Home » Blog » Blogging » Hostgator Bluehost Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

Hostgator Bluehost Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

Hostgator Bluehost Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye : jab maine blogging ko start kiya to mere mind me sirf yahi baat thi ki apni site ko es layak banalu, jisse ki mera adsense account approve ho jaye. Aur mai bhi blogging karke online income kar saku.

Mai only google adsense se paise kaise kamate hai ke baare me hi janta thah. Eske alawa internet aur blogging se paise kamane ke kya kya method hote hai ke baare me bilkul bhi nahi janta thah. So, maine sabse pehle apni site par 50 unique aur helpful posts share ki. Jiske baad mere blog par visitors aane start ho gaye. Maine turant hi adsense ke liye apply kar diya. Adsense team ne meri application aur website ko carefully check kiya. Aur, phir meri request ko accept kar liya.

Bahut se bloggers ko adsense account ka approval milne me mahino lag jate hai. but, mera adsense account 3 din me hi approve ho gaya thah. Because, mai achhi tarah se janta thah ki adsense account ka approval pane se pehle kya kya steps ko follow kar lena chahiye.

3 din me hi mujhe adsense team ne ek email send ki. Jisme mujhe bataya gaya thah ki mera adsense account approve ho gaya hai, aur ab mai ad unit ko create karke apni site par ad kar sakta hun.

Maine aisa hi kiya. Aur adsense account me login karke text and image ad unit ko ceate kiya, aur phir apni website ke header, sidebar aur posts ke andar ad code ko add kar diya. 20-30 minutes ke baad meri site par googel ads show hone lage.

Slowly slowly meri site par visitors increase hone lage, aur ads par click bhi milne lage. Jiski wajha se meri adsense earning hone lagi.

Ek din mai apne gmail account me login karke emails check kar raha thah. Ous din mujhe apni hosting provider company ki taraf se send ki hoei ek mail receive hoei. Jisme mujhe ous company ke affiliate products ko apni site par promote karke income karne ke liye bataya gaya thah.

Maine turant hi company ke customer care par call ki aur affiliate marketing program ke bare me detail se jana. Complete information lene ke baad maine ous company ke affiliate marketing program ko join kiya. Aur phir ous company ke product ko apni site par promote kiya.

Jiske baad adsense ke alawa affiliate marketing se bhi meri online income hone lagi. Adsense aur affiliate marketing se income hone ke tarike different hai. because, adsense hame cost per click ke hisab se pay karta hai. jabki affiliate marketing se ham kisi company ke product ko sell karwakar income kar sakte hai.

Hostgator Aur Bluehost Affiliate Marketing Program Se Paise Kaise Kamaye

Hostgator india aur bluehost india, ye dono companies Hindustan ki best hosting provider hai. maximum bloggers wordpress.org platform par apni website create karne ke liye enhi do company se web hosting aur domain name ko purchase karna pasand karta hai.

So, agar ham apni site par en dono companies me se kisi ke bhi product ko promote kare, to hamari site par aane wale visitors enke product ko khareed sakte hai. hamare referral link ke through jab koei visitors en companies ke product ko purchase karega, to ye dono company hame kuchh commission provide karegi.

Hostgator India Aur Bluehost India Company Per Sale Ke Kitne Paise Deti Hai

Hostgator india ki company hame 1 month me 1-5 sale hone par 1250, 6-10 sale hone par 1650, 11-15 sale hone par 2250, 16-20 sale hone par 2500, aur 21+ sale hone par 3000 rupees per sale ke hisab se commission deti hai. Aur Bluehost india ki company hame 4000 rupees per sale ke hisab se commission deti hai.

Hostgator India Aur Bluehost India Ke Product Ko Promote Kyun Kare

India ke andar ye dono top hosting provider company hai. jinki services aur products ko lakho bloggers use kar rahe hai. en dono companies ki best service aur low price products ko purchase karna sabhi pasand karte hai. so, enke products ko ham apni site par promote karke achchha commission receive kar sakte hai. mai neeche kuchh reason bata raha hun, jiski wajha se hame apni site par hostgator aur bluehost ke product ko promote karna chahiye.

  • En dono companies ki service india me other hosting provider companies se kahin zyada better hai.
  • Enka customer support bahut achchha hai. koei bhi person customer care officer se hindi me bhi baat kar sakta hai.
  • Ye companies other hosting provider se zyada commission deti hai.
  • Site par product ko promote karne ke liye banner and link ad provider karti hai.

Agar aap bhi ek blogger hai. aur self hosted platform wordpress.org ya  free platform blogger.com par blog create karke blogging kar rahe hai. to aap ko adsens ke sath sath income karne ke liye affiliate marketing ke advertisements ko bhi use karna chahiye. Agar aap apni site par blogging se related information share karte hai, to hostgator ya bluehost affiliate marketing program ko join karke, en companies ke product ko apni site par promoe zaroor karna chahiye.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki hostgator india aur bluehost india affiliate marketing program ko join karke apni site par en companies ke products ko promote karke paise kaise kamaye jate hai.

1 thought on “Hostgator Bluehost Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye”

  1. Sir affiliate marketing ko lekar mere 2 questions please answer de
    mera first question hai- Agar main bluehost company ki affiliate marketing karti hu aur koi new member meri affiliate link se 209 wali hosting purchase karta hai
    aur firr wahi member 209 wali ek aur hosting purchase karta hai aur iss tarha wahi member merit affiliate link se one by one 7+ hosting purchase kar leta hai tto kya mujhe har 209 wali purchase par 4k ka commission milega?

    aur mera 2 question ye hai ki agar meri affiliate link se koi hosting purchase karega tto kya mera commission turantt mere affiliate account me show hoga ?

    Reply

Leave a Comment