Home » Blog » Blogging » Plugin Ko Install Upload Activate Deactivate Delete Kaise Kare WordPress Blog Me

Plugin Ko Install Upload Activate Deactivate Delete Kaise Kare WordPress Blog Me

WordPress Blog Me Plugin Ko Install Upload Activate Deactivate Delete Kaise Kare – wordpress platform blogging ke liye sabse best platform hai. all world me 20% se bhi zyada blogs aur websites wordpress.org platform par hi manage kiye jate hai.Eske popular hone ka raaz eske best features hai, jo hame kisi doosre blogging platform par nahi mil sakte. WordPress ke top features me se ek features plugin bhi hai. jo hame wordpress ko manage karne me sabse zyada help karta hai.

Agar ham blogger.com platform par blog banakar blogging kare to hame har cheez ke liye coding karne ki zaroorat padti hai. lekin wordpress.org platform par banaye gaye blog me hame coding karne ki zaroorat na ke barabar padti hai. kyuki es platform par banaye gaye blog me lagbhag sabhi features ko add karne ke liye plugins available hote hai.

New bloggers ko coding karne me bahut struggle karna padta hai. coding me zara si bhi galti hone par site me wrong impression pad sakta hai.

Apne blog website me Contact form ko kaise add kare, post content ko copy hone se kaise bachaye, post ke beech me code box ko kaise add kare, social share buttons kaise add kare, social follow buttons kaise add kare? En sabhi features ko apne blog website me  add karne ke liye hame apne blogger platform par html coding karne ki zaroorat hoti hai. lekin wordpress blog me en features ko apne blog website me add karne ke liye coding karne ki zaroorat nahi hoti.

WordPress.org platform par available unlimited plugins ko free me download karke new bloggers bhi easily en features ko apne blog website me add kar sakte hai. sach kahun to plugins ke hone ki wajah se wordpress platform par blogging karna blogger platform se bhi easy hai.

Koi bhi new bloggers kuchh hi dino me wordpress par blogging karna seekh sakta hai. sabhi experience holder new bloggers ko blogging start karne ke liye blogger platform ko select karne ke liye sirf esliye kehte hai. kyuki ye ek free platform hai. aur wordpress platform par blog banane ke liye hame domain name aur web hosting ko domain aur hosting provider companies se online purchase karna padta hai. jiski cost kisi achchhi company se purchase karne par minimum 4000-5000 rupees/year hoti hai.

Warna blogging karne ke liye to wordpress se easy aur best platform filhal koei bhi nahi hai. blogging ki kam knowledge hone par bhi ham plugins ki help se wordpress.org platform par banaye huwe apne blog website me unlimited features ko add kar sakte hai.

Plugins kya hai

Plugins, wordpress.org platform ki wo service hai, jiski wajah se coding ki knowledge na hone par bhi ham apne wordpress platform bar banaye gaye blog / website me unlimited features ko add kar sakte hai. alag features ko apne blog / website me add karne ke liye hame alag alag plugins ka use karna padta hai. jaise…

  1. Social share buttons aur social follow buttons ka use karne ke liye ‘addtoany share buttons’ plugin ka use kar sakte hai.
  2. Contact form ko add karne ke liye ‘contact form 7’ plugin ka use kar sakte hai.
  3. Google analytics reports ko janne ke liye ‘google analytics dashboard for wp’ plugin ka use kar sakte hai.
  4. Blog / website ki loadin speed increase karne ke liye ‘w3 total cache’ ya ‘w3 super cache’ plugin ka use kar sakte hai.
  5. Image file size ko reduce karne ke liye ‘wp smush’ plugin ka use kar sakte hai.
  6. Feedburner email subscription widget ko apne blog me add karne ke liye ‘wp subscribe’ plugin ka use kar sakte hai.
  7. Blog content ko copy hone se bachane ke liye ‘wp-copyprotect [protect your blog posts]’ plugin ka use kar sakte hai.
  8. Post content ke font size aur font name ko change karne ke liye ‘tinymce advanced’ plugin ka use kar sakte hai.
  9. Posts ko seo friendly aur readers friendly banane ke liye ‘yoast seo’ plugin ka use kar sakte hai.

Enke alawa bhi wordpress.org platform par unlimited plugins available hai, jinko free me hi use karke  ham apne blog / website ko attaractive aur professional bana sakte hai.

WordPress blog me Plugin ko add, install, upload, activate, deactivate aur delete kaise kare

WordPress blog me kisi bhi plugin ko add, install, upload, activate, deactivate ya delete karne ke liye sabse pehle hame apne wordpress blog me signin karke dashboard par jana hoga.

Step 1. Plugin ko add karne ke liye kya kare

WordPress dashboard par hame right side me ‘plugins’ ka option show hoga. Es option par hame apne mouse ke cursor ko le jakar click karna hoga. Plugins ke option par click kate hi ek new page open hoga.

Step 2. Plugin ko add kaise kare

  1. Yadi hamare blog / website par pehle se hi kuchh plugins installed hai, to we sab hame es page par show honge.
  2. Kise new plugin ko add karne ke liye hame ‘add new’ ki option par click karna hoga.

Add new ke option par click karne ke baad hame plugins ko install karke apne blog me activate karne ke liye new page par 2 option milenge.

Step 3. Plugin ko upload search aur activate kaise kare

  1. Aga hamne kisi website se plugins ko download karke apne computer me save kiya huwa hai. to ousko apne blog / website me install karke activate karne ke liye hame ‘upload plugin’ ke option par click karna hoga. Click karte hi ham apne computer ki drive me pahunch jayenge, aur phir jis folder / drive me wo plugin hai, ousko select karke, upload karke apne blog me activate kar sakte hai. lekin eski zaroorat hame na ke brabar padti hai. kyuki wordpress.org platform par hi lakho ki tadad me plugins available hote hai.
  2. Har kaam ke alag alag naam ke plugins available hote hai. hame jis features ko apne blog / website me add karna ho. Ous features ke liye zaroori plugins ka naam pata hona chahiye. Ous ke naam ko ham yahan search box me enter karke plugins ko search kar sakte hai.
  3. Plugin search hote hi ouske samne show ho rahe ‘install’ ke button par click karte hi, wo install hona start ho jayega. Installing complete hote hi, ab hame install option ki jagah ‘activate’ ka option show hone lagega.

Activate ke button par click karte hi install kiya gaya plugin hamare blog / website me activate ho jayega. Aur ham automatic wapas apne blog ke plugins section me aa jayge. Jahan hame active aur inactive, hamare blog / website par installed sabhi plugins show honge.

Step 4. Plugin ko Deactivate aur delete kaise kare

  1. Yahan se ham kisi bhi active plugin ko ouske naam ke neeche show ho rahe deactivate option par click karke inactive kar sakte hai.
  2. Kisi bhi plugin ko inactive karte hi ouske samne delete option show hone lagega. Jis par click karke ham kisi bhi inactive plugin ko apne blog se permanently delete / remove kar sakte hai.

Ye to thih kisi bhi plugin ko add, search, upload, install, activate, deactivate, aur delete karne ki jankari. Enke alawa plugin ko activate karne ke baad hame kuchh plugin ki setting karni bhi zaroori hoti hai. kuchh plugins bina setting kiye hi active ho jate hai. lekin maximum plugins ki setting karna zaroori hota hai.

Finally, es post me hamne jana ki plugin kya hota hai. aur wordpress blog website me plugin ko add, search, upload, install,  activate, deactivate aur delete kaise karte hai.

Leave a Comment