Home » Blog » Blogging » Hostgator Company Se Hosting Aur Domain kaise Kharide

Hostgator Company Se Hosting Aur Domain kaise Kharide

Hostgator Company Se Web Hosting Aur Domain Name kaise Kharide – self hosted platform wordpress.org par blog banakar blogging karni ho to hame domain name aur web hosting ko purchase karne ki zaroorat hoti hai. Mai nahi samajhta ki india ke andar hostgator india company se best koei doosri company hai, jo etni best service de, jitni ke hostgator. Mai 2017 se hostgator india se domain name aur web hosting ko purchase karke eska use kar raha hun. Mujhe aaj tak bhi koei problem nahi aaei hai.

Hostgator india ka customer support bhi bahut achchha hai. koei bhi information ya help leni ho to minto me solve kar dete hai. sabse badi baat ham hindi language me bhi hostgator customer care me easily baat kar sakte hai. Mai sabhi new bloggers ko hostgator company se hi web hosting aur domain name lene ki advise dunga. Kyuki mai khud esko use kar raha hun. Aur aaj tak mujhe koei problem nahi aaei hai.

Halanki, bluehost aur godaddy bhi bahut achchhi hosting provider companies hai. but india me number 1 hostgator hi hai. es liye es post me mai aaj hostgator india ki company se web hosting aur domain name khareedne ke baare me bata raha hun.

New blogger jab pehli baar wordpress blog banana chahte hai, to ounke mind me kuchh  question ghoomte rehte hai. jaise ki hosting aur domain ko kahan se kahreede. Koun si hosting provider company sabse best hai. kis hosting provider company ka customer support sabse achchha hai.

es sabhi question ke answere main pehle hi oupar bata chuka hun ki india ke andar hostgator se best hosting provider company koei hahi hai. aur ab ham janenge ki hostgator india ki company se web hosting aur domain name ko kaise khareedte ( purchase karte ) hai.

WordPress Blog Banane Ke Liye Hostgator Company Se Web Hosting Aur Domain Name Ko Kaise Khareede

Hostgator india ki company se web hosting aur domain name ko khareedne ke liye hame sabse pehle hostinger india ki website par visit karna hoga. Ab home page par hame login ke button par click karna hoga.

Login ke button par click karte hi hostgator ka login page open hoga. Agar hamara pehle se hi hostgator account create huwa hai. to ham es page par email aur password ko ente karke sign in kar sakte hai. agar account bana huwa nahi hai. top phir hame ‘create an account’ ke option par click karke hostgator india ki website par new account create karna hoga.

hostgator se low price me web hosting kharidne ke liye yahan click kare.

Step 1. Create an account

Es page par hame ‘create an account’ ke option par click karna hoga. Create an account  ke option par click karte hi ‘create a new account’ ka page open hoga. Jisme hame kuchh details ko enter karna hoga.

Step 2. Create a new account

  1. Contact information me sabse pehle apna full name enter kare
  2. Address enter kare
  3. Country ko select kare
  4. State ko select kare
  5. City ko enter kare
  6. Pin code ko enter kare
  7. Phone number ko enter kare
  8. Mobile number ko enter kare
  9. User information me sabse pehle apne email address ko enter kare
  10. 8-15 alphanumeric characters me strong password ko enter kare
  11. Password ko reenter kare
  12. All details ko fill karke ‘register’ ke button par click karde

Register ke button par click  karte hi hamare address par hostgator company ki sales team ki taraf se ek email send ki jayegi.

Step 3. Thank you for registering with hostgator india

Ab hame apne email address me login karke inbox me jana hoga. Hame hosgator.in sales team ke name se ek email show hogi. Hame ouse open karna hai. es mail me hame ‘click on the following link to verify your email address’ ke neeche ek link show hoga.

Hame es link par click karke apne email address ko verify karna hai. link par click karte hi hame new page par ‘your emal address has been varified. Thank you.’ Ka ek message show hoga. Ab hamara account hostgator india company me successfully create ho gaya hai.

Account ko create karke ab hame hostgator india company ke home page par return hona hai.

Step 4. Linux shared hosting

  1. Home page par sabse pehle shared hosting ke button par click kare
  2. Ab linux shared hosting ke option par click kare

Linux shared hosting ke button par click karte hi new page par hame linex web hosting plan show honge.

