Home » Blog » Blogging » WordPress Blog Ke Liye Godaddy Se Web Hosting Kaise Kharide

WordPress Blog Ke Liye Godaddy Se Web Hosting Kaise Kharide

WordPress Blog Ke Liye Godaddy Se Web Hosting Kaise Kharide : blogger.com platform par apna blog  banana ho to hame web hosting lene koei zaroorat nahi hoti. Lekin wordpress.org platform par blog banane ke liye hame web hosting ki zaroorat padti hai. Internet par bahut sari hosting provider companies available hai, jin se ham online web hosting purchase kar sakte hai. lekin ounme kuchh companies fraud bhi hai. new bloggers ko en companies ke baare me pata nahi hota, aur low price dekhkar we loot jate hai.

Kyuki Jab baad me we low price me hosting provide karwane wali companies ki service use karte hai, to blggers ko oun companies ki asliyat pata chalti hai. phir baad me wo bahut afsos karte hai. Hostgator, bluehost, aur godaddy meri favorite hosting provider companies hai. kyuki enki service ke sath sath customer support bhi bahut achchha hai. aur ye kisi bhi blogger ke sath dhoka bhi nahi karti. En companies se hosting lekar use karne me hame ye pasand na aaye, to ye hamre poore paise bhi wapas kar dete hai.

En top hosting provider companies me se aaj ham godaddy ke baare me baat karege. Aur es post me janege ki wordpress blog ke liye godaddy company se web hosting online kaise purchase karte hai.

WordPress Blog Ke Liye Godaddy Se Web Hosting Kaise Kharide

WordPress.org platform par blogging karne ke liye godaddy company se online web hosting lene ke liye hame sabse pehle godaddy ki website par jana hoga.

Step 1. hosting

  1. Home page par jakar hosting par click kare.
  2. Linux hosting par click kare.

Step 2. Plans

Linux hosting ke option par click karte hi hamare samne sare plans show honge. Ab ham enme se koei bhi plan select kar sakte hai.

Step 3. Select hosting plan

  1. Agar aap ek new blogger hai, to starter plan ko hi kharide.
  2. Starter plan lene ke liye add to cart par click kare.

Add to cart button par click karte hi next page par hame months ko select karna hoga. Jitne months ke liye hame hosting leni hai.

Step 4. Select term length

Es page par hame Months ko select karke aur phir Scroll down karke sabse neeche continue ke button par click karna hai.

Step 5. Check your hosting plan and price

Continue ke button par click karte hi next page par hame product, term, unit price, subtotal show hoga.

  1. Product ke neeche hame purchase kiye jane wale product ka naam show hoga.
  2. Term ke neeche hame apne product ki validity show hogi. Yahan par click karke ham ese 1 month ke alawa bhi increase kar sakte hai.
  3. Unit price ke neeche hame apne product ki validity khatm hone tak jitne paise dene honge, we show honge.
  4. Subtotal ke neeche purchase kiye jane wale product ke total price show honge.
  5. Right side me hame subtotal ke sath sath product ko purchase karne me kitna tax lagega, wo show hoga.
  6. Agar hamare paas koei promotional code hai, to hame add option par click karke ouse enter kar sakte hai. code available nahi ho, to click na kare.
  7. Hame product ko lene me total kitne paise invest karne honge, wo total me show karenge.
  8. Ab hame ‘proceed to checkout’ par click karna hai.

Proceed to checkout ke button par click karte hi hame godaddy me login karna hoga.

Step 6. Godaddy sign in

  1. Apne username ya customer id ko enter kare.
  2. Godaddy account ka password enter kare.
  3. Keep me signed in par click kare.
  4. Aur ab sign in par click kare.

Sign in button par click karne ke baad billing and payment information ka page open hoga.

Step 7. Billing and payments

  1. Hame scroll down karke neeche payment informatin me Debit cards par click kare.
  2. Continue ke button par click kare.

Continue ke button par click karte hi hame new page par complete billing and payment information show hogi.

Step 8. Review your order and confirm your purchase

  1. Billing information me hame apna poora naam, email id, address, mobile number show hoga.
  2. Payments card me hame debit card show hoga.
  3. Sab ko check karke hame place your order par click karna hai.

Place your order ke button par click karte hi new page par hame apna order number, billing information, aur payments information show hogi. Es page par hame scroll down karke payments information me debit card ko select karke kuchh details enter karni hai.

Step 9. Enter your debit card details

  1. Debit card par click kare
  2. Aap ka debit card koun sa hai, wo select kare.
  3. Debit card number ko enter kare
  4. Expiry date me apne debit card ki expiry date ke month aur year ko select kare.
  5. Debit kard ke cvv number ko enter kare.
  6. Future me payments karne ke liye apne card ko save karna chahte hai, to yahan click kare. Warna, blank hi rehne de.
  7. Ab ‘make payment’ button par click kare.

Make payment button par click karte hi ek new page open hoga. aur hamare mobile number par ek 6 digit ka one time password bhi aayega.

Step 10. Enter one time password

  1. Yahan hame one time password ko enter karna hai.
  2. Aur registration ko complete karne ke liye submit button par click karna hai.

Submit button par click karte hi hamare bank accounts se paise cut jayege. Aur ham godaddy se web hosting ko purchase kar lenge.

Ab ham godaddy company ki hosting se apne top level domain ko connect karke cpanel par wordpress ko install karke wordpress.org platform par ek professional blog bana sakte hai. domain ko ham godaddy compny se bhi le sakte hai. eske liye ye post padhe :

Godaddy se web hosting lene ke kya fayde hai

Godaddy ek bahut purani company hai, ham es par poora bharosa kar sakte hai. eska customer support bhi bahut achchha hai. ham customer care officer se hindi aur english, dono language me 24/7 baat kar sakte hai.

Godaddy se hosting lena new bloggers ke liye sabse zyada faydemand hai. kyuki  yahan se ham 1st year ke liye bahut hi low price me web hosting purchase kar sakte hai. aur use karne ke baad service pasand na aaye to apne product ko cancel karke paise wapas bhi le sakte hai.

I hope, es post ko padhne ke baad aap jaan gaye hoge ki wordpress.org platform  par blog banakar blogging karne ke liye godaddy company se web hosting kaise kharidte hai. aur eske kya kya fayde hote hai.

2 thoughts on “WordPress Blog Ke Liye Godaddy Se Web Hosting Kaise Kharide”

Leave a Comment