Home » Blog » Internet » Top Best Free Cloud Storage Provider Websites Kaun Se Hai

Top Best Free Cloud Storage Provider Websites Kaun Se Hai

Top Best Free Cloud Storage Provider Websites Kaun Se Hai : technology ke es zamane me hame apne important photos videos aur documents ko har pal apne mobile aur computer me rakhna padta hai. lekin, agar achanak hamara mobile aur computer kharab ho jaye, to hamare sare important photos aur videos bhi permanently delete ho jate hai. jinhe ham chah kar bhi recover nahi kar pate.

Aisi situation me hame bahut mushkil ka samna bhi karna pad sakta hai, aur hamara kuchh important data ka bhi loss ho sakta hai. es problem se bachne ke liye ab internet par cloud storage ki facility available hai. jis par ham apni kisi bhi files ( photos, videos, music, movies, documents) ko life time ke liye online store kar sakte hai. ek bar store karne ke baad ham phir ounhe kahin bhi access kar sakte hai. aur ouke delete hone ka bhi khatra nahi rehta.

Internet par bahut si aisi websites available hai, jo cloud storage ki facility provide karti hai. we kuchh gb space free me provide karti hai, jo ki normal photos videos aur documents ko save karne ke liye kafi hota hai. lekin agar hamari zaroorat zyada hai, to ham cloud storage par space ko purchase bhi kar sakte hai.

Es post me ham free cloud storage provide karane wali companies ke bare me baat karege, aur janege ki.. cloud storage kya hai? files photos videos aur documents ko online store karne ke liye top best free cloud storage provider websites koun se hai?

Cloud Storage Kya Hai

Jo websites cloud storage ki facilities provide karti hai, hame sabse pehle oun par apna account create karna padta hai. phir login karke ham apne files ko online store kar sakte hai. ham jo bhi files online store karte hai, wo sab cloud storage provide karane wali companies ke server me save hota hai.

Jo kabhi bhi automatically delete nahi hota. Hamare through delete karne par hi delete hota hai. ham apne cloud storage ke account ko all world me apne mobile aur computer me open kar sakte hai. aur apni all files ko anytime anywhere access kar sakte hai.

Top Best Free Cloud Storage Provider Websites Koun Koun Se Hai

Apni files photos videos aur other important documents ko online save karne ke liye internet par bahut sari websites cloud storage ki facilities provide karti hai. but sabhi companies par ham trust nahi kar sakte. Esliye es post me main top best free cloud storage provider websites koun koun se hai ke bare me detail se bata  raha hun.Jinke cloud storage par ham puri tarah se trust kar sakte hai. chaliye, jante hai ounke bare me…

Google Drive – ye ek google ki service hai. jis par hame 15 gb tak space free milta hai. ye sabse best cloud storage hai. google ka product hone ki wajha se aap es par poora trust bhi kar sakte hai. google drive ko ham apne android mobile aur computer par easily access kar sakte hai.

Dropbox – dropbox bhi bahut popular cloud storage hai. es par hame 2 gb space free me milta hai. esse zyada ka space lena ho to ham ouse online purchase kar sakte hai.

One Drive – one drive Microsoft ki service hai. jis par hame 5 gb ka free cloud storage space milta hai.

Mega – mega cloud storage par hame 50 gb tak ka free space milta hai. normal use ke liye 50 gb ka space bahut hota hai. es par ham apni file ko bahut easily upload karke ounhe kahin bhi access kar sakte hai.

4Shared – 4shared site ke cloud storage par hame 3 gb ka space free me milta hai. jis par ham apne photo audia video aur other documents upload karke online store kar sakte hai.

Ye thhi top best aur free cloud storage provide karane wali websites ki jankari. Jin par aap apne important photos videos audios aur other documents ko online upload karke store kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki top best aur free cloud storage provide karne wali website koun koun si hoti hai, aur ham oun par kitna data free me store kar sakte hai.

Leave a Comment