Step 5. Linux web hosting plan

  1. Es page par ham ye dekh sakte hai ki hame kis plan me koun koun si facilities mil rahi hai.
  2. Hame jitne month ya year ke liye plan lena hai, wo ham yahan se select kar sakte hai.
  3. Plan ko purchase karene ke liye buy now ke button par click kar sakte hai.

Buy now ke button par click karte hi ek popup window open hogi. Jisme hamse ye poochha jayega ki hamare paas pehle se hi domain hai ya nahi hai.

Step 6. Do you already have a domain for your hosting plan

Agar aapne domain name ko pehle se purchase kiya huwa hai to yes par click kare. Agar domain bhi purchase karna hai, to no par click kare. No par click karte hi new domain purchase karne ka ke page open hoga.

Step 7. Register a new domain name

  1. Domain name ko enter kare
  2. Apni pasand ke extension ko select kare. Waise sabse best .com hota hai.
  3. Site lock ke box se mark ko remove kare
  4. Cote guard ke box se bhi click mark ko remove kare
  5. Ab continue ke button par click kar de

Continue ke button par click karte hi hame apna domain name show hoga.

Step 8. Domain name

  1. Agar domain name available hoga to hame apne domain name ke samne ‘is available’ likha huwa show hoga.
  2. Domain name ka price kya hai, wo show hoga.
  3. Ab hame add to cart ke button par click karna hoga. Click karte hi add to cart ki jagah remove ka option show hone lagega.
  4. Ab hame Checkout button ke neeche ‘1 item added to cart’ likha huwa show hoga. Jiske baad hame checkout button par click karna hoga.

Check out ke button par click karte hi order summary ka page open hoga.

Step 9. Your order summary

  1. Es page par hame sabse pehle domain name aur web hosting plan ke alawa show ho rahe other product ke price ko remove karna hai.
  2. Aru last me continue ke button par click karna hai.

Contune ke button par click kane ke baad hostgator india company ka login page open hoga.

Step 10. Login hostgator

  1. Es page par sabse pehle apna email address ente kare.
  2. Ab apne hostgator account ke password ko ente kare.
  3. Aur last me login ke button par click kare. Login ke button par click karte hi payments options ka ek page open hoga.

Step 11. Payment options

  1. Payments option ke page par hame jis methods se payment karna hai. wo select kare. Agar aap ke paas atm card available hai to ‘netbanking / debit cards / credit cards’ ke option ko select kare.
  2. I agree ke box me click kare.
  3. Ab pay now ke button par click kare.

Pay now ke button par click karne ke baad choose a payment method ka page open hoga.

Step 12. Choose a payment methods

  1. Apni pasand ke payment methods ko select kare. For example – debit card
  2. Card type ko selct kare.
  3. Card number ko enter kare.
  4. Card holder ke name ko type kare.
  5. Cvv number ko enter kare.
  6. Card ki expiry date ko select kare.
  7. Aur ab pay now ke button par click kare.

Pay now ke button par click karte hi next page par hame apne mobile number ko selce karna hoga. Jiske baad hamare mobile number par ek one time password (otp) aayega.

hostgator se low price me web hosting kharidne ke liye yahan click kare.

Ab hame otp box me mobile par receive huwe one time password ko enter karke submit ke button par click karna hoga. Click karte hi payment processing start hogi. Aur kuchh hi seconds ke baad hamare bank account se money deduct ho jayegi.

Money deduct hone ke 10 minute ke andar hi hamare email address par hostgator ki tarf se ek email send ki jayegi. Jisme hame batay jayega ki hamne hostgator india ki company se web hosting aur domain name ko successfully purchase kar liya hai.

Es email me hame 2 name server bhi show honge. Ab hame en 2 name serve ki help se hostgator company se purchase kiye gaye web hosting aur domain name ko point connect karna hai. wordpress.org platform par blog banane ke liye aisa karna bahut zaroori hai. wordpress.org platform par blog bnanae ka abhi hamara 1st step complete huwa hai. abhi 2 step abhi baaki hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jan gaye honge ki wordpress platform par professional blog banane ke liye hostgator india ki company se web hosting aur domain name ko kaise khareedte ( purchase karte ) hai.

2 thoughts on “Hostgator Company Se Hosting Aur Domain kaise Kharide”

  1. Namskar Sir,

    Mai apna blog doosre hosting server par transfer karna chahta hu. lekin ek problem hai isme muje koi bhi help karne wala nhi hai. Koi bhi major problem hone par kisi web developer ki sahayta lena uchit hai. ya fir koi or tareeka hai. please sir reply.

    Reply

Leave a Comment