Home » Blog » Blogging » WordPress Platform Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare

WordPress Platform Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare

WordPress Platform Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare : kisi bhi hosting provider company se domain name aur web hosting ko khareedkar cpanel par single click me wordpress ko install karne ke baad, wordpress.org platform par turant hi hamara blog ban jata hai. jab ham frist time apne wordpress dashboard me login karte hai, to hame apne blog par kuchh default settings milti hai. Hame en settings ko theek tarah se setup karke apne blog ko seo friendly, mobile friendly aur readers friendly banana padta hai. jiske baad search engine me hamare post jaldi show hoti hai, blog ki rank bahut jaldi improve hoti hai aur blog readers ko post padhne me bhi koei pareshani nahi aati.

“Wordpress ko cpanel par single click me instaall karke wordpress.org platform par apna blog banane ke baad kya kya settings setup kare” agar aap ke man me bhi ye sawal hai, aur aap es ke baare me janna chahte hai. to es post ko carefully padhe. Kyuki Es post me ham oun sabhi settings aur steps ko janege, jin settings ko wordpress platform par blog banane ke bad frist time karna padta hai.

WordPress platform par blog banane ke baad kya kya add kare

  • Theme add kare. Ek achchhi theme ko add karke, ham apne blog / website ko ek good look de sakte hai, jo hamare liye sabse zaroori hota hai. hamesha apne blog me aisi hi themes ko install kare jo seo friendly, mobile friendly, aur fast load hone wali ho.
  • New admin ko add kare. New admin ko add karna security ke lihaz se achchha hota hai.
  • New admin ki user profile ko complete kare. Jisme apna name, username, email id, aur password ko set kare.
  • Blog ke liye zaroori widgets add kare. Jinme search box, catogeries, tags, email subscription box, recent posts, recent comments, social following buttons, aadi ko add karna sabse zaroori hai.
  • Aapke blog / website ki identity ke liye esme site logo aur site icon ko bhi add kare.

WordPress platform par blog banane ke baad kya kya delete kare

Jab ham pehli baar apne wordpres blog me login hote hai. to hame yaha par kuchh default content show hota hai. ye hamare kisi kaam ka nahi hota hai. ye hame sirf ye dikhane ke liye hota hai, ki blog par koun si cheez kahan aur kaise show hogi. Hame pehle se hi moujood en sabhi cheezo ko delete karna hoga.

WordPress blog banane ke baad dashboard ki settings me jakar kya kya changes kare

  • Apne blog ka title check kare. Agar kuchh changes karne ki zaroorat ho, to apne blog ke title ko set kare.
  • Tagline set kare. Esme aap apne blog ke bare me kuchh words likh sakte hai. jo hame search engine me apne blog/website ke sath show hoga.
  • Timezone set kare. Har country ka timezone alag alag hota hai. apni country ke hisab se ese select kare. Agar ham india me rehte hai, to hame utc +5:30 ko select karna hoga.
  • Date formate aur time formate ko set kare. Ham jis tarah ke formate ko select karege. Hamare blog par ousi formate me date aur time show honge.
  • Blog ke home page par kitne posts ko show karna hai, ousko set kare. Mere hisab se 5 se 7 post ko hi home page par show karna chahiye. Kyuki zyada post show karne se blog ka loading time badh sakta hai.
  • Permalink ko set kare. Ye post ko seo friendly banane ke liye sabse zaroori hai. hame permalink ko https://www.yourwebsite.com/sample-post/ ki tarah set karna chahiye.

WordPress par blog banane ke baad koun koun se plugins ko install kare

NOTE : yaad rakhe plugins ko install karke active karene ke baad, plugins ki setting bhi karni padti hai.

WordPress Blog me koun koun se page banakar add kare

WordPress blog ko kin kin webmaster tools me submit kare

Lekin aisa karen se pehle apne blog par kam se kam 4 – 5 post share zaroor karde. Aur phir blog ka sitemap bhi banaye. Aur sitemap ko google search console me submit kare. Ye thih we zaroori settings jo hame wordpress ko cpanel par install karke blog banane par karni padti hai.

en sabhi steps ko sahi tarah se setup karne ke baad hamara wordpress blog, seo friendly, aur reader friendly ban jata hai. aur hamare blog ki har post search engine me bahut jaldi show hone lagti hai. jisse wordpres.org platform par banaye gaye hamare blog ki rank bahut jaldi improve hoti hai.

Finally, es post me hamne jana ki wordpres blog banane ke baad kya kya settings setup karte hai. ya cpanel par singel click me wordpress ko install karne ke baad hame kya kya settings setup karna padta hai.

3 thoughts on “WordPress Platform Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare”

  1. sar mai blog ke bare me kuch nahi janata please help me

    exam se related topic history , rochak tathay jasi subject se mai blog start karna chahtaa hu
    wordpress par ek normal blog banane ke liye kitana paisa ki jarurat hoti hai
    blogger par mera ek blog hai kuch din pahle hi start kiya hai mere blog ka link *****
    please hame bataiye ki isme aage safalta hai

    Reply

Leave a Comment