Home » Blog » AdSense » Responsive Ads Custom Size Ads Aur Link Ads Kaise Banaye

Responsive Ads Custom Size Ads Aur Link Ads Kaise Banaye

Responsive Ads Custom Size Ads Aur Link Ads Kaise Banaye – google adsense ka approval pane ke baad hame ad unit ko create karna padta hai. ad unit ko create karne ke baad hame ek ad code milta hai. Es ad code ko hame copy karke apne wordpress blog ya website me ad karna hota hai. jiske baad hame apni site par ads show hote hai. jab en show ho rahe ads par koei click karta hai. to hame income hoti hai. Ads bhi kaei tarha ke aur kaei size ke hote hai. ham apni site ki requirement ke hisab se ad unit ko create kar sakte hai.

Custom size ke ads ka use kahan karte hai – custom size ke ads ka use ham header aur sidebar me kar sakte hai. kyuki lagbhag sabhi adsense friendly themes me header me 728×90 size ke ads ka space diya hot hai. aur sidebar me ham 300×600 size ke ads ko laga sakte hai.

Responsive Ads ka use kahan karte hai – responsive ads ka use ham apne blog par kahin bhi kar sakte hai. eska benefit ye hota hai ki responsive ads screens size ke hisab se apna size bhi change kar lete hai. aur sabhi platform par complete ads show hote hai.

Agar ham apni site ke header me 728×90 size ke ads ko show kare, to wo mobile me complete show nahi hoga. Only half ad hi mobile me show hoga. Esliye computer tablet aur mobile me complete ads ko show karne ke liye hame responsive ad ka use karna hota hai.

Link ads ka use kahan hota hai – link ads ko ham posts ke beech me use karte hai. ham 1 posts me 3 link ads ko use kar sakte hai.

Chaliye, ab jante hai ki responsive, custom size, aur link ads ko kaise banate hai. jinko ham apne blog website me use karke zyada se zyada income kar sake.

Responsive Ads Kaise Banaye

Responsive ads banane ke liye hame sabse pehle apne google account se google adsense account me login karna hoga. Login karte hi hame left sidebar me ‘my ads’ ke option par click karna hoga. Aur phir ‘new ad unit’ ke button par click karna hoga. New ad unit ke button par click karne ke baad new ad ko create kar sakte hai.

  1. Name ke box me apni pasand se Ad ka kuchh bhi name likhe.
  2. Ad size me ‘responsive’ ko select kare.
  3. Ad types me text and display ko select kare.
  4. Text ad style ko by default rehne de.
  5. Custom channel ko create kare.
  6. Backup ads me show blank space ko select kare.
  7. Aur last me ‘save and get code’ ke button par click kar de.

Save and get code ke button par click karne ke baad hame ek code milega. Jise copy karke ham apne blog website me add kar sakte hai.

Custom Size Ke Ads Kaise Banaye

Custom Size Ke ads banane ke liye hame sabse pehle apne google account se google adsenese account me login karna hoga. Login karte hi hame left sidebar me ‘my ads’ ke option par click karna hoga. Aur phir ‘new ad unit’ ke button par click karna hoga. New ad unit ke button par click karne ke baad new ad ko create kar sakte hai.

  1. Name ke box me apni pasand se Ad ka kuchh bhi name likhe.
  2. Ad size me ‘custom size’ ko select kare.
  3. Custom size ad ki width aur hight ko select kare.
  4. Ad types me text and display ko select kare.
  5. Text ad style ko by default rehne de.
  6. Custom channel ko create kare.
  7. Backup ads me show blank space ko select kare.
  8. Aur last me ‘save and get code’ ke button par click kar de.

Save and get code ke button par click karte ke baad hame ek code milega. Jise copy karke ham apne blog website me add kar sakte hai.

Link Ads Kaise Banaye

Link ads banane ke liye hame sabse pehle apne google account se google adsenese account me login karna hoga. Login karte hi hame left sidebar me ‘my ads’ ke option par click karna hoga. Aur phir ‘new ad unit’ ke button par click karna hoga. New ad unit ke button par click karne ke baad new ad ko create kar sakte hai.

  1. Name ke box me apni pasand se Ad ka kuchh bhi name likhe.
  2. Ad size me ‘Link Ads’ ko select kare.
  3. Link ads me automatic size ko select kare.
  4. Text ad style ko by default rehne de.
  5. Custom channel ko create kare.
  6. Backup ads me show blank space ko select kare.
  7. Aur last me ‘save and get code’ ke button par click kar de.

Save and get code ke button par click karte ke baad hame ek code milega. Jise copy karke ham apne blog website me add kar sakte hai.

Es tarah se ham bahut hi easily responsive, custom size, aur link ads ko create kar sakte hai. phir enko apni site me add karke zyada se zyada income kar sakte hai.

i hope, es  post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki apne blog website ke liye responsive custom size aur link ads kaise banate hai.

9 thoughts on “Responsive Ads Custom Size Ads Aur Link Ads Kaise Banaye”

  1. Bhai ap konsa font use karte ho or line ke bich me itna space kaise dete ho please tell me

    Reply
  2. ! ads by Google
    1.Create Custom Email
    2.Custom WordPress Website
    3.Custom Box Size
    ……..

    Is tarah ke ads ko Kya bolte hai(ye add khash kar post me hi rahte hai)
    Is tarah ke add ko kaise banate hai please jawab dijiye

    Reply

Leave a Comment