Home » Blog » Make Money Online » Mobile Browser Me Surfing Karke Internet Se Paise Kaise Kamaye

Mobile Browser Me Surfing Karke Internet Se Paise Kaise Kamaye

Mobile Browser Me Surfing Karke Internet Se Paise Kaise Kamaye – aaj jab android mobile ka craze hai, to ham sabhi apne apne android mobile ke browsers me surfing karke internet ka maza lete hai. Internet access karne ke liye google play store par bahut sare browsers available hai. jinme google chrome, uc, opera, aur firefox etc.. browser bahut popular hai. jinko ham sabhi use karte hai. but, kya aap jante hai, ki android mobile ke browser me surfing karke ham paise bhi kama sakte hai.

Kuchh logo ko ye baat sunne me ajeeb lagegi. But, ye 100% sach hai. mai khud android mobile ke browser me surfing karke hazaro rupees kama chuka hun. Ham har ek browser se paise nahi kama sakte. eske liye filhar google play store par 1 hi browser available hai.

Jiske bare me mai es post me detail se bataounga. Esliye es post ko carefully read kare. Because, aage ham janege ki.. mobile browser se paise kaise kamaye? Mobile browser se free recharge kaise kare? Online internet se paise kaise kamaye? Internet surf aur video download karke online income kaise kare?

Android Mobile Ke Browser Me Surfing Karke Online Paise Kaise Kamaye

Google play store par internet use karne ke liye bahut sare browsers available hai. enme se ek browser aisa bhi hai, jis par internet access karne se ham paise kama sakte hai. aur oun paiso se ham apna mobile recharge kar sakte hai.

Es browser ka name ‘Mcent Browser’ hai. jisko ham only android mobile me hi use kar sakte hai. filhal, computer users ke liye ye browser available nahi hai. android users es browser ko easily use kar sakte hai.

Ham jaise jaise es browser me internet access karte rahenge. Waise waise hi hamare account me kuchh points add hote rahenge. Yaad rakhe, es browser ko use karne se pehle hame es par apna ek account banana padta hai, jiska process bahut hi easy hai. mcent browser par apna account kaise banaye, eske baare me maine aage full detail se bataya hai.

Mcent browser ke account me 1000 point hone par hame 1 rupees milta hai. ham mcent browser me internet chalakar ek din me hi hazaro points collect kar sakte hai. jiski koei limit nahi hai.

Eske alawa es browser ko daily use karne par kuchh points milte hai. aur jitne din tak use karte rahege, ya jitne zyada points collect karenge. Ouske bhi extra points milte hai. kuchh din use karne ke baad hi maine es browser se lakho points collect kar liye hai. chaliye ab jante hai ki.. mcent browser par account kaise banaye? Aur mcent browser ko kaise user kare?

Mcent Browser Se Paise Kaise Kamaye

Waise to internet par ek se badh kar ek free browser available hai, but, we hame ek rupees bhi provide nahi karte. Jab se google play store par mcent brwser aaya hai, tab se ye android mobile users ki pehli pasand bana huwa hai.

Kyuki es browser ki loading speed bhi bahut fast hai, aur esse ham free mobile recharge bhi pa sakte hai. aur sabse achchhi baat to ye hai ki es par free mobile recharge ke liye points collect karne ki koei limit bhi nahi hai.

Ham jitni der tak es browser ko use karte rahenge, hame unlimited points milte rahenge. But, eske liye sabse pehle hame mcent browser ko google play store se download karna hoga. Aur ouske baad apna account banana hoga.

Agar aap chahte hai ki aap ko account signup karne ke baad kuchh bonus points mile to yahan click click karke mcent browser ko download kare. Warna aapko bonuns points nahi milenge.

Apne android mobile me mcent browser ko download karke install karne ke baad ese open kare. Aur apna free account banaye. Account banane ke liye neeche bataye steps ko follow kare.

Download Mcent Browser

Step 1. Creat account

Mcent Browser ko opne karne ke baad es par account banane ke liye hamare paas 2 option hote hai. pehla option facebook se connect karke. Aur doosra option apna mobile number verify karke.

Es post me main mobile number ko verify karke mcent browser par account kaise banaye ke bare me bata raha hun. Jiske liye hame ‘create my account’ ke option par click karna hoga.

Step 2. Enter your mobile number

  1. Language me english ko select kare.
  2. Apna 10 digig ka mobile number enter kare.
  3. Next ke button par click kare. Next ke button par click karte hi hamare mobile number par ek message receive hoga. jisme 4 digit ka one time password show hoga.

Step 3. Enter your one time password

  1. 4 digit ke one time password ko enter kare.
  2. Ab confirm ke button par click kare. Click karte hi ek new page open hoga. Jisme hame apne mobile operator aur circle ko select karna hoga.

