Home » Blog » Google » Google Plus Communities Kaise Banaye Delete Kaise Kare

Google Plus Communities Kaise Banaye Delete Kaise Kare

Google Plus Communities Kaise Banaye Delete Kaise Kare – Google plus ke mukable social networking site facebook ko zyada use kiya jata hai. all internet users sabse pehle facebook par hi apna account create karna pasand karte hai. agar aap ka bhi fb par account hoga to aap achchhi tarah se jante hoge ki fb par hame pages aur groups banane ki facilities milti hai.

Jis tarah se facebook par groups hote hai, theek ousi tarah se google plus par bhi groups hote hai. jinhe communities ke name se jana jata hai. aur en communities ko unlimited members join kar sakte hai. aur apni apni baat community / group members ke beech share kar sakte hai.

Es post me ham google plus communities ke bare me baat karenge. Aur janege ki google plus communities kya hai. google+ communities ko kaise banate hai. google+ communities ko delete kaise karte hai, aur google plus communities ko use kaise karte hai.

Google Plus Communities Kya Hai

Facebook group ki tarah hi google plus par bhi groups hote hai. jinhe communities ke name se jana jata hai. en communities ko unlimited members join kar sakte hai. aur apni posts ko communities me share bhi kar sakt hai.

Google plus par ham other google+ users ki communities ko join kar sakte hai. aur khud apni bhi communities create kar sakte hai. es post me mai android mobile par google+ community ko create kaise kare ke bare me bata raha hun.  chaliye jante hai, eske bare me.

Google Plus Par Community Kaise Banaye

Google+ Community create karne ke liye hame sabse pehle apne android mobile me google+ apps ko open karna hoga. Ouske baad apne gmail id aur password se login kare. Login karte hi ham google plus ka home page show hoga.

Step 1. Communities

  1. Communities ke button par click kare.
  2. Yours ke option par click kare.
  3. Ab, ‘create a community’ ke button par click kare. Click karte hi ek page open hoga.

Step 2. Create a Community

  1. Community ke title ko type kare. Jo bhi aap rakhna chahte hai.
  2. Agar aap all google+ users ke liye community create kar rahe hai. to public option ko select kare. Aur agar aap kuchh selected users ke liye hi community create kar rahe hai. to private option ko select kare.
  3. Agar aap ye chahte hai, ki aapki community ko join karne se pehle users aap se poochhe. To ask to join ke samne show ho rahe button ko on kare. Warna off hi rehne de.
  4. Agar aap chahte hai ki aap ki community me other members ke through share ki jane wali posts ko publish hone se pehle aap ous ka review kare, to ‘hold posts for review’ ke samne wale button ko on kare. Warna off hi rehne de.
  5. Content controls ko on hi rakhe.
  6. Ab, done ke button par click kare.

Done ke button par click karte hi.aapki community create ho jayegi. Ab aap es community ke link ko others communities me share karke apni community ko promote kar sakte hai, jisse aapki community ko other google plus users join kar sake. Eske alawa aap apne circle me available friends and family ke sath bhi share kar sakte hai.

Google Plus Community Ko Permanently Delete Kaise Kare

Agar aap ne bahut sari google+ communities create kar li hai. aur aap sabhi ko manage nahi kar pa rahe hai. to aap apni community me other google plus user ko admin bana kar, khud communities se leave kar sakte hai. warna aap enhe permanently delete bhi kar sakte hai. eske liye aap neeche diye steps ko follow kar sakte hai.

  1. Google+ app me signin kare.
  2. Communities button par click kare.
  3. Yours ke option par click kare. Click karte hi aap ko we communities show hogi, jinke aap admin or moderator hai.
  4. Jis community ko permanently delete karna chahte hai, ous par click kare.
  5. Community open hone ke baad home page ke top par 3 points show honge. Oun par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi. Jisme edit community, delete community, share community, preferences, copy link, leave community, setting, send feedback, aur help ke option show honge.
  6. Es pop window me show ho rahe ‘delete community’ ke option par click karke ham apni community ko permanently delete kar sakte hai.

Oupar bataye steps ko follow karke ham apni kitni bhi useless community ko permanently delete kar sakte hai.

Google Plus Community Ke Fayde Kya Hai

Google plus community create karne ke baad ham ousme unlimited members ko join karwa sakte hai. jisme all members apni apni baat ko community ke all members ke sath share kar sakte hai. community create karna ka sabse bada fayda ye hai ki agar kisi wajha se ham post nahi kar pa rahe hai. to other members posts share karte  rehte hai. aur hamari community active rehti hai.

Agar aapne koei community create kar rakhi hai. but aap members na hone ki wajha se nirash hai, to aap eske liye apni community link ko google+ ki other communities me share kare. Phir dekhe kitni jaldi apki community me members increase hote hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki google plus communities kya hai. google+ community kaise banate hai aur kaise delete karte hai.

1 thought on “Google Plus Communities Kaise Banaye Delete Kaise Kare”

Leave a Comment