Home » Blog » Gmail » Gmail Account Ka Old Password Change Kaise Kare

Gmail Account Ka Old Password Change Kaise Kare

Gmail Account Ka Old Password Change Kaise Kare – lagbhag sabhi internet user gmail ka use karte hai, kyuki gmail, all world ki number 1 free email service ko provide karti hai. Gmail, google ki hi ek service hai. eska poora name google mail hai. eske through ham kisi other email par email ko send ya receive kar sakte hai. social sites par account banane ke liye bhi ham gmail ka use kar sakte hai.

Google ki aur bhi bahut si services jaise gmail, google+, photos, drive, docs, hangouts, aur adsense aadi hai. jinko ham google ke ek hi accounts se handle kar sakte hai.

Lekin agar hame en service me se kisi ka bhi password ko change karna ho, to hame gmail ko open karke, ouski setting me jana hoga. Gmail par account banana ho ya useless gmail account ko permanently delete karna ho, enke bare me mai pehle hi bata chuka hun. Es post me ham google ya gmail account ke old password ko change kaise karte hai, ke bare me janenge.

Google Ya Gmail Account Ke Old Password Ko Kaise Change Kare

Waise to hame har 3-4 months me apne all accounts ke password ko change karte rehna chahiye. Ye hamare account ki security ke liye bahut zaroori hota hai. lekin agar hame lage ki hamare account ko koei aur bhi use kar raha hai, to apne paasword ko turant hi change kar lena chahiye.

Esse ye hoga ki jahan jahan bhi hamare google gmail account ko use kiya ja raha hoga. Wahan wahan se hamara account  automatically logout ho jayega. aur signin karne ke liye new password mangega.

Lekin kuchh logo ko apne gmail ya google account ke password ko change karne ke baare me pata nahi hota. Jiski wajha se ounke account ko other person use karta rehta hai.

Agar aap bhi google mail ke password ko change karna nahi jante hai, to aaj aap jaan jayege. Kyuki ab ham baat karenge ki google ya gmail account ke password ko kaise badle.

Step 1. Signin

Password change karne ke liye hame sabse pehle gmail ki website par jakar sign karna hoga. Signin karte hi ham gmail ke inbox me pahunch jayenge. Inbox me pahunchne ke baad hame right side me setting ka icon show hoga.

Step 2. Setting icon

  1. Inbox me show ho rahe Setting ke icon par click kare. Ek dropdown open hoga.
  2. Es dropdown me setting ke option par click kare. Gmail setting ka page open hoga.

Step 3. Accounts and Import

  1. Es page par sabse pehle accounts and import ke option par click kare.
  2. Change password par click kare. Ab ek new page open hoga, jis par hame apne old password ko enter karke doobar se signin karna hoga.

Step 4. Enter old password

  1. Google account ke old password ko enter kare.
  2. Signin ke button par click kare. Ab change password ka ek new page open hoga.

Step 5. Ente new password

  1. New password ko enter kare.
  2. Doobar enter karke new password ko confirm kare.
  3. Change password ke button par click kare.

Change password ke button par click karte hi hamare google gmail account ka password change ho jayega. ab jahan  jahan bhi hamara account open huwa hoga. Wo wahan se logout ho jayega.

Ab har jagah account ko login karne ke liye new password ko enter karna hoga. Yaad rakhe har 3-4 months me apne all social accounts ya onlinse sites ke password ko change kar lena chahiye. Aur pasword ko create karte time ouse strong banana chahiye.

I hope es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki gmail ya google ki all services jaie gmail, google+, docs, drive, photos, hangouts, aadi ke old password ko change kaise karte hai.

2 thoughts on “Gmail Account Ka Old Password Change Kaise Kare”

  1. thanks sir aapki post pahut kaam ki hai mene aapki post se apna gamil account ka password change kar liye hai but usme ab mobile ka option aa rha hai with out mobile ke otp aane par nahi khul pa rha hai.

    Reply

Leave a Comment