Home » Blog » Blogging » Google Search Engine Se Free Images Or Photos Kaise Download Kare

Google Search Engine Se Free Images Or Photos Kaise Download Kare

Google Search Engine Se Free Images Kaise Download Kare, Google Search Engine Se Free Photos Kaise Download Kare : Blog, website aur social networking sites par share karne ke liye aksar hame images ki zaroorat padti hai. jo log blogging karte hai, ounhe hamesha apne thorough create ki hoei image hi site me use karni chahiye. Agar koei blogger aisa nhi kar sakta, to wo internet par available hazaro sites se high quality image ko purchase kar sakta hai. ya phir free stock photos or copyright free image provide karne wali websites se free photo image ko download kar sakta hai.

Many new bloggers ko enke bare me information nahi hoti. Aur we google search engine se image ko search kar download karte hai. aur phir ouse apne blog or website ki post me use karte hai. Aisa karne se copyright claim ka dar rehta hai. kyuki google search engine me show hone wali all images hi copyright free nahi hoti. Jo photos or images copyright free nahi hote, ham ounhe apni site par use nahi kar sakte.

But, google search engine me show hone wali all images me se copyright free image ko filter kiya ja sakta hai. aur pata lagaya ja sakta hai, ki koun koun si image copyright free hai. ouske baad ham en images ko download karke apne blog website par use kar sakte hai.

Es post me ham janenge…  Blog Website aur social networking sites ke liye Google se free stock image download kaise kare? Google search engine se copyright free or free stock images photos kaise download kare? Google free stock or copyright free photos images ko filter kaise kare?

Google Se Free Stock Or Copyright Free Images Photos Kaise Download Kare

Google se free stock photos or copyright free images download karne ke liye hame sabse pehle google ki website par visit karna hoga.

Step 1. Google Search Engine

Google ki website par visit karke sabse pehle home page par show ho rahe image ke option par clic kare. Click karte hi google image search ka page open hoga. Jisme hame image ko search karna hoga.

Step 2. Google Image Search Kaise Kare

  1. Search box me keyword type kare. Jisse related image search karni hai.
  2. Search button par click kare. Ya keyboard se enter button press kare. Search button par click karte hi hamare samne keyword se related images show hogi. Jinme se hame copyright free image ko find karna hai.

Step 3. Google Images Ko Filter Kaise Kare

  1. Tools par click kare.
  2. Usage right par click kare. Usage right par click karte hi ek drop down menu open hoga.
  3. ‘labeled for reuse with modification’ ke option par click kare.

Labeled for reuse with modification ke option par click karte hi hamare samne jitni bhi image show hogi. We sabhi free stock or copyright free hogi. Jinko ham apne blog website ki post aur social networking sites par without any tension ke use kar sakte hai.

Google Image Search Me Free Stock Or Copyright Free Images Photos Ko Filter Kyun Kare

Ham sabhi jante hai ki google all world ka sabse bada search engine hai. jisme ham kuchh bhi information search kar sakte hai. theek esi tarah se google me ham koei image bhi search kar sakte hai.

Sabse zyada image search karne ki zaroorat bloggers ko padti hai. kyuki ounhe apne blog website ki post me image ko insert karna padta hai. jo pro bloggers hote hai, we achchhe se jante hai ki blog post me image add karne ke liye kahan se download kare.

But, new bloggers eske bare me nahi jante. Aur google search engine se kisi bhi image ko download karke apni site par use kar lete hai. aisa karne se bloggers ko copyright problem ho sakti hai.

kyuki image create karne wala owner blogger par copyright claim kar sakta hai. aur search engine se bhi aisi sites ko remove karwaya ja sakta hai.

esliye, apne hame apne blog website par apne through create ki hoei image ko hi use karna chahiye. Ya free stock or copyright free photos images ko hi use karna chahiye.

Free stock image download karne ke liye internet par bahut sari websites available hai, ham easily en sites se copyright free images photos ko download kar kahin bhi use kar sakte hai.

But, agar aap google search engine se image ko search karke apni site par use karte hai, to ye aap ke liye harmful ho sakta hai. kyuki google search engine me show hone wali all image hi copyright free nahi hoti. Ham kisi bhi photo ko download karke use nahi kar sakte.

Apne blog website ya social networking sites par create kiye gaye page par google se download ki image ko use karne se pehle ouse filter karna bahut zaroori hota hai. jisse ki hamare samne only free stock or copyright free photos hi show ho.

Image filter karne ka method mai oupar bata chuka hun. Google search engine me photos ko filter karne ke baad ham copyright free images ko kahin bhi use kar sakte hai.

Without Filter Google Image Ko Use Kyun Nahi Karna Chahiye

  • Google search engine ki all images or photos hi copyright free nahi hote. Image owner ham par case na kare, esse bachne ke liye image ko filter karke hi use kare.
  • Search engine ki penalty se bachne ke liye image ko filter zaroor kare. Kyuki agar hamne copyright image ko apni site par use kiya. Aur image create karne wale ne hamare against complain ki, to hamari site ko google search engine me block bhi kiya ja sakta hai.

En sabhi problems se bachne ke liye free stock or copyright free photos images provide karne wali sites se hi photo or image ko download karke apni site par use kare. Aur agar aap google search engine se image download karke apni site par use karte hai, to free image ko filter zaroor kare.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki google search engine se free stock or copyright free images photos download kaise karte hai. copyright free google image ko filter kaise karte hai.

4 thoughts on “Google Search Engine Se Free Images Or Photos Kaise Download Kare”

Leave a Comment