Home » Blog » Google » Google Photos Kya Hai Google Photos Ko Use Kaise Kare

Google Photos Kya Hai Google Photos Ko Use Kaise Kare

Google Photos Kya Hai, Google Photos Ko Use Kaise Kare, Google Photos Par Unlimited Photos Aur Videos Ko Upload Kaise Kare. – technology ke es dour me ham sabhi ke mobile, computer aur pen drive aadi me bahut sare important photos aur videos save rehte hai. Jinhe ham kabhi bhi delete karna nahi chahte. Ham sabhi apni apni zaroorat aur pasand ke hisab se apni family ke photos ya videos, favorite songs and movies, informative and educative video clips, aadi ko apne mobile, computer, aur pen drive aadi me save karke rakhte hai.

Lekin kuchh logo ke sath aisa hota hai ki we jis cheez me apne important photos aur videos save karke rakhte hai. Wo achanak kharab ho jati hai. Jiski wajah se ousme available sare photos aur videos permanently delete ho jate  hai. Jinko chah kar bhi wapas recover nahi kiya ja sakta. Aise me oun logo ko bahut problem hoti hai, jinka important data permanently delete ho jata hai. Kyuki ounki kaei varsho ki mehnat pal bhar me hi nasht ho jati hai.

Es tarah ki sabhi problems se bachne ke liye google ki ek behatreen service hamare liye bahut useful sabit ho sakti hai. Jis par ham apne unlimited photos aur videos ko upload karke online cloud par store kar sakte hai. Google ki es service ka naam google photos hai. Jise ham free me use kar sakte hai.

Agar aap google photos ke baare me kuchh bhi nahi jante, to es post ko carefully padhe. Kyuki es post me ham janenge ki google photos kya hai, google photos ko use kaise kare,  google photos par unlimited photos aur videos upload kaise kare.

Google Photos Kya Hai

Aaj kal apni zaroorat aur security ko dekhte huwe apne sabhi important photos aur videos ko online cloud par upload karke store karna bahut zaroori ho gaya hai. Jisse ki zaroorat padne par ham ounhe anywhere aur anytime access kar sake. Aur ounke delete hone ka khatra bhi na ho.

Apne important photos aur videos ko online upload karke lifetime ke liye safe and save karne ke liye google photos se best platform koei doosra nahi hai. Ye ek google ki service hai. Jisko ham free me use kar sakte hai.

Google photos ko ham apne mobile aur computer dono par bahut hi easily access karke unlimited photos aur videos ko store kar sakte hai. Aaj internet par available google ki google photos service millions logo ki pasand ban chuki hai. Kyuki ham es par apne favorite photos aur videos ko online upload kar life time ke liye safe kar sakte hai. Aur ouske baad ounhe kahin bhi, kabhi bhi aur kitni baar bhi download karke apne use me la sakte hai.

Google Photos Par Account Kaise Banaye

Goggle photos par account banane ke liye hame koei alag account create nahi karna padta. Sirf gmail account se hi kaam chal jata hai. Aur gmail id aur gmail password ka use karke hi ham google photos me login hote hai.

Step 1. login

  1. Sabse pehle hame Gmail id aur gmail password ko enter karna hoga.
  2. Ab hame Sign in ke button par click karna hoga.

Sign in par click karte hi ham google photos me login ho jayenge. Aur hame 1st time 3-4 message show honge.

Step 2. One home for all your photos – organized and easy to find

‘Google photos supports face matching technology. You can turn off this feature any time in settings.’ Message ke samne wale arrow par click kare.

Step 3. Auto upload from all your devices

‘Backup and view a lifetime of photos across all your devices. Edits made once appear on all your devices.’ Message ke aage arrow par click kare.

Step 4. Automatically organized and searchable

‘See all your photos organized by people, places, and things. Search by  what you remember about a photo, no description needed.’ Message ke aage arrow par click kare.

Step 5. Easily edit and share how you like

‘Crop, add filters, and adjust your photos in your browser. Share lots of photos at once, even with people who do not have the app.’ Message ke aage right ke mark par click kare.

Right ke mark par click karte hi hamra google photos par account ban jayega. Ab ham automatically google photos me fully enter kar jayege.

Google Photos Par Unlimited Photos Videos Upload Kaise Kare

Es par unlimited photos aur videos ko upload karne ke liye hame sabse pehle gmail id aur gmail password ka use karke login hona hoga. Ouske baad hame hame page par ‘upload’ ka ek button show hoga.

Step 1. Upload

Google photos me login karke hame home page par ‘upload’ ke button par click karna hoga. Upload ke button par click karte hi ham apne computer ke drive me pahunch jayege. Wahan se hame ous folder me jana hoga, jis folder ke photo ya video ko hame google photos par upload karna hai.

Step 2. Select photos

  1. Hame Jis photo ko upload karna hai, ouse select karna hoga. Ham ek sath 1 se zyada photos aur videos ko bhi select kar sakte hai.
  2. Ab hame ‘open’ ke button par click karna hoga.

Open ke button par click karte hi ek popup window open hogi. Es popup window me hame upload size ko select karna hoga.

Step 3. Upload size

  1. High Quality (Free Unlimited Storage) ko select kare
  2. Ab continue ke button par click kare.

Step 4. Start uploading

Continue ke button par click karte hi hamre through select kiya photo ya video upload hona start ho jayega.

Step 5. Successful upload

Uploading process complete hote hi hame apna photo ya video hamare google photos ke andar show hone lagega.

Google Photos Par Upload Photo Video Ko Share, Delete Aur Album Me Add Kaise Kare

  1. Google photos par upload kisi bhi photo ya video ko share, delete aur album me add karne ke liye hame ous photo ke oupar click karke select karna hoga. Select karte hi hame share, plus aur delete ke icon show honge.
  2. Share ke button par click karke hame share kar sakte hai.
  3. + ke icon par click karke album me add kar sakte hai.
  4. Remove ke icon par click karke ham delete kar sakte hai.

Google Photos Par Photo Aur Video Ko Upload Karne Ke Fayde Kya Hai

  1. Unlimited photo aur video upload karke save kar sakte hai.
  2. Share karne ki facility available hai.
  3. Online edit bhi kar sakte hai.
  4. Album bana sakte hai.
  5. Search karna bahut easy hai.
  6. Android mobile par app ka use karke photos aur videos ka automatic backup le sakte hai.

ye theh google photos ke use karne ke fayde. jis par free me hi apne high quality ke unlimited photos and videos life time ke liye save kar sakte ho.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jan gaye honge ki google photos kya hota hai, google photos ko use kaise karte hai, google photos par unlimited photos aur videos ko upload kaise karte hai.

4 thoughts on “Google Photos Kya Hai Google Photos Ko Use Kaise Kare”

Leave a Comment