Home » Blog » Technology » Laptop Pc Computer Ke Liye Top Best Free Antivirus Koun Se Hai

Laptop Pc Computer Ke Liye Top Best Free Antivirus Koun Se Hai

Laptop Pc Computer Ke Liye Top Best Free Antivirus Koun Se Hai : aajkal ki badhti hacking aur virus problem se sabhi computer users pareshan hai. zara si galti se hi hamare computer ki sari information leak ho sakti hai. aur virus aane ki vajha se hamare system me hardware aur softaware nuksan ho sakta hai.

Esliye, apne laptop pc or computer ko hacking aur virus aadi se bachane ke liye hame apne system me ek best quality ka antivirus install karke use karna bahut zaroori hota hai. antivirus hamare computer ko poori tarah se protect karta hai. aur hacking, malware, or virus jaisi problem se hamre system ko safe rakhta hai.

Ek best  quality ke antivirus ko purchase karne ke liye hame lagbhag 700-1000 rupees kharch karne padte hai. etne paiso me ham ek top quality ke antivirus ko purchase karke apne system me install kar sakte hai. aur system ki all files, software and personal information ko secure kar sakte hai.

But, kuchh log aise hote hai. jo antivirus ke liye etne paise kharch nahi karna chahte. We ya to antivirus use hi nahi karte. Ya internet par ‘laptop pc or computer ke liye best free antivirus koun koun se hai’ jaise kaei articles ko read karke koei bhi free antivirus ko download karke apne system me install karke use karte hai.

Jisse hota ye hai ki free antivirus use karne ke baad bhi ounhe hacking aur virus jaisi problem ko face karna pad jata hai. kyuki internet par available sabhi free antivirus trusted nahi hote. Kuchh fake hote hai, to kuchh properly work nahi karte.

But, internet par available sare hi free antivirus fake nahi hote hai. kuchh trusted aur properly work karne wale bhi hote hai. es post me mai enhi ke bare me bataounga ki laptop pc or computer ke liye best, free, trusted, better aur properly work karne wale antivirus koun koun se hai.

Kuchh free antivirus aise bhi hote hai, jo 2-4 months ke liye ya 1 year ke liye hi free milte hai. phir trial period complete hone ke baad we work karna band kar dete hai. aur hame antivirus ko buy karne ke liye baar baar computer screen par notification receive hoti rehti hai. jisse hame kafi problem ho sakti hai.

Ab, aapko aise free antivirus ko download karke apne pc me install karne ki zaroorat nahi hai, jo sirf kuchh dino ke liye hi free service provide karte ho. Ab aap better performance dene wale hamesha ke liye hi free antivirus ko download karke apne computer or laptop me install kar sakte hai.

Es post me mai kuch free antivirus ke bare me bata raha hun. Jinko use karne ke baad aapki personal information aur privacy secure rahegi. Aur aapka system virus, malware, aur hacking jaise attack se safe rahega.

Kyuki ye antivirus hamare laptop, pc or computer me receive hone wale malware, virus, temporary files, junk files, aur error files ko remove kar dete hai. enke through ham apne complete system ko scan bhi kar sakte hai. jiske baad ye antivirus hamare pc se har ek nuksan dene wali files aur folder ko remove kar dete hai. aur phir hamara system clean or fresh ho jata hai.

Agar aap ka system bahut zyada slow work ya baar baar hang hota hai to aap ‘laptop pc or computer ko hang hone se kaise bachaye’ aur ‘laptop computer se temporary files ko manually delete kaise kare’ post ko read karke slow working or hanging problem se bach sakte hai.

Laptop Pc or Computer Ke Liye Best Free Antivirus Koun Koun Se Hai

Aaj ke digital zamane me har educated person apne paas computer rakhna pasand karta hai. computer ko use karte time hame ouski security ka bhi khayal rkhna padta hai. warna hamare system ko kharab hone ya ousme available all files, photos, videos, songs, games, documents, software aur window etc.. ko corrupt hone me time nahi lagta.

Apne laptop or computer ko hanging, slow working, virus, malware, window cracking aur hacking jaisi big problems se bachane ke liye system me best quality ke antivirus ko install karke use karna hamare liye bahut zaroori hota hai.

But, ham sabhi free antivirus par trust nahi kar sakte. Paid antivirus to apna work properly karte hai. lekin kuch free antivirus fake hote hai. jinse hamare problems kam hone ki jagah badh jati hai. Esliye es post mai aapko trusted, properly work karne wale best free antivirus ke bare me bata raha hun.

Avira Antivirus

Avira antivirus mera favorite aur sabse better protection service provide karne wala software hai. mai paid antivirus protection software ko use karne se pehle avira ko hi use karta thah. Jab tak ye antivirus mere commuter me ye antivirus install thah. Tab tak mujhe kabhi bhi virus, malware, hanging aur slow working jaisi problems ka samna nahi karna pada.

Avira software hame protect your privacy, secure your browsing and surfing, speed up your pc, jaise features provide karta hai. esske through ham ek click me apne coplete system ko scan kar sakte hai. ye browser extension ko install karne ki facility bhi probide karta hai.

Avg Antivirus

Avg antivirus ke free aur paid dono version available hai. agar aap paid version ko purchase karoge, to aapko bahu sare features milenge. But agar aap free version ko apne computer or laptop me install karke use karoge to aapko block virus and malware, analyzer fix, error fix, jung and fragment files registry, aur recovery ke features milenge. Agar ham apne computer par normal work karte hai. to etne sare features hamare liye kafi hai, aur ye hame avg antivirus me free me hi mil jayenge.

