Home » Blog » Internet » Internet Se Mobile Par Unlimited Online Free Call Kaise Kare

Internet Se Mobile Par Unlimited Online Free Call Kaise Kare

Internet Se Mobile Par Unlimited Online Free Call Kaise Kare – android mobile hamari life ka ek important ban chuka hai. 24 ghante me hame na jane kitni baar apne mobile ki zaroorat padti hai. ham apne mobile par internet access karne ke alawa call kar sakte hai, message kar sakte hai, video dekh sakte hai, songs sun sakte hai, aur video game aadi khel sakte hai.

Lekin kya aap  jante hai ki aap apne android mobile phone or smart phone se all world me unlimited free call bhi kar sakte hai. yes, aisa ho sakta hai. eske liye hame apne android mobile me google play store se aps ko download karke install karna padta hai. Phir ham oun apps par apne mobile number ke through easily account bana sakte hai. account create karte hi ham contact list me se kisi friend aur family member ko unlimited free call kar sakte hai. bas, hamare mobile me internet on hona chahiye.

All world me internet se free call karna to bahut easy hai, but eske liye aapke paas fast internet speed ka hona bhi zaroori hai. kyuki slow internet speed par voice clear nahi aati. Esliye better internet connection hona bhi zaroori hai.

Waise to free calling ki facilities provide karwane wali bahut sari apps aur web sites internet par available hai. but, sabhi apps aur websites unlimited free calling ki facility nahi deti. Balki, kuchh calling minutes free dene ke baad hame other calling minutes ke plan ko purchase karna padta hai. Esliye users aisi apps ko use karne ke baad unlimited free calling provide karne wali apps ko bhi use nahi karte.

Eske alawa free calling ki facility dene wali all apps ki service bhi better nahi hoti. Only kuchh hi apps aisi hai, jinke through ham clear voice me free calling kar sakte hai. es post me ham ounhe ke bare me baat karenge, aur janenge ki mobile aur interne se unlimited free call kaise karte hai. unlimited free call provide karne wali apps koun si hai.

Mobile Internet Se Free Call Karne Ke Liye Kya Kya Chahiye

  1. Android mobile
  2. Google Play store app
  3. Play Store me sign in karne ke liye gmail id and password
  4. Calling & Chatting app – play store se download kare
  5. Internet connection

Mobile Internet Se Free Call Kaise Kare

Internet ek bahut bada network hai. agar hame all world me kahin bhi koei information pani ho, to ham internet ke through 1 minute me hi paa sakte hai. knowledge ke alawa internet se ham aur bhi bahut sari chheze paa sakte hai. enhi me se ek hai, unlimited free calling apps.

Internet par bahut sari free calling apps available hai. jinke through ham bina koei recharge kiye apne friends aur family members ke mobile phone par call kar sakte hai. chaliye jante hai oun apps ko jinse ham unlimited free calling kar sakte hai.

Unlimited Free Calling Karne Ke Liye Top Best Apps Koun Si Hai

Whatsapp – whatsapp app calling aur chatting ke liye sabse best hai. es par ham audio aur video dono tarah ki call kar sakte hai. india ke 3g network par eski voice clear aati hai. es par ham unlimited free internet call kar sakte hai.

Whatsapp par account banane ke liye hame email address ki bhi zaroorat nahi padti. Bas, play store se apps ko download karke apne android mobile me install karne ki zaroorat hoti hai. ouske baad ham apne mobile number ke though free account bana sakte hai.

Whatsapp account banane ke baad ham contact option me jakar apne kisi bhi friend aur family members ko whatsapp par unlimited free audio aur video calling kar sakte hai.

Facebook Messenger – facebook messenger world ki top social networking sites me se ek facebook ka product hai. facebook messenger ki aap play store par available hai. messenger app ko ham google play store se download karke apne android mobile me install kar sakte hai.

Messanger aap par account banane ke liye hame kisi other account ko create karne ki zaroorat nahi padti. Balki esme facebook account se hi login kiya ja sakta hai.  Messenger ke through ham other messenger user ko unlimited audio aur video calling free me kar sakte hai.

