Home » Blog » Blogging » Web Hosting Ke Name Servers Ko Domain Par Add kaise Kare

Web Hosting Ke Name Servers Ko Domain Par Add kaise Kare

Web Hosting Ke Name Servers Ko Domain Par Add kaise Kare – agar aapne kisi self hosted platform jaise wordpress, jumla, etc.. par apna blog or website banane ke liye domain name aur web hosting ko purchase kiya hai. To aapka sabse pehla kaam web hosting ke name servers ko domain par add karna hota hai.

Jab tak ham apne domain name ke name servers ko update nahi karenge, tab tak hamari site live nahi hogi. Esliye ham jis hosting me apni site ko host karna chahte hai. Hame sabse pehle ous hosting ke name servers ko domain name ki dns setting me jakar update kar dena chahiye.

Agar aap apne kisi old domain ke liye hosting buy kar rahe ho, ya domain aur hosting ko ek sath kisi ek hi company se purchase kar rahe ho. To aisi situation me aapko apne domain name ke name servers ko update karne ki zaroorat nahi  padti.

Kyuki jis company se aap hosting aur domain ek sath purchase kar rahe ho. Ya ousi company se pehle se purchase kiye domain par hosting khareed rahe ho, to domain name ke dns ( domain name server) automatically update ho jate hai.

Lekin  agar aapne alag alag company se domain name aur web hosting ko purchase kiya hai. Ya aap kisi other domain ko hosting ke cpanel me addon domain kar rahe ho. To , aisi situations me hame web hosting ke name servers ko domain par add karne padte hai. Tabhi hamara domain, hosting se link ho pata hai.

Domain Name ke Name Servers Ko Kaise Update Kare

Domain name ke name servers ko update karna bahut hi easy hai. Ham jis hosting par apne domain ko point karna chahte hai. Ya jis hosting me apni site ko host karna chahte hai. Sabse pehle hame ous web hosting ke name servers ka pata hona chahiye. Tabhi ham apne domain ke name server ko update karke apni site ko host kar sakte hai.

Step 1.Web Hosting Ke Name Servers Ka Pata Kare

Ham jab kisi company se web hosting buy karte hai, to wo company hamare registered email address par ek mail send karti hai. Jisme hosting se related all information (cpanel login address, username, password, name servers, etc..) hoti hai. Ous email ko open kare. Jisme hame name server likhe huwe show honge. Hame email me show kar rahe enhi name servers ko alag alag copy karke domain ke name server box me paste karna hai.

Step 2. Domain Name Registrar Company Me Login Kare

Browser ki new tab me ous site ko open kare, jahan se aapne domain name ko purchase kiya hai. Aur Login Ke button par click karke apne account me login kare.

Note – es post me mai aapko hostgator domain ke name servers ko update kaise karte hai ke bare me bata raha hun. Agar aapke paas kisi other company ka domain hai, to ouska process thoda change ho sakta hai.

Step 3. Domain Name Ko Select Kare

  1. Agar aapke paas bhi hostgator company ka domain hai, to ‘manage order’ ke option par apne mouse ke cursor ko le jakar, ‘list/search’ ke option par click kare. Ab aapko apne sabhi domain show honge.
  2. Jis domain ke name server ko update karna chahte hai, ous par click kare.

Step 4. Name Server Ke Option Par Click Kare

Domain url par lick karte hi ek new page open hoga. Jis par hame contact details, privacy protection, name servers, child name servers, domain secret, theft protection, etc.. option show honge. En option me se only ‘name servers’ ke option par click kare. Click karte hi ek popup window open hogi.

Step 5. Name Servers Ko Update Kare

  1. Ab, apne email me diye pehle name server ko copy karke, ‘name server 1’ ke box me paste kare.
  2. Email me show ho rahe dusre name server ko copy karke, ‘name server 2’ ke box me paste kare.
  3. ‘update name servers’ ke button par click kare.

Update name servers ke button par click karte hi, hamare domain ke name servers change ho jayenge. Jinhe poori tarah se update hone me 1 se 24 ghante tak lag sakte hai.

Es tarah se aap kisi bhi hostgator domain ke name servers ko update kar sakte hai. agar aapne kisi other company ( bluehost, bigrock, godaddy, etc..) se domain name liya hai, to ouske bhi name server update karne ka yahi tarika hota hai. lekin, process thodi change ho sakti hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki web hosting ke name servers ko domain par add kaise karte hai. aur hostgator domain ke name servers ko update kaise karte hai.

1 thought on “Web Hosting Ke Name Servers Ko Domain Par Add kaise Kare”

Leave a Comment