Home » Blog » Blogging » WordPress Blog Website Ke Database Ko Import Export Kaise Kare

WordPress Blog Website Ke Database Ko Import Export Kaise Kare

WordPress Blog Website Ke Database Ko Import Export Kaise Kare – hosting provider company ko change karne, ya apni site ko 1 hosting se dousri hosting par move karne me hame apni site ke database ko dubara se banana padta hai. jiske bare me main ‘wordpress blog website ke database ko create kaise kare’ post me already bata chuka hun. Database banane ke baad hame ousme old database ko import bhi karna padta hai. Jisse hamari site ka all content, posts, pages, themes, plugins aur settings, etc.. recover ho jaye.

Aaj es post me main aapko, wordpress web hosting ke cpanel me kisi blog website ke database ko import or export kaise karte hai, ke bare me bataounga. Waise, agar aap ek wordpress user hai, to ye baat bahut achchhi tarah se jante honge ki database hamari site ka ek important part hai.

Jisme hamari site par ki gaei all activities ka sara data save rehta hai. hamari site par kitni posts publish hai, hamne kitne page create kiye huwe hai, ham apni site par koun koun si themes aur plugins use karte hai, hamne apni site par kya kya settings add, change, aur customize ki hoei hai. en sabhi ki all information database me save rehti hai.

Jab bhi ham apni site par koei changes karte hai, to wo automatically database me save ho jata hai. agar hamare wordpress blog or website ka database galti se bhi crash ya delete ho jaye to hamari site tab tak open nahi hogi, jab tak database ko doubara se restore na kar diya jaye.

Esliye all wordpress users apni apni site ka backup regular lete rehte hai. cpanel ke full backup ko generate karke download karna hi, apni wordpress sites ke backup lene ka sabse best way hai. agar aap cpanel ka complete backup lena nahi jante, to ye post padhe – apni web hosting ke cpanel ka full backup kaise le.

Waise, agar aap self hosted platform wordpress.org par apni site run karte hai. to mai aapko bata dun ki ‘wp-uploads’ folder aur ‘database’ ka backup hamari site ke liye sabse important hai.

Agar hamare paas ‘wp-uploads’ folder aur ‘database’ ka backup available hai. to ham apni delete, hack ya crash ho chuki website ko easily kuchh simple steps ko follow karke, doubara se restore kar sakte hai. esliye, es post me mai aapko database ko import aur export karne ke bare me bata raha hun.

WordPress Blog Website Ke Database Ko Export Kaise Kare

Agar aap apni wordpress site ko 1 hosting se dusri hosting par move kar rahe hai, to eske liye aap ko old hosting se apni site ke database ka backup lene ki zaroorat padti hai. jiske liye hame apni site ke database ko ‘export’ karna padta hai. export karte hi hamari site ke database ki ek ‘sql’ file hamare computer me download ho jati hai. neeche diye steps ko follow karke aap bhi apni site ke database ko cpanel se export kar local system me download kar sakte hai.

Step 1. Cpanel Me Login Kare

WordPress blog website ke database ko export karne ke liye sabse pehle aap apni hosting ke cpanel me username aur password ki help se login kare. Login karte hi cpanel ka dashboard open ho jayega. Jahan aapko sabhi options show honge.

Step 2. Database Section Me Jaye

  1. Aapko cpanel me ‘database’ section show hoga.
  2. Es section me ‘php my admin’ ke option par click kare.

Php my admin ke option par click karte hi ek new page open hoga. Jis par hamari site ka database available hoga.

Step 3. Database Ko Export Kare

  1. Jis site ke data base ko export karna chahte hai, ouske database name par click kare.
  2. Top par show ho rahe ‘export’ button par click kare. Ab, ek new page open hoga.
  3. Export method me ‘quick – display only the minimal options’ ko select kare.
  4. Format me ‘sql’ ko select kare.
  5. ‘Go’ button par click kare.

Go Button par click karte hi, hamari site ka database export ho kar, hamare local system me download ho jayega. Ab ham es database ko kisi bhi other hosting me apni site ko transfer karte time easily import karke, apne wordpress blog website ke all content ko recover kar sakte hai.

WordPress Blog Website Ke Database Ko Import Kaise Kare

Jab ham apni site ko ek hosting se doosri hosting me transfer karte hai, to hame cpanel me apni site ke liye ek new database create karna padta hai. database create karne ke baad hame old hosting se export huwe database ko new hosting ke database me import karna padta hai. jisko aap neeche diye steps ko follow karke easily kar sakte hai.

Step 1. Cpanel Me Login Kare

Web hosting ke cpanel me apni wordpress site ke database ko import karne ke liye sabse pehle cpanel me login kare.

Step 2. Database Section Me Jaye

  1. Aapko cpanel me ‘database’ section show hoga.
  2. Es section me ‘php my admin’ ke option par click kare.

Php my admin ke option par click karte hi ek new page open hoga. Jis par hamari site ka database available hoga.

Step 3. Database Ko Import Kare

  1. Jis site me database ko import karna chahte hai, ouske database name par click kare.
  2. Top par show ho rahe ‘import’ button par click kare. Ab, ek new page open hoga.
  3. Choose file ke option me already export hoei sql file ko computer ke download folder se select kare.
  4. Character set of the file me ‘utf-8’ ko select kare.
  5. Allow the interruption of an import in case the scripts detects it is close to the php timeout limit, Ke box me click kare.
  6. Skip this number of queries (for sql) starting from the first one ke box me 0 type kare.
  7. Enable foreign key checks ke box me click kare.
  8. Format me sql ko select kare.
  9. Sql compatibility mode me ‘none’ ko select kare.
  10. Do not use auto increment for zero values ke box me click kare.
  11. Neeche ‘go’ button par click kare.

Go ke button par click karte hi old hosting se hamari site ka export database, new web hosting ke cpanel me create kiye new database me import ho jayega. Jisse hamari site ke all contents, posts, pages, settings, etc.. recover ho jayegi.Es tarah se ham apni kitni bhi sites ke old database ko new database me import kar sakte hai.

I hope, es post ko read karne ke baad aap jaan gaye honge ki cpanel se wordpress blog website ke database ko export kaise karte hai. aur cpanel me wordpress blog website ke database ko import kaise karte hai.

Leave a Comment