Imo – imo app se ham all world me audio aur video call kar sakte hai. es app ka size bhi bahut kam hai. kam ram wale android mobile me bhi ye sahi se work karti hai. imo ki sabse best baat ye hai ki ham internet connection slow hone par bhi clear voice me baat kar sakte hai.

Viber – viber ek oldest chatting apps hai. es par ham apne friend se chatting aur audio calling kar sakte hai. eski voice quality bhi better hai.

Line – line apps bhi online calling ke liye best app hai. eske through ham easily apne friends aur family members se baat kar sakte hai. eski voice celerity bahut better hai.

Bigo – bigo app ek mobile se calling karne ke liye ek aisi app hai, jo daily login karne par bhi kuchh point deti hai. aur monthly bhi kuchh credit deti hai. jinko ham mobile par call karne ke liye use kar sakte hai. aur bigo to bigo unlimited free calling kar sakte hai.

Nanu – nanu app se ham kisi aise friends aur family members ke mobile number par call kar sakte hail. Jo es apps ko use nahi karta. Nanu app hame account create karne par bhi kuchh credit deti hai. jisko ham phone calling karne me use kar sakte hai.

Skype – skype app bahut purani aur popular hai, jisko lagbhag 300 million users ke use karte hai. windows, mac, ios, aur android platform ko use karne wale users skype ko easily use kar sakte hai.

Dingtone – bahut log dingtone app ko calling aur chatting ke liye use karte hai. kyuki dingtone app free calling aur free chatting ke liye best service provide karti hai. dingtone par ham hd voice calling aur group calling bhi bahut aasani se kar sakte hai. slow internet connection hon par bhi ye app better work karti hai.

Wephone – wephone app free calling ke liye best app hai. ye free calling bhi provide karta hai, aur paid calling bhi. Eski voice quality bhi best hai. low network par bhi best work karti hai.

Hike – starting me hike messenger app me calling ki facilities nahi thih. But, ab hike messenger unlimited free calling ki facility provide karta hai. eske alwa ye app hame kisi bhi indian mobile number par text messages bhi send karne ki facility provide karti hai.

Libon – libon bhi free calling ke liye ek best app hai. libon to libon ham unlimited free calling kar sakte hai. eske alawa mobile par call karne ke liye kuchh minutes per month free milti hai. jinse ham kisi bhi mobile number par free me call kar sakte hai.

En apps ke through ham easily aur unlimited free call kar sakte hai. to ab, apne phone se calling karna kam kare, aur whatsapp aur facebook messenger jaise apps ke through internet se unlimited free calling karna start kare.

Aajkal cellular companies ke calling rates bhi bahut high hote hai. daily ke 10-20 call karne se hamara achchha khasa bill aa jata hai. but mobile internet ke through calling karke ham apne paise bacha sakte hai.

Aaj kal mobile me internet to sabhi log chalate hai. lekin hame internet pack ke sath sath calling karne ke liye balance bhi dalwana padta hai. jiski wajha se hamara double double kharcha hota hai. lekin internet ke through call karke ham apna kafi calling balance bacha sakte hai.

Es post me aapko ‘international free call kaise kare? Internet se unlimited free calling kaise kare?’ jaise question ke answer mil gaye honge. Ab aapko free call ke liye apne mobile balance ko kharch karne ki zaroorat naihi padegi.

En apps se aap free calling ke alawa free chatting bhi kar sakte hai. aur photos, videos, aur text messages, ko share kar sakte hai. sath hi group banakar bhi apne friends aur family members ke sang free calling aur free chatting ko enjoy kar sakte hai.

Internet par ab jitni free calling and chatting apps available hai, pehle nahi thih. Pehle ham online shopping, online reading, email send, music and movies downloading karte theh. But, ab enke alawa unlimited free calling bhi kar sakte hai.

Mobile Internet Se Free Calling Karne Ke Kya Fayde Hai

  • Audio or video call kar sakte hai.
  • Hd quality me calling kar sakte hai.
  • All world me kisi ko bhi calling kar sakte hai.
  • Calling balance bacha sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki mobile internet se unlimited free call kaise karte hai. aur unlimited free call karne ke liye top best apps koun si hai.

Leave a Comment