Home » Blog » Blogging » Theme Ko Change Install Upload Delete Kaise Kare WordPress Blogger Blog Me

Theme Ko Change Install Upload Delete Kaise Kare WordPress Blogger Blog Me

WordPress Blogger Blog Me Theme Ko Change Install Upload Delete Kaise Kare : hamara blog chahe wordpress.org plaform par bana ho, ya blogger.com par bana ho. Lekin apne blog ko ek achchha look dene ke liye hame sabse pehle theme ko add karna hota hai. Theme free me bhi milti hai, aur isko money invest karke online purchase bhi kiya ja sakta hai. internet par bahut si aisi website hai, jahan se ham free aur paid dono tarah ki theme ko download karke apne blog me add kar sakte hai.

Aga hamara blog wordpress.org platform par bana hai, to ham mythemeshop.com se free aur paid, dono tarah ki themes ko download kar sakte hai. aur agar hamara blog blogger.com platform par bana hai, to ham gooyaabitemplates.com se free aur paid themes / templates download kar sakte hai. Free aur paid themes me kya fark hota hai? agar aap ye soch rahe hai, to mai aapko bataha chahunga ki free themes me ham limited features ka hi use kar sakte hai, lekin paid themes me hame unlimited features milte hai. jo hamare blog website ko attractive aur professional bana dete hai.

Jab ham wordpress ya blogger blog ko banate hai, to hame ek simple aur basic theme by default milti hai. es theme ka use karke ham apne blog / website ko attractive aur professional look nahi de sakte.

Hame apne blog ke liye fast loading, seo friendly, mobile friendly, aur responsive theme ko hi use karna chahiye. Jisko ham bahut hi aasani se mythemshop.com aur gooyaabitemplates.com se download kar sakte hai.

Agar aap bhi apne blog par ek simple ya basic theme ko use karte hai, to aap oupar bataei gaei websites se koei achchhi theme ko download kar apne blog / website me add karne ke baad ousko ek attractive aur professional look de sakte hai.

Agar aapne koei theme download karli hai, aur ab ouse apne blog me add, install, upload karna chahte hai, to es post ko carefully padhe. Kyuki ab ham janege ki wordpress aur blogger blog me theme ko add change install upload aur delete kaise karte hai.

WordPress blog me theme ko add install upload kaise kare

 

  1. WordPress blog me theme ko add install aur upload karne ke liye hame sabse pehle wordpress dashboard me appearance ke option par click karna hoga.
  2. Ab themes ke option par click karna hoga. Themes ke option par click karte hi hamare blog par pehle se hi upload sabhi themes show hogi.
  3. New theme ko apne wordpress blog me install karke activate karne ke liye hame ‘add new’ button par click karna hoga. Add new ke button par click karte hi hamare samne wordpress platform par available featured, popular, aur latest aadi themes show hogi.

  1. WordPress platform par available themes me se kisi bhi theme ko ham free me hi use kar sakte hai. agar enme se hame keei theme pasand aaye to ham ous theme par apne mouse ke cursor ko le jakar, install button par click karke easily activate kar sake hai.
  2. Aur agar hamne kisi website se theme ko download kiya huwa hai, aur ousko ham apne wordpress blog me install karna chahte hai, to ouske liye hame ‘upload theme’ ke button par click karna hoga. Upload theme ke button par click karte hi hamare samne ek new page open hoga.

  1. Es page par hame show ho rahe ‘browse’ ke option par click karke apne computer ke download folder se theme ki zip file ko select karna hoga.
  2. Aur ‘install now’ ke button par click karna hoga. Install now ke button par click karte hi kuchh hi secnds me theme hamare blog me install ho jayegi. Ab hame esko activate karna hai.

Theme ke install hote hi ek new page open hoga. Jisme hame activate option show hoga. Es par click karke ham apne wordpress blog me apni favorite theme ko add kar sakte hai. aur apne blog / website ko man chaha look de sakte hai.

WordPress blog me theme ko change activate delete kaise kare

  1. WordPress blog me theme ko change, activate aur delete karne ke liye hame sabse pehle wordpress dashboard me appearance ke option par click karna hoga.
  2. Ab themes ke option par click karna hoga. Themes ke option par click karte hi hamare blog par pehle se hi upload sabhi themes show hogi.
  3. Agar ham apni current theme ko change karke apne blog par pehle se install hoei another theme ko activate karna chahte hai, to hame ouske oupar click karna hoga. Click karte hi theme full size me show hogi.

  1. Agar ham theme ko activate karna chahte hai, to hame activate button par click karna hoga.
  2. Agar ham es theme ko apne blog se permanently remove karna chahte hai. to hame delete ke option par click karna hoga. Click karte hi theme activate ya delete ho jayegi.

Blogger blog me theme ko change upload kaise kare

  1. Blogger platform par banaye gaye blog me theme ko change aur upload karne ke liye hame sabse pehle apne blog ke dashboard me show ho rahe theme ke option par click karna hoga. Theme ke option par click karte hi hame blogger platform par available bahut sari themes show hogi.
  2. Ham en themes me se kisi ko bhi free me use kar sakte hai. eske liye hame kisi ek theme ko pasand karke ous par click karna hoga. Click karte hi new page par wo theme full size me open hogi. Aur es ke neeche ‘add to blog’ ka option bhi show hoga. Jis par click karke ham es theme ko apne blogger blog me activate kar sakte hai.
  3. Agar hamne kisi website se free ya paid theme ko download kiya hai, to usko apne blogger blog me upload karne ke liye hame ‘backup/restore’ ke option par click karna hoga. Backup/restore par click karte hi ek new page open hoga.

  1. Es page par hame show ho rahe ‘browse’ ke option par click karke apne computer ke download folder se theme ki xml file ko select karna hoga.
  2. Aur ‘upload’ ke button par click karna hoga. upload ke button par click karte hi kuchh hi seconds me theme hamare blog me install hokar activate ho jayegi.

Note – jab ham kisi website se blogger blog ke liye themes ko download karte hai, to we zip file me bhi download ho sakti hai. esliye blogger blog me theme ko upload karne se pehle file ke format ko change karle. Kyunki blogger par ham themes ko xml formate me hi upload kar sakte hai.

ye thih worpress aur blogger blog me theme ko add, change, delete aur upload karne ki jankari. agar aap wordpress user hai, to neeche diye gaye post link par click karke ye informative articles bhi zaroor padhe.

I hope, es post ko padhne ke baad aap jaan gaye hoge ki wordpress blog me theme ko add change install upload aur delete kaise karte hai, aur blogger blog me theme ko add change upload kaise karte hai.

4 thoughts on “Theme Ko Change Install Upload Delete Kaise Kare WordPress Blogger Blog Me”

  1. bahut accha aap ne theme ko upload aur install aur active karne ka tareeqa to bataya hai lekin installed theme ko delete kaise kiya jata hai ye nahi batya , please reply .

    Reply
    • wordpress theme ko delte karne ka tari ka maine post me bataya huwa hai. agar aap blogger ki baat kar rahe hai, to ouske liye aap new theme ko activate karde. purani theme apne aap delete ho jayegi.

      Reply

Leave a Comment