Home » Blog » Blogging » Privacy Policy Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye

Privacy Policy Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye

Blog Website Ke Liye Privacy Policy Page Kaise Banaye : privacy policy page me hame apne blog website ke privacy statement ko readers ke sath share karna hota hai. jisse visitors hamare blog / website par poora bharosa kar sake. Eske alawa agar hamne apna blog business karne ke liye banaye hai, to phir about us, contact us, aur disclaimer ke sath sath privacy policy ka page banana bhi hamare liye bahut zaroori hota hai.

Apen blog / website ke liye PrivacyPolicy page ko ham 2 tarike se bana sakte hai. ek to ham khud apne blog ke privacy statement ko likhkar visitors ke sath share kar sakte hai. doosra ye ki ham online privacy policy generator tool ki help se bhi apne blog website ke liye PrivacyPolicy Page bana sakte hai. Es post me mai ham janege ki serprank website ke online privacy policy page generator tool ki help se wordpress blog aur blogger blog ke liye free me privacy policy page kaise banate hai.

Apne blog website ke liye privacy policy page kaise banaye

blog / website me PrivacyPolicy page banane ke liye hame sabse pehle www.serprank.com website par visit karna hoga.

Step 1. Home page > member tools page

Serprank website ke home page par hame sabse neeche jana hoga. Yahan hame serp rank members ke neeche ‘member tools page’ ke option par click karna hoga.

Step 2. Privacy policy generator for google adsense publishers

Member tools page par click karte hi, eska page open hoga. Es page me hame ‘privacy policy generator for google adsense publisher’ option par click karna hoga.

Step 3. Login and register

PrivacyPolicy generator for google adsense publisher ke option par click karte ke baad new page par hame login aur register ke 2 option dikhaei denge. Agar serprank website par hamara pehle se hi account hai, to login par click kare. Warna, new account banane ke liye register ke option par click kare.

Step 4. Membership levels

Register ke option par click karte hi membership levels ka page open hoga. Es page me hame bataya jayega ki serprank website par jo ham account bana rahe hai, ouski level basic hai aur price free hai. es page par hame select ke option par click karna hoga.

Step 5. Membership checkout

Select option par click karne ke baad membership checkout ka page open hoga. Es page me hame apni account information fill karni hogi.

  1. Username me apna username likhe. Esme charecters aur numbers ka use kar sakte hai.
  2. Password ke option me koei strong password likhe.
  3. Confirm password me doobara yahi password likhe.
  4. Email address me apni wo email id likhe, jis par serprank website ka account banana chahte hai.
  5. Confirm email address me doobara yahi email id likhe.
  6. ‘i agree to the terms and conditions for membership’ ke box me click kare
  7. Ab ‘submit and confirm’ button par click kare.

Submit and confirm button par click karte hi hamari serprank basic membership active ho jayegi. Aur hamara serprank website par account ban jayega. Jiska message hame apne email address par bhi mil jayega.

Step 6. Membership confirmation

Submit and confirm button par click karne ke baad membership confirmation ka page open hoga. Jisme hame apne serprank membership account ki kuchh detail show hogi.

  1. Username aur email address show hoga.
  2. Membership level show hogi.
  3. Ab hame ‘view your membership account’ par click karna hoga.

Step 7. Membership account

View your membership account par click karte ke baad hamara membership account page open hoga. Es page par hame 3 option show honge.

  1. My memberships
  2. My account
  3. Past invoices
  4. Apni sabhi details check karke ‘home’ button par click karna hoga.

Step 8. Click on Member tools page

Home button par click karte hi ham serprank website ke home page par pahunch jayege. Yahan hame sabse neeche…

  1. Member login status me hamara username show hoga. Profile ko edit karne ke liye ‘edit my profile’ ka option show hoga. Aur serprank website se bahar nikalne ke liye logout option show hoga.
  2. Ab serp rank members me hame member tools page ke option par click karna hoga.

Step 9. Privacy policy generator

Member tools page ke option par click karne ke baad hame new page par ‘privacy policy  generator for google adsense publishers’ ke option par click karna hoga. Click karte hi ‘create your privacy policy’ ka page open hoga. Jisme hame apni details ko fill karna hoga.

Step 10. Create your privacy policy

  1. General site information me Apne blog / website ka url type kare.
  2. Aur apna Email address type kare.
  3. Use of cookies me Yes, we use cookies pae click kare.
  4. Advertiser information me google adsense ke samne click kare. Agar eske alawa bhi ham apne blog par koei doosre ads dikhate hai. to doosre type ke option par bhi click kar skate hai.
  5. Ab ‘Create my privacy policy’ button par click kare

Step 11. Your privacy policy is ready

Create my PrivacyPolicy ke button par click karte hi ek new page open hoga. Es par hame ‘your privacy policy is ready’ ka message show hoga. Hame es message ke neeche ka sara content ko copy karna hai. kyuki esi content ko hame apne blog website ke PrivacyPolicy page me paste karna hai.

WordPress blog me privacy policy page kaise banaye

WordPress platform par banaye gaye blog me PrivacyPolicy page banane ke liye hame sabse pehle apne wordpress blog dashboard me login karna hoga.

Step 1. Pages > add new

Ab wordpress dashboard me pages par  apne mouse ke cursor ko le jakar add new option par click karna hoga.

Step 2. Publish privacy policy page

Add new par click karte hi page editor open hoga. Jahan hame kuchh details fill karni hai.

  1. Title box me privacy policy likhe.
  2. Content box me serprank website se copy kiye gaye content ko paste kare.
  3. Aur publish button par click karde.

Publish button par click karte hi wordpress.org platform par banaye gaye blog me hamare PrivacyPolicy page ban jayega.

Blogger blog me privacy policy page kaise  banaye

Blogger platform par banaye gaye blog me privacy policy page banane ke liye hame sabse pehle blogger.com me login hona hoga.

Step 1. Pages > new page

Ab hame apne jis blog ke liye privacy policy page banana hai, ous blog ke dashboard me ‘pages’ par click karke ‘new page’ option par click karna hai.

Step 2. Publish privacy policy page

New page par click karte hi page editor open hoga. Jisme hame kuchh detail bharni hai.

  1. Title box me privacy policy likhe
  2. Content box me serprank website se copy kiye gaye content ko paste kare.
  3. Aur publish button par click karde.

Publish button par click karte hi blogger.com platform par banaye gaye blog me hamara PrivacyPolicy page ban jayega.

Privacy policy page banane ke kya fayde hai

PrivacyPolicy page banane se sabhi visitors ya readers ko hamare blog website ke rules ka pata chal jata hai. aur hamare blog ko ounhe kis tarah se use karna hai, We kis tarah ki jankari le sakenge, Ounki personal information share hogi ke nahi hogi, aadi jaisi jankari mil jati hai. eske alawa hamare blog / website ke liye google adsense bhi approve ho jata hai. jiske baad ham apne blog me google adsense ke ads dikhakar income bhi kar skate hai.

Finally, es post me hamne jana ki apne blog website ya wordpress blog aur blogger blog ke liye privacy policy page kaise banate hai. aur privacy policy page banane ke kya kya fayde hote hai.

7 thoughts on “Privacy Policy Page Kaise Banaye Blog Website Ke Liye”

  1. Good information thank you

    Sir mene blog banaya hai. Kya aap mere blog par visit kar sakte hai please sir help me..

    Meri koi galti hai to aapko mujhe suggest karna hain.

    Reply
  2. apki hindi me di huyi jankari bahut helpfull thi . sabse achha apka explain karne ka tarika .thanks

    Reply

Leave a Comment