Avast Antivirus

Avast antivirus bhi ek most popular antivirus hai, aur eske bhi free aur paid version available hai. ye user friendly interface hai. es ke through ham apne laptop aur computer ko easily scan karke virus aadi ko remove kar sakte hai. aur apne system ko clean aur clear kar sakte hai. eski performance bahut achchhi hai.

Bitdefender Antivirus

Bitdefender antivirus me we sabhi features available hai, jo computer ko personally use karne wale users ki all problems ko solve kar sake. Es antivirus ke free aur paid version available hai. agar aap apne computer ko personally use karte hai, to bidefender antivirus ko zaroor use kare.

Kaspersky Antivirus

Kaspersky antivirus hamare laptop aur computer ko sabhi tarah ki real time security provide karta hai. ye ek best internet security provider software hai. sabse achchhi baat ye hai ki ye bahut hi fast work karta hai. esliye aap es antivirus ko apne system me install karke use kar sakte hai. ye free aur paid, dono version me available hai.

Quick Heal Antivirus – quickheal.co.in

Quick heal antivirus bahut hi fast aur smart work karta hai. eska paid version bahut zyada use kiya jata hai. kyuki ye kafi low price me milta hai. aur other antivirus se better performance deta hai. eske through ham apne laptop pc or computer ko completely protect kar sakte hai. eska free version bhi available hai. jisme hame bahut sare features provide kiye jate hai.

Norton Security

Norton security antivirus ke paid version ko bhi bahut sare computer users apne system me install karke use karte hai. quick heal ki tarah ye bhi baut fast aur smart work karta hai. es antivirus ke free aur paid, dono version available hai.

Ye theh, my favorite top best free antivirus. Jinko laptop pc aur computer me install karke ham apne personal data, information, privacy ko secure kar sakte hai. aur apne system ko virus, malware, hacking, slow working, aur hanging etc.. problem se bacha sakte hai.

Kuchh users aise hote hai ki we new computer buy karte hi ous par internet access karna start kar dete hai, aur pen drive ko bhi connect kar dete hai. agar aise system me koei antivirus protection software install huwa nahi hota. To new laptop aur computer me bhi virus aane se wo kharab ho sakta hai. ya system ki processing speed slow ho sakti hai.

Antivirus Use Karne Ke Fayde Kya Kya Hai

Computer or laptop slow work nahi karta, balki properly fast work karta hai. aur baar baar hang hone ki problem nahi hoti. kyuki kuchh temporary error junk files aur virus hone ki wajha se hamara system hang hone lagta hai. aur hame apna online ya offline work karne me problem hone lagti hai. antivirus hamare system ko scan karke sabhi temporary, error, aur junk files ko remove kar deta hai. aur virus aane se bhi rokta hai.

Jiske baad ham kaei kaei ghanto tak apne system par work kar sakte hai. computer or laptop ko sabse zyada nuksan internet chalane se hota hai. kyuki apne system par internet access karne se hi ousme virus aur temporary files receive hoti hai. but, agar hamare pc me koei best quality ka antivirus available hai, to phir wo virus aur temporary files ko hamare laptop ya computer me aane se pehle hi block kar deta hai.

Antivirus Use Nahi Karne Ke Nuksan Kya Kya Hai

Many computer users nahi jante ki ounhe antivirus use na karne se kya kya nuksan ho sakte hai. esliye we ese use nahi karte. But, jab baad me ounhe koei problem ko face karna padta hai, tab ounhe antivirus ko use karne ke benefits kya kya hai ke bare me pata chalta hai.

Agar aap ek internet aur computer user hai, to mai aapko ek best or high quality ke antivirus ka paid version purchase karke hi use karne ki advise dunga. But, agar aap kisi antivirus ka paid version buy karke use nahi karna chahte, to es post me bataye gaye top free antivirus ko apne laptop or computer me install karke use kar sakte hai.

Antivirus ke benefits ko ignore na kare. Eske bahut benefits hote hai. aap andaza bhi nahi laga sakte ki antivirus ko use nahi karne ki wajha se hame kitna loss ho sakta hai. kuchh ko mai neeche bata rah hun.

  • Internet use karne par virus aur temporary files receive ho sakti hai.
  • System slow work karne or hang ho sakta hai.
  • Hackers hamare computer se personal information aur data ko hack kar sakte hai.
  • Aap window 7, 8, or 10 koei bhi use karo. But, Window crack hone ke chance badh jate hai.
  • Software open karne par we work karna band kar sakte hai.
  • Kisi other pen drive ko apne laptop, pc, aur computer se connect karne par ouska virus hamare system me aa sakta hai.
  • Aur virus ki vajha se koei software ya hardware problem aa sakti hai. aur hard disk me save kiya huwa all important data bhi permanently delete ho sakta hai.

Ye theh antivirus ke fayde aur nuksan. Ab aap ko pata chal hi gaya hoga ki ye hamare liye kitna zaroori hota hai. aur esse ham apne computer ko safe kaise rakh sakte hai.

Agar aapne ek new laptop or computer ko purchase kiya hai, to ousme antivirus protection software install kiye bina kabhi bhi internet use na kare, aur na hi kisi pen drive ko connect kare.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki laptop pc or computer ke liye top best free antivirus koun koun se hote hai. antivirus ko use karne ke fayde aur use na karne ke nuksan kya hote hai.

1 thought on “Laptop Pc Computer Ke Liye Top Best Free Antivirus Koun Se Hai”

Leave a Comment