Step 4. Select operator and circle

  1. Select operator ke optio ko click karke apne mobile number ki company name ko select kare. Jaise ki mera mobile number vodafone company ka hai, to mai vodafone ko select kar raha hun.
  2. Select circle ke option par click karke aap ous state ko select kare, jahan se aapne apna sim card ko kharida thah. For example maine uttar pradesh se apna mobile number ko purchase kiya thah. Main yahan uttar pradesh ko select kar raha hun.
  3. Ab, finish ke button par click kare. Finish ke button par click karte hi mcent browser me hamara account ban jayega.

Step 5. Welcome points

Account create hote hi hame kuchh welcome points milenge. Jinhe ham ‘welcome! Tap to collect points’ ke button par click karke apne points account me add kar sakte hai.

Step 6. Add to accounts

Ab ham other browsers ki tarah mcent browser me bhi internet access kar sakte hai. aur google, facebook twitter, google plus, gmail, yahoomail, etc.. all sites ko surf kar sakte hai. har ek page ko open karne par hame points receive hote rahenge.

  1. Recive hone wale points hame points collected ke oupar show honge.
  2. Jab hamare points 1000 ho jaye, to ham ‘add to account’ ke button par click karke all points ko apne account me add kar sakte hai.

Step 7. View my accounts

  1. Add to account ke button par click karne ke baad ek popup window open hogi. Jisme hame all points ko add karne par jitne rupees mile hai, wo show honge.
  2. View my account ke option par click karke ham apne account me available total rupees ko dekh sakte hai.

Step 8. Passbook

Passbook ke option par click karke ham all transaction ko dekh sakte hai. hame kis din kitne rupees receive huwe, hamne kis din kitne rupees ka recharge kiya. Passbook me sab history available rehti hai.

Step 9. Recharge

Recharge ke option par click karke ham mcent browser me add kiye apne mobile number par recharge kar sakte hai. but, eske liye hamare mcent browser ke account me minimum 10 rupees available hone chahiye.

Step 10. Sims

Ham ek device par only ek hi mcent account bana sakte hai. but, agar aapne galti se kisi other number par apna account bana liya hai, ya operator or circle ko select karne me koei galti ho gaei hai. to aap sims ke option me jakar pencil ke mark par click karke koei bhi change kar sakte hai.

Download Mcent Browser

Mcent Browser Ke Fayde Kya Kya Hai

  • Mcent browser se ham paise kama sakte hai. aur oun rupees se ham apna mobile recharge kar sakte hai.
  • Ye browser mcent company ne launch kiya hai. jo ki ek trusted company hai, esliye koei bhi fraud hone ka dar nahi hai.
  • Es browser ki surfing aur downloading speed other popular browsers ki speed ke equal hai.
  • Esme ham other browser ki tarah kuchh bhi type karke search kar sakte hai.
  • Es ko use karne par hame daily weekly monthly extra points milte hai.
  • Es browser ko regular use karne par zyada points collect karne ke baad bhi extra points milte hai.
  • Apne referral links se kisi other internet user ko mcent browser se jodne par dono ko 9000 points milte hai.
  • Points collect karne ki koei limit nahi hai. ham jitna zyada internet access karte jayenge. Outna hi balance hamare account me add hota jayega.

Ye theh mcent browser ke kuchh main benefits. Esko use karke ham daily unlimited point collect kar sakte hai. aur oun points se ham apne mobile ko recharge kar sakte hai.

Jo log internet par search karte rehte hai ki free mobile recharge kaise kare? Free mobile recharge ki top apps koun si hai? ya free mobile recharge kaise paye? Aise logo ke liye mcent browser sabse best hai.

Waise to internet par hazaro aisi apps hai, jo free mobile recharge ki facilities provide karti hai. but, ounse free recharge pane ke liye hame bahut hard work aur apna important time west karna padta hai.

Pehle mcent company ne bhi apni ek recharge apps provide ki hoei thhi. Jis par account banakar hame kuchh other apps ko download karna padta thah, aur phir oun applications par new account banakar ounhe kuchh time tak use karna padta thah. Jisme hamara bahut zyada data, aut time west hota thah.

But, ab mcent company ne recharge apps ko close karke, recharge browser ko launch kiya hai. jisse free mobile recharge pana bahut hi easy hai. jo internet users kaei kaei hours tak facebook, twitter, etc.. social networking sites ko use karte hai. ounke liye to ye sabse best hai. we log es browser se daily hazaro points earn kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki mcent browser se paise kaise kamate hai. mcent browser par new account kaise banate hai. aur mcent browser ko use kaise karte hai.

7 thoughts on “Mobile Browser Me Surfing Karke Internet Se Paise Kaise Kamaye”

  1. Bade din baad sir apne post likha may toh wait kar raha tha.. Kyunki mujhe apka blog blog bahut pasand hai aur roj regularly visit karta hoon………………

    Reply

Leave a Comment