Home » Blog » Blogging » Hostgator Company Ki Hosting Par WordPress Ko Install Kaise Kare

Hostgator Company Ki Hosting Par WordPress Ko Install Kaise Kare

Hostgator Company Ki Hosting Par WordPress Ko Install Kaise Kare – self hosted platform wordpress.org par blog create karne ke liye ye last step hai. esse pichhli 2 post me ham jaan hi chuke hai ki wordpress blog website banane ke liye hostgator se web hosting aur domain name ko purchase kaise karte hai. aur hostgator hosting par domain ko point connect kaise karte hai.

Ab es post me ham janege ki wordpress.org platform par blog banane ke liye hostgator hosting me login karke cpanel par wordpress ko install kaise karte hai. WordPress blog banane ke liye ye hamara last process hoga. Es ko hame bade hi carefully complete karna hai. to chaliye jante hai ki hostgator hosting par cpanel me login karke wordpres ko install kaise karte hai.

Hostgator Hosting Par WordPress Ko Cpanel Par Install Kaise Kare

Hostgator hosting par wordpress ko install karke wordpress.org platform par blog website create karne ke liye ab hame sabse pehle apni ous email ko open karna hoga. Jo email hame hostgator india company ki taraf se tab receive hoei thi, jab hamne hosting aur domain ko purchase kiya thah.

Email ko open karne ke baad hame ous email me ek cpanel ka link diya gaya hoga. Aur cpanel me login karne ke liye username aur password bhi diya gaya hoa.

Mana agar mere blog ka name abcbig.com hai to mere cpanel ka link abcbig.com/cpanel hoga. Esi tarah se aap ne jis domain name ko hostgator se purchase kiya hai. ouke sath /cpanel ko add karke browser me apne cpanel me login kar sakte hai.

Cpanel link par click karke apne cpanel ke login page par visit karne ke baad hame esme login detail ko fill karna hoga. Username aur password hame hostgator company se send ki gaei email me mil jayege.

hostgator se low price me web hosting kharidne ke liye yahan click kare.

Step 1. Cpanel

  1. Username ko enter kare
  2. Cpanel ke password ko enter kare
  3. Username aur password enter karne ke baad ab login ke button par click kare.

Login ke button par click karte hi ham apne cpanel account me login ho jayenge. Cpanel account login hote hi hame top par ‘softaculous app installer’ ka button show hoga. Jis par hame click karna hoga. Softaculous app installer ke button par click karte hi hame bahut sari apps show hone lagegi.

Step 2. Scripts > WordPress

Ab hame scripts section ke andar wordpress ka icon show hoga. Hame es wordpress ke icon par click karna hai. click karte hi next page par hame wordpress icon ke neeche install ka button show hoga.

Step 3. Install wordpress

Es page par hame install ke button par click karna hai. install ke button par click karte hi ek form open hoga.

Step 4. Software setup and site settings

  1. Choose protocol me https:// ko select kare.
  2. Choose domain me apne domain name ko select kare.
  3. In directory ke box se wp ko remove karke box ko blank karde.
  4. Site name ke box me apne blog website ke name ko enter kare.
  5. Site description ke box me apne blog website ke bare me kuchh words likhe.

Step 5. Admin account and choose language

  1. Admin username ke box me koei bhi username add kare.
  2. Admin password me ek strong password ko type kare.
  3. Admin email me apni email id ko enter kare.
  4. Select language me english ko select kare.
  5. Ab advanced option par click kare.

Step 6. Advanced options

  1. Auto upgrade par click kare.
  2. Backup location me default ko select kare.
  3. Automated backups me once a day ko select kare.
  4. Backup rotation me 1 ko select kare.
  5. Email installation details to ke box me apne email address ko enter kare.
  6. All details ko fill karne ke baad install ke button par click kar de.

Install ke button par click karne ke baad wordpress ka installation process start ho jayega. kuchh hi seconds me ye process complete ho jayega. aur hamara wordpress blog hostgator hosting par successfully install ho jayega.

Ab ham apne wordpress blog ke dashboard me login kar sakte hai. login karne ke liye apne domain name ke aage /wp- admin ko add karde. For example mera blog abcbig.com hai to mere wordpress blog ka url abcbig.com/wp-admin hoga.

WordPress blog url par click karte hi new page par wordpress ka login page open ho jayega. jisme hame wo username aur password ko enter karna hoga. Jo hamne wordpress installation ke time form me enter kiya thah.

Step 7. WordPress login page

  1. Apne username ko enter kare.
  2. Ab password ko enter kare
  3. Dono cheeze ko enter karke login button par click karde.

Login ke button par click karte hi ham apne wordpress blog ke dashboard par pahunch jayenge. Jahan se ham posts ko publish karke blogging karna start kar sakte hai.

Es post me maine hostgator hosting ke cpanel par wordpress ko install karna bataya hai. agar es process ko karne me aapko zara bhi problem aaye to bina kuchh soche hostgator customer care ke toll free number 18002098833 par call kare.

Hostgator india company ka customer support bahut achchha hai. we kuchh hi seconds me aapko problem ko solve kar sakte hai. agar aap se english nahi bhi aati to don’t worry darne ki koei baat nahi hai.

Kyuki hostgator customer officers se ham hindi me bhi easily baat kar sakte hai. yaad rakhe hostgator india ki company india ki top web hosting provider companies me se ek hai. es company ke hosting plan others company se mehnge zaroor hai. lekin es company ka cusotmer support bahut hi achchha hai.

So agar aap ek new blogger hai. aur wordpress.org platform  par new blog create karna chahte hai. to web hosting aur domain name ko hostgator india ki company se hi purchase kare.

Kyuki new bloggers ko starting me blog banane me kuchh problems aa sakti hai. esliye ounhe help ki zaroorat pad sakti hai. aise logo ke liye hostgator sabse best hai. kyuki hostgator customer care officers minto me hi hamari problems ko solve kar dete hai.

I hope es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki hostgator hosting par wordpress ko install kaise karte hai. aur cpanel par wordpress ko install kaise karte hai.

2 thoughts on “Hostgator Company Ki Hosting Par WordPress Ko Install Kaise Kare”

  1. aapne kaafi vistaar se bataya hai…. new blogger jo wordpress par apna new blog install karna chahte hai unko iss post se kaafi sikhne ko milega…. aur wo apna blog iss post ko follow kar ke install kar payenge………

    Reply

Leave a Comment