Home » Blog » Facebook » Facebook Group Community Me Members Kaise Badhaye

Facebook Group Community Me Members Kaise Badhaye

Facebook Group Or Google Plus Community Me Members Kaise Badhayefacebook par group kaise banate hai, aur google plus par community kaise banate hai. enke bare me mai pichhli posts me bata chuka hun. aaj mai aapko facebook group or google+ community me members ko increase kaise kare ke bare me bataounga.

Because, Group or community create karne ke baad hame sabse zyada members ki zaroorat padti hai. agar hamare groups aur communities me kam members honge, to hamare group ya community zyada popular nahi honge. Apne facebook group or google plus community ko jaldi se jaldi popular karne ke liye hame members badhane ki zaroorat hoti hai.

But, ye etna easy work nahi hai. members badhane ke liye hame bahut struggle karna padta hai. aur kuchh important steps ko follow karna padta hai. jiske baad dheere dheere hamare group or community me members increase hone lagte hai.

Es post me ham members badhane ke bare me baat karenge. Aur janege ki Facebook group me members ko kaise badhaye? Google plus communities me members ko kaise badhaye? Facebook group aur Google plus community me members ko increase kaise kare?

Facebook Group Aur Google Plus Community Me Members Kaise Badhaye

Hamare group or community me jitne zyada se zyada members available rahenge, wo outna hi active rahenge. Aur bahut jaldi popular bhi ho jayenge. But, eske liye hame kuchh important steps ko follow karna padega, ouske baad hi hamara facebook group or google plus community famous ho payenge. Aur zyada se zyada members add ho sakenge. Chaliye jante hai ki facebook group aur google plus community me members ko badhane ke liye kya kya kare.

Ek Achchha Topic Select Kare – kisi achchhe topic par apna facebook group or google plus community banaye. Group aur community ka name aisa rakhe, jise users sabse zyada search karte ho. Or ous topic par posts share karna pasand karte ho.

Name Ko English Font Me Hi Rakhe – social networking sites facebook aur google plus par ham apne group or community name ko kisi bhi language (for example – english, hindi, urdu, etc..) me rakh sakte hai. but, english font me likhe name ko users zyada like karte hai. aur maximum users english font me hi search bhi karte hai.

Regular Posts Share Kare – jab ham koei group or community create karte hai, to starting me members kam hote hai. ous time admin ko chahiye ki apne group or community me regular posts share karta rahe. Jisse wo active rahe.

Post Review Ko On Rakhe – facebook group aur google plus community me post review ki facility di hoti hai. setting me jakar post review ko on kar dena chahiye. Aisa karne se kisi other members ki post direct share nahi hoti.

Balki, admin or moderator ko review karne ke baad khud share karni padti hai. aisa karne se admin bad posts or useless posts publish hone se rok sakta hai.

Link Ko Share Kare – apne group or community ko promote karne ke liye other related groups or communities me link share kare. Esse aapke group aur community ke bare me other users ko pata chalega, to we aapke facebook group or google plus community ko join karenge.

All Posts Publish Kare – jab ham koei group or community banate hai, to ounko join karne wale all members ki soch ek jaisi nahi hoti hai. koei poetry pasand karta hai, to koei jokes pasand karta hai. phir we apni pasand ke hisab se hi posts share karte hai.

Oun sabhi members ki posts ko group me share hone de. Esse koei bhi members nirash nahi hoga. Aur sabhi members apni apni baat group or community ke others members ke sath share kar sakenge.

Post Checking Karte Rahe – agar aapke group or community me bahut sare members add ho chuke hai. aur aapne post review ki service ko on nahi kiya hai, to admin or moderator ko others members ke through share ki jani wali all posts ko check karte rehna chahiye. Aur useless posts ko dekhte hi turant delete kar dena chahiye.

Admins Or Moderators Ko Add Kare – agar aapko apne kisi facebook group or google plus community ko manage karne me koei problem aa rahi hai, ya aap time nahi de pa rahe hai. to apne close friends aur family members ko apne group or community ka admin / moderator bana sakte hai. esse aapka group hamesha active rahega.

Bad Posts Share Karne Wale Members Ko Block Kare – waise to ek admin ko apne kisi group member or community member ko block nahi karna chahiye. But, agar koei member bar bar bad posts share kar raha hai, to ouse block karna hi behtar hota hai. lekin aisa tabhi karna chahiye, jab wo aapke samjhane par bhi group or community ke rules ko follow na kare. Pehli bar me hi block nahi karna chahiye.

Groups Aur Communities Ko Limit Me Hi Banaye – facebook aur google+ par ham 1 se zyada group or community bana sakte hai. but, eska ye matlab nahi ki ham bahut sare groups aur communities create karle. Aisa karne se sabhi ko manage karne me problem hoti hai. aur ham oun sabko time nahi de pate.

Esliye hame only outne hi facebook groups aur google plus communities ko create karna chahiye, jitno ko ham easily manage kar sake.

Facebook Group Aur Google Plus Community Me Members Badhane Ke Liye Kya Kya Kare

  • Group or Community ka name aise topic par ho, jise users pasand karte ho.
  • Name likhne me english font ka hi use kare.
  • Group or Community ko active rakhne ke liye regular posts share karte rahe.
  • Posts review ki setting ko on rakhe. Kisi bhi post ko without review publish na kare.
  • Apne group aur community ke link ko other groups or communities me share kare.
  • All members ki posts ko publish hone de. But bad posts or useless posts ko share na hone de.
  • Group or community me other members ke through share ki gaei posts ko daily check karte rahe. Bad posts ko dekhte hi delete kare.
  • Agar aap apne facebook group or google plus community ko time nahi de pa rahe hai, to apne kisi friend or family member ko admin or moderator banaye.
  • Group ko hamesha active rakhne ki koshish kare.
  • Rules follow na karne wale members ko pehle samjhaye. Bar bar rules todne wale members ko block kare.
  • Zyada group or community na banaye.

Ye theh, facebook groups aur google plus communities me members ko increase karne ki kuchh important tips.

En steps ko follow karke aap apne kisi bhi facebook group aur google plus community me unlimited members badha sakte hai.

I hope, es posts ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki facebook group me members ko kaise badhate hai, google plus community me members ko kaise badhate hai.

4 thoughts on “Facebook Group Community Me Members Kaise Badhaye”

  1. बहुत ही बढ़िया लेख शेयर किया है आपने

    Reply
  2. G+ community me member add karne ka ek limit hota hai , aap ek din me 50 members se jyada add nahi kar sakte.

    Reply
  3. Mohd Zakaria, Really good post with complete and proper info and I really appreciate your hardwork
    Aur jo tips ap ne de hai yeh sach me effective hai

    Reply
  4. Me apne group me members add krta hon.. Wo member to ban jate hain, but group members ki Qnty increase ni hoti..
    Koi solution bata de..

    Reply

Leave a Comment