Home » Blog » Blogging » Apni Web Hosting Ke Name Servers Ka Pata Kaise Kare

Apni Web Hosting Ke Name Servers Ka Pata Kaise Kare

Apni Web Hosting Ke Name Servers Ka Pata Kaise Kare – apne blog website ko kisi bhi company ki web hosting me host karne ke liye hame ouske name servers ko apne domain se link karne ki zaroorat hoti hai. ouske baad hi ham apni site ko live kar pate hai.

Agar hamne kisi 1 hi company se hosting aur domain buy kiya huwa hai, to hame apne domain name ke name servers ko update karne ki zaroorat nahi hoti. Kyuki we automatically update ho jate hai.

Lekin agar hamne domain aur hosting ko alag alag company se purchase kiya hai, tab hame hosting ke name server ko domain ki dns setting me jakar update karna padta hai.

Maximum bloggers godaddy se domain lena pasand karte hai. aur web hosting ko hostgator ya bluehost se lena pasand karte hai. aisi situation me hamare domain aur hosting different company ke ho jate hai. maan lete hai ki hamara domain aur hosting bhi esi tarah se alag alag company ke hai.

To, Ab hame apne blog website ko create karne ke liye sabse pehle hostgator ya bluehost company ki hosting ke name servers ko copy karke, godaddy domain ki dns setting me jakar update karna hoga.

Lekin new bloggers ko name servers ke bare me zyada knowledge nahi hoti. Ounhe nahi pata hota ki name server kya hate hai. aur apni web hosting ke name servers ka pata kaise karte hai.

Agar aap bhi apni hosting ke name servers ke bare me nahi jante to don’t worry, es post ko padhne ke baad aap easily pata kar sakte hai ki aap ki hosting ke name server kya hai. name servers ka pata karne ke baad aap ounhe ‘apne domain ke name server ko update kaise kare’ post padh kar, apne domain ki dns setting me jakar add bhi kar sakte hai.

Apni Web Hosting Ke Name Servers Ka Pata Kaise Kare

Kisi bhi hosting provider company (hostgator, bluehost, bigrock, godaddy, etc..) se purchase ki hoei apni hosting ke name servers ke bare me janne ke liye 2 sabse best methods hai, jinhe main neeche bata raha hun.

Method 1. Email Se Name Servers Kaise Pata Kare

Jab hame kisi hosting provider company se web hosting ko buy karte hai. to transaction successful hone ke baad hamare registered email address par ek email receive hoti hai. jisme web hosting ki all information jaise cpanel login address, cpanel login username, cpanel login password, name server details, etc.. hoti hai.

Hosting provider company se send ki gaei email ko open karke, ham ousme apni hosting ke name servers ko dekh sakte hai. name servers ko pata karne ka ye sabse simple way hai.

Method 2. Hosting Account Se Name Servers Kaise Check Kare

Hamne jis company se hosting ko purchase kiya hai. ousse bhi apni hosting ke name servers ke bare me pata kiya ja sakta hai. eske liye sabse pehle aap apne hosting account me login kare. Aur, manage order ke option par click karke hosting product par click kare.

Click karte hi ek new page open hoga. Jis par manage web hosting, name server details, admin details, dedicated ips, change domain, delete product, etc.. option show honge. En options me se aap ‘name server’ ke option par click karke name servers ka pata laga sakte hai. aur ounhe easily copy karke apne domain ki dns setting me jakar update kar sakte hai.

Method 2 me maine hostgator india ki web hosting ke name servers ka pata karne ka steps likha hai. other compay se purchase ki gaei web hosting ke name servers ko account me login karke pata karne ka tarika thaoda change ho sakta hai. lekin method 1, sabhi company ka ek jaisa hi hota hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki apni web hosting ki name servers ka pata kaise karte hai. aur name server ki detail ko check kaise karte hai.

Leave a Comment