Home » Blog » Blogging » WordPress Blog Website Ka Database Kaise Banaye

WordPress Blog Website Ka Database Kaise Banaye

WordPress Blog Website Ka Database Kaise Banaye – jab ham kisi wordpress site ko create karne ke liye, hosting ke cpanel me wordpress ko install karte hai. tab hame database create karne ki zaroorat nahi padti. Kyuki wordpress installation ke sath sath, hamare blog or website ka database bhi automatically create ho jata hai. jise ham apni web hosting ke cpanel me jakar, ‘databases’ section ke andar ‘MySQL ® Databases’ option me click karke dekh sakte hai. yahan hame ‘database name’ aur ‘database user name’ show honge. Ham chahe to enhe change bhi kar sakte hai.

Lekin agar ham, apni kisi wordpress site ko 1 hosting se doosri hosting me move karna chahte hai, ya apni hosting ke cpanel me kisi other domain ko add karke ouska old data yahan par transfer kar rahe hai. to aisi situation me hame database ko manually create karna padta hai.

Aur phir database ko create karke, ousme old database ko import bhi karna padta hai. database ko importe kaise kare, eske bare me mai, agli post me bataounga. Aaj ham ‘database ko create kaise kare’ ke bare me janenge.

Hamari wordpress site ke liye database bahut hi important hota hai. kyuki isme hamari site ke posts, pages, images, username, password, settings, themes, aur plugins, etc.. ki all information hoti hai.

Jab ham apne blog website par koei bhi posts publish karte hai, page ko create karte hai, theme ko change karte hai, plugins ko add karte hai, ya kisi setting ko update karte hai, to ye sabhi changes or updates, hamari site ke database me automatically save ho jata hai. jise ham cpanel me jakar dekh sakte hai.

Agar, ham galti se apni site ke database ko delete karde, aur hamare pass ouska backup bhi available na ho. To ham kabhi bhi apni site ki delete posts ko recover nahi kar sakte. Aur hame bahut bada nuksan ho sakta hai.

Esi liye sabhi site owners ko apne apne blog or website ka regular backup lete rehna chahiye. Agar aap ek self hosted wordpress user hai, to aap ko 1 week me 1 baar apni hosting ke cpanel ka full backup zaroor lena chahiye.

Agar aapke paas cpanel ka full backup available hai, to aap ko database ke delete, damage, hack, ya virus attack se hone wale nuksan se darne ki zaroorat nahi hoti. Kyuki cpanel ke full backup me already ‘database’ ka backup available hota hai.

WordPress Blog Or Website Ke Liye Database Kaise Create Kare

Agar ham cpanel me quickinstall ya softaculous app installer ki help se wordpress install karte hai, to hame database banane ki zaroorat nahi hai. kyuki quickinstall ya softaculous app installer ki help se wordpress install karte hi database automatically create ho jata hai.

Lekin agar ham kisi wordpress site ko old hosting se new hosting me transfer kar rahe hai, ya galti se delete huwe database ko recover kar rahe hai. tab hame database ko create karne ki zaroorat padti hai. neeche diye steps ko follow karke aap apni wordpress site ke liye database ko easily bana sakte hai.

Step 1. Cpanel me login kare

Aap ne jis hosting provider company se apne domain ke liye hosting purchase ki hai, ous hosting ke cpanel me username aur password ki help se login kare. Successfully login karte hi aapke samne cpanel dashboard opne ho jayega. Jisme aapko bahut sare option show honge.

Step 2. Database Section Me jaye

  1. Cpanel ke dashboard me aapko ek ‘database’ section show hoga.
  2. ‘MySQL® Databases’ ke option par click kare.

Click karte hi ‘MySQL® Databases’ ka ek new page open hoga, jis par hame ek new ‘database’ banana hai.

Step 3. Database Name Create Kare

  1. ‘create new database’ ke neeche apni site se related koei bhi name type kare.
  2. ‘create database’ ke button par click kare.

Step 4. Added The Database Messages Read Kare

  1. Create database ke button par click karte hi database name create ho jayega. Aur hame ‘added the database’ ka messages show hoga.
  2. Neeche ‘back’ ke button par click kare.

Click karte hi ham phir se ‘MySQL® Databases’ ke page par pahunch jayenge. Ab hame database use ko banana padega.

Step 5. Database User Ko Create Kare

  1. ‘add new user’ ke neeche ‘username’ ke box me apni site se related koei username type kare.
  2. Password ke box me koei strong password enter kare
  3. Password again ke box me doubara se password ko enter kare.
  4. Create user ke button par click kare.

Step 6. Successfully Created a Mysql Username Ke Message Ko Padhe

  1. ‘create user’ ke button par click karte hi ‘database user’ bhi ban jayega. Aur hame ‘you have successfully created mysql user named’ ka message show hoga.
  2. ‘go back’ ke back ke button par click kare.

Click karte hi ham phir se ‘MySQL® Databases’ ke page par pahunch jayenge. Ab hame database name aur user name ko connect karna hai.

Step 7. Database Name aur User Name Ko Connect Kare

  1. User name ko select kare
  2. Database name ko select kare
  3. ‘add’ ke button par click kare, click karte hi ‘manage user privileges’ ka page open hoga.

Step 8. Privileges Ko Select Kare

  1. All privileges ke box me click karke sabhi privileges ko select kare
  2. Make changes ke button par click kare. Click karte hi hamara complete ‘database’ ban jayega.
  3. ‘you saved privileges on the database’ ka message show hoga.
  4. Neeche ‘go back’ ke button par click kare.

Go back ke button par click karte hi ham phir se ‘MySQL® Databases’ ke page par pahunch jayenge. Jahan ham apne banaye huwe database ko dekh sakte hai.  Ab ham es database me apne old database ko import bhi kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki wordpress hosting ke cpanel me blog website ke liye ek new database kaise banate hai, database name aur database user ko create kaise karte hai. aur database user ko database ke sath connect kaise karte hai.

1 thought on “WordPress Blog Website Ka Database Kaise Banaye”

  1. bahut acchi jankari share kiye hain aapne sir mere website ko lagbhag 121 days complete ho gaya hain abhi tak mere website google search engine me nhi aa raha hai please batayen mere ko main google seach console par bhi side map submit kar diya hu mere ko 1 back lines chaihye sir aapke side me.

    Reply

Leave a Comment