin me…

  1. Debit cards par click kare.
  2. Continue ke button par click kare.

Step 8. Review your order and confirm your purchase

Continue ke button par click karte hi hame new page par complete billing and payment information show hogi.

  1. Billing information me hame apna poora naam, email id, address, mobile number show hoga.
  2. Payments card me hame debit card show hoga.
  3. Sab ko check karke hame place your order par click karna hai.

Step 9. Order number

Place your order ke button par click karte hi new page par hame apna order number, billing information, aur payments information show hogi.

Step 10. Enter your debit card details

Order number wale page par hi hame scroll down karke payments information me debit card ko select karke kuchh details enter karni hai.

  1. Debit card par click kare
  2. Aap ka debit card koun sa hai, wo select kare.
  3. Debit card number ko enter kare
  4. Expiry date me apne debit card ki expiry date ke month aur year ko select kare.
  5. Debit kard ke cvv number ko enter kare.
  6. Future me payments karne ke liye apne card ko save karna chahte hai, to yahan click kare. Warna, blank hi rehne de.
  7. Ab ‘make payment’ button par click kare.

Step 11. One time password

Make payment button par click karte hi ek new page open hoga. aur hamare mobile number par ek 6 digit ka one time password bhi aayega.

  1. Yahan hame one time password ko enter karna hai.
  2. Aur registration ko complete karne ke liye submit button par click karna hai.

Submit button par click karte hi hamare bank accounts se paise cut jayege. Aur ham godaddy se top level domain ko purchase kar lenge. Apne domain ko dekhne ke liye godaddy ke home page par jaye.

Step 12. My products

  1. Apne naam par click kare.
  2. My products pr click kare.

My products ke option par click karte hi new page par hame domains ka option dikhaei dega.

Step 13. Manage domain

Hame domain ke samne manage par click karna hai. manage button par click karte hi hamare samne domains ki list show hogi. Yahan hame apne sare domains show honge.

Step 14. Domain name

Yahan ham apne ous domain ko bhi dekh sakte hai, jo hamne godaddy se abhi abhi khreeda hai. Aur es ko ham apne blogger blog me bhi add kar sakte hai. jiske baad hamara blogger.com platform par banaya gaya blog professional look me nazar aane lagega.

agar aap ek blogger user hai, to turant godaddy se ek top level domain name purchase karke apne blogger blog me add kare. aur agar aap ek wordpress user hai, to hosting bhi purchase kare.

Finally, es post me hamne jana ki godaddy company se top level domain name ko online kaise khreedte hai.

2 thoughts on “Godaddy Company Se Top Level Domain Name Kaise Kharide”

Leave a Comment