Home » Blog » Facebook » Facebook Page Aur Twitter Page Ke Likes Followers Kaise Badhaye

Facebook Page Aur Twitter Page Ke Likes Followers Kaise Badhaye

Facebook Twitter Or Google Plus Page Ke Likes Followers Kaise Badhaye – facebook twitter aur google plus world ki top social networking sites hai. jin par ham apna koei personal, business, or brand page bana sakte hai.

Facebook par business page kaise banaye, Aur Google Plus par brand page kaise banaye, ke bare me already bata chuka hun. es post me mai aapko facebook, twitter, aur google+ page ke likes or followers ko kaise badhaye ke bare me bataounga.

Kisi bhi social networking site par page create karne ke baad ous par followers ko increase karna hamare liye bahut important hota hai. kyuki, jitne zyada log hamare page ko like or follow karenge. Hamare page par share ki gaei post outne hi zyada logo tak pahunchegi.

To chaliye jante hai ki facebook page ke likes kaise badhaye? Twitter page ke followers kaise badhaye? Google plus page ke followers ko increase kaise kare? Kisi bhi social networking site ke page par likes aur followers ko badhane ke liye kya kya kare?

Facebook Page Twitter Page Aur Google Plus Page Ke Likes Or Followers Kaise Badhaye

Jab ham apne facebook, twitter or google+ page par koei post, photos, videos, or messages share karte hai, to wo hamare page ke all followers ko show hota hai. agar hamara koei business hai, to ham apna ek business page bana sakte hai. aur phir apne business se related post share karke other social networking site users ko apne business ke bare me bata sakte hai.

Lekin, social networking sites ke through zyada se zyada logo tak apne business ki information pahunchane ke liye hamare business page ke followers bhi zyada hone chahiye. Chaliye jante hai ki facebook, twitter, aur google plus page par likes or followers kaise badhate hai.

Profile Photo Aur Cover Photo Ko Add Kare – page banane ke baad sabse pehle page ke liye achchha sa profile photo aur cover photo ko upload karke add kare. Esse hamare page ko ek pehchan milti hai. aur users page ko like or follow karna pasand karte hai.

Page Name Ko Business Se Related Hi Rakhe – page banate time es baat ka dhiyan rakhe ki hame jis type ki posts apne page par share karni hai, ousi se related hi page name rakhe. For example – agar aapko apne page par poetry share karni hai to sad poerty, hindi poetry, aur english poetry ki tarah page name rakhe.

Regular Posts Share Kare – page banane ke baad ous par page se related regular posts share kare. Users aise page ko like or follow karna zyada pasand karte hai, jin par rgular posts share ki jati hai.

Page Se Related Hi Posts Share Kare – aap ne jis topic par page banaya hai, ousi topic par posts share kare. Agar aap news page par poetry or jokes share karenge, ya poetry or jokes ke page par news share karenge, to esse followers confuse honge. Aur aap ke page ko like nahi karenge.

Page Link Ko Share Kare – apne page par followers badhane ke liye page link ko social networking site facebook, twitter, google plus aur whatsapp par share kare. Agar aap group member hai, to apne sabhi group me page link ko share kare. Aur apne friends ko page follow karne ke liye invite kare.

Zyada Topic Par Page Na Banaye – social networing sites facebook aur google plus par ham alag alag name se bahut sare page create kar sakte hai. par eska ye matlab nahi ki ham kitne bhi page create karle. Jinko manage karne me problem aaye. Hame only outne hi page create karne chahiye, jitno ko ham easily manage kar sake.

Friends Aur Family Members Ko Admin or Moderator Banaye – agar aap apne page par regular posts share nahi kar pa rahe hai. aur aapko page manage karne me koei problem aa rahi hai, to aapne trusted friends aur family members ko apne page ka admin or moderator bhi bana sakte hai. jisse ki we aapke busy hone par aapke page ko update karte rahe.

Page Ko Promote Kare – kuchh social networking sites hamare page ko promote karne ki facility provide karti hai. ye facility pehle available nahi thih. But, ab facebook or twitter par ye facility available hai. ham kuchh money social networking sites ko dekar apne page ko promote karwa sakte hai. esse ham 1 din me hi apne page par hazaro followers or likes pa sakte hai.

Facebook Twitter Or Google Plus Page Par Likes Or Followers Badhane Ke Liye Kya Kya Kare

  • Page ke liye ek achchha sa name rakhe.
  • Profile photo ko add kare.
  • Cover image ko add kare.
  • Page ka name ousi topic par rakhe, jis par aap regular posts share kar sake.
  • Daily quality posts share kare.
  • Page se related hi posts share kare.
  • Unrelated posts share na kare.
  • Page link ko groups me share kare.
  • Page ko like aur follow karwane ke liye friends ko invite kare.
  • Zyada topic par page na banaye.
  • Outne hi page create kare, jitne aap easily manage kar sake.
  • Agar aap apne page ko time nahi de pa rahe hai, to apne friends aur family members ko admin or moderator banaye.
  • Page ko promote kare.

En steps ko follow karke ham apne facebook twitter or google+ page par unlimited followers or likes pa sakte hai.

Agar aap ek blog or website owner hai to aap apni site ke name se bhi page bana sakte hai. aur phir ous par apne blog website ke post link ko share karke apni site par visitors bhi increase kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke  baad aap jaan gaye honge ki facebook page, twitter page or google plus page par likes or followers kaise badhate hai.

5 thoughts on “Facebook Page Aur Twitter Page Ke Likes Followers Kaise Badhaye”

  1. Sir, mere fb par koi bhi apna post dal deta hai , kya aap bata sakte hai ki isse kaise bache.

    Reply

Leave a Comment