Home » Blog » Make Money Online » Online Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye Jate Hai

Online Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye Jate Hai

Online Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye Jate Hai : shayad hi koei aisa insan hoga, jo internet par video dekhna pasand nahi karta hoga. Ham sabhi log internet pa online video dekhna pasand karte hai. But, bahut kam log hi ye baat jante hai ki ham online video dekhkar paise bhi kama sakte hai. starting me mujhe bhi es baat par yakeen nahi huwa thah. Par, jab maine khud try kiya, tab mujhe pata chala ki videos dekhkar bhi paise kamaye ja sakte hai.

Internet par bahut sari aisi sites hai, jin par ham videos dekhkar online paise kama sakte hai. en sites me sabse best site ko main es post me share kar raha hun. Es post me bataei gaei site genuine hai. jo hame paise dene me koei dhoka nahi deti. Ye site bahut dino se es field me work kar rahi hai.

Chaliye ab jante hai ki… online videos dekhkar paise kamane ke liye kya kya chahiye? Online videos dekhne ke paise dene wali best website koun si hai? Paid2youtube par account kaise banate Hai?

Online Videos Dekhkar Paise Kamane Ke Liye Kya Kya Chahiye

Agar aap internet par online videos dekhne ke shokeen hai, to aap apne es shok se hazaro rupees monthly ghar bethe hi kama sakte hai. eske liye aapke paas ek computer or mobile ke alawa high speed internet hona chahiye.

Online Videos Dekhne Ke Paise Dene Wali Best Websites Koun Si Hai

Internet par Online videos dekhne ke paise dene wali websites bahut sari hai. lekin mai sabse best site ke bare me hi es post me share kar raha hun. Waise to ham paid2youtube, swagbucks, you-cubez, aur successbucks etc… site par video dekhkar paise kama sakte hai. but, aaj main aapko paid2youtube site par video dekh kar paise kaise kamaye ke bare me bataounga.

Paid2youtube Site Par Video Dekhkar Paise Kaise Kamaye

Paid2youtube site par hame 30 seconds ka video dekhna padta hai. har ek video dekhne ka 0.001 dollar aur comment karne ka 0.010 dollar milta hai. 10 dollar balance ho jane par ham payment receive kar sakte hai.

Online video dekhkar paise kamane ke liye ye sabse best site hai. jis par ham apna account banakar hazaro rupees monthly earn kar sakte hai. chaliye jante hai ki paid2youtube site par apna account kaise banate hai.

Paid2youtube Site Par Account Kaise Banaye

Paid2youtube site par new account banane ke liye hame sabse pehle paid2youtube ki website par visit karna hoga. Aur phir homepage ke top par ‘register’ ke option par click karna hoga.

Register ke option par click karte hi paid2youtube site ka registration page open hoga. Jisme hame kuchh details fill karni hogi.

  1. Username enter kare.
  2. Password enter kare.
  3. Password ko reenter kare.
  4. Paypal account wali email address type kare.
  5. Email ko dobara type kare.
  6. Apne youtube account ka username enter kare.
  7. Apni country ko select kare.
  8. Referrer ko blank rehne de.
  9. ‘i accept terms of services’ ke box par click kare.
  10. Security code ko enter kare.
  11. Ab register ke button par click karde.

Register ke button par click karte hi hamara paid2youtube site par account ban jayega. ab ham apne paid 2 youtube ke account me easily login ho sakte hai. login hone ke baad home page par hame auto, surf videos, comment, subscribe, rating, advertise, username aur logout ke option show honge.

Paid 2 Youtube Par Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye

Paid 2 youtube site par videos dekhkar paise kamane ke liye hame sabse pehle apne account me login hona hoga. Login hone ke baad hame home page par ‘surf videos’ ke option par click karna hoga.

Surf videos ke option par click karte hi hamse youtube account authentication ke liye kaha jayega. ham authentic link par click karke apne youtuve account ko verify kar sakte hai.

Youtube account authentication ke baad hame kuchh videos show hogi. Jin par click karke ham ounhe dekh sakte hai. har ek videos ko hame kam se kam 30 seconds tak dekhna hoga. 30 seconds tak video ko dekhne ke baat hamare balance me paise add ho jayenge.

Eske alawa videos par comment karne par bhi paid 2 youtube site hame paise deti hai. paid2youtube site ke account me 10 dollar balance hone ke baad ham ouse paypal account ke through receive kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki online youtube videos dekhkar paise kaise kamate hai. paid 2 youtube site se paise kaise kamate hai.

1 thought on “Online Youtube Videos Dekhkar Paise Kaise Kamaye Jate Hai”

Leave